Re: Bait Baazi for the month January 2011
Aa ja ke abhi zabt ka mosam nahi guzra
aa ja ke pahaarroN pe abhi barf jami hey
khusbu ke jazeeroN sey sitaaroN ki hadoN tak
is shehar meiN sab kuch hey bas teri kami hey
"Ye"

Umda!
Yeh Sukhan Ju Hum Nain Raqam Kiye, Yeh Hain Sub Waraq Teri Yaad Kay
Koi Lamha Subha-e-Wisaal Ka, KayeeN Sham-e-Hijr Ki MudataaiN
'Naughty Noon'
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Thanx fara :)
Ana ki jang meiN hum jeet to gaey lekin
phir us ke baad bohat deir tak udaas rahey
"Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Yeh ehd-e-tark-e-muhabbat hay kis liyay aakhir
Sukoon-e-qalb idhar bhi nahi udhar bhi nahi
"Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*Abhi to ishq meiN aesa bhi haal hona hey
ke ashk rokna tum sey mohal hona hey
*"Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Yaad aaeyN ge zamaaney ko misaaloN ke leeyay
jesey boseeda kitaabeyN hoN hawaaloN ke leeyay
*" Yay " *
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**yehi hai aazmaanaa to sataanaa kis ko kahte haiN
'adoo ke ho liye jab tum to dushman aasmaan kiuN ho?
Ghalib
WAAO se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Wo apnay gaaoN ki galiyaaN theen dil jin maiN nachta gata tha
Ab is say farq nahi perta nashaad hoa ya shaad hoa
Bay naam sataish rehti thi in gehri sanwali ankhooN maiN
Aisa to kabhi soocha bhi na tha dil ab jitna bay daad hoa
*" Alif " *
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Aesa lagta hey zindagi tum ho
ajnabi, keisey ajnabi tum ho!
ab koi aarzoo nahiN baaqi
justjoo meri aakhri tum ho
"Wao"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Waqt saari zidnagi mein do hi guzre hain kat'thin
Ek tere aane se pehlay, ek tere jaane ke baad ...
Next: "Daal"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Dil ujrrey huwey baagh ki maanid hey jahaaN par
murjhaey huwey armaanoN ke anbaar lagey heiN
Amal
Re: Bait Baazi for the month January 2011
nhi tha zor us ki sitam nawazion ka magar
mujhe bhi hosle mere khuda se mile
meri ana kiun kehti hai bar bar
wo muhabbat he kya jo ilteja se mile...
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Good one Shazia :k:
**Ye bhi kya ehsaan kam heiN dekhiye na aap ka
ho rahaa hey har taraf charcha hamaara aap ka
**
“Alif”
Re: Bait Baazi for the month January 2011
thanx,
aethay kinnu maan wafawan da te kinnu maan adavan da
asi peele pate rukhan de sanu renda khof hawavan da...
Re: Bait Baazi for the month January 2011
That’s the first Punjabi sheir in Bait Bazi
k:
Aapas ki kisi baat ka milta hi nahi waqt
har baar ye kehtey heiN beittheiN ge kisi din
“Noon”
Re: Bait Baazi for the month January 2011
nakami apni ka ye b sabab hai FARAZ
cheez jo mangte hain,sab se juda mangte hain...
Re: Bait Baazi for the month January 2011
[quote=“Amal, post:144, topic:235111”]
That’s the first Punjabi sheir in Bait Bazi
k:
you are right…Waris shah is also my favourite one.
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Noon
Naheen hay na umeed iqbal apni kashat-e-vairan say
Zara num ho tou yah matti bari zarkhaiz hay saqi :D
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ye kis ka sher hai
kisi aik sha-er k spelling he nai mil rhe ![]()
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Afreen hay aap key zahanat par ![]()
Yah hamaray national poet Dr. Allama Iqbal Sahib ka she’r hay ![]()