Bait Baazi for the month January 2011

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh raah akeli kathti hai yaa saath na koi yaar chale
Us paar na jaane kya paain iss paar to sab kuch haar chale

"Yeh"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

*Yehi wafa ka sila hey to koi baat nahi
ye dard tum ney dia hey to koi baat nahi
*

"Noon"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

naheen naheen yeh khabr kisi dushman ne di ho gee

** wo aay chaly bhee gye mily bhi nahin muj sy**

** :ye "**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Woh isleye coz your location is Ilaaqah Ghair sy ... :D

Re: Bait Baazi for the month January 2011

hehehe

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh bhi hoga woh mujhe dil se bhula dega magar
Yun bhi hoga khud ussi mein ek khala reh jayega ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Ajab adaa se chaman mein bahaar aatee hai
kalee-kalee se mujhe boo-e-yaar aatee hai

"Ye"
**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
** Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

aik kasak si hai dil main mery mahloom to ho

** wo bichar kar muj sy kis hal main rehta ho ga**

** alif'**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

aya kisi ka naam to ansoo chalak parre
barsaat kisi k naam k kitni qareeb thi...

Re: Bait Baazi for the month January 2011

yeh or bat kah tumhain perhny ki fursat nah ho

warna hum to tery share main akhbaar bany phirty hain

; noon,

Re: Bait Baazi for the month January 2011

v nice sayyma,
nuktah waron ne hum ko samjhaya khas bano or aam raho
mehfil,mehfil suhbat rakho,dunya mai gumnaam raho...

Re: Bait Baazi for the month January 2011

impressive Ehsan.

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Thanks.

Re: Bait Baazi for the month January 2011

woh to woh hay tomay ho jaey gi muhabbat hum say
tum ek nazar mara mahbubay nazar to daykho

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Wohi aahaten dar-o-baam par
wohi rat jagon ke azab hein
wohi adh bujhi meri neend hai
wohi adh jalay mery khaab hein

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Na jao oski gum sadgi par
samandar hay to vo gahra b ho ga
ghira rahta hay ab jo doston may
kabi mare tarah tanha b ho gA
ALIF

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Aalaam rozgaar ko asaan bana dia
** jo ghum hua use ghum-e-jana bana dia**
** me kaamyab-e-deed bhi mehroom deed bhi**
** chaloon k aydham ne hairan bana dia**

Re: Bait Baazi for the month January 2011


**
bahooot Khoob :) thankoo

ab to Khud shaaq hay ye hastii-e-be_jaa mujh ko
phooNk de phooNk de, ai barq-e-tamaashaa mujh ko

AsGhar GonDvii

WAAO se
**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

wuh shorishein nizaam-e-jahan jin k dam se hai
** jab mukhtisar kia inhein Insaan bana dia**
** kehte hain ik fareb-e musalsil hai zindagi**
** isko bhi waqf.e hasrat-o harmaan bana dia**