Bait Baazi for the month January 2011

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Na to gham ki dhoop jala saki na to maosamon ka asar huwa
ye meri wafa ka hi phool tha jo abhi talak hey khila huwa
**
“alif”

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Inhi patharoo'n par chal kar asakoo to aoo mere ghar kay rastay mai koi kehkishaa'n nahi hai

ye

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun

“noon”

Re: Bait Baazi for the month January 2011

na jaane kon sa aaseib dil mein basta hai k jo bhi thehra woh aakhir makan chor gya

Alif

Re: Bait Baazi for the month January 2011

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah ...

hey

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Hamri jaan par dohra azaab hai Mohsin kay dekhna nahi hum ko sochna bhi hai

ye

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Ye To Mumkin Hain k Tamee'r na Ho Pai'n Werna her zehn main Kuch Tag-Mehal Hotay Hain

Noon

Re: Bait Baazi for the month January 2011

naqsh-e-paa dekh to luuN laakh karuuNgaa sajade sar meraa arsh nahiin hai ki jhukaa bhii na sakuun

Noon :chai:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Na janay kon duwaon mein yad karta ha
Mein Doobta hon Samandar uchaal deta ha.

Yeh**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun

“noon”

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Na jane kon sa anso kis se kia kehde Hum isi khayal se nazrain jhukaye bethe hain

noon**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

nahi ishq main is ka tu ranj hamain k qaroro shakaib zara na raha ghame ishq tu apna raqeeb raha koi aur bala se raha na raha

Alif :chai:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai
jism se ag nikalti hai, qaba gili hai
“yey”

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Yeh theek hai nahi merta koi judai mai Khuda kis se kisi ko magar juda na kary**

yeh

Re: Bait Baazi for the month January 2011

YaadoN ka aek shor tha rastoN meiN har taraf hum aek pal bhi dasht mein tanha nahi huwey

Yay

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Yeh Saaniha Bhi Muhabbat Main Baar'ha Guzara Ke Uss Ne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aaii

yeh

**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**yeh na thee hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota **
** agar aur jite rahate yahi intazar hota

“Alif”
**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Auroon Jaisay Hu Ker Bhee Mu’tabir Hain Logoon Main
Kuch Logon Ka Sada-pan Hay, Kuch Apni suchayee Hay

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh saaray pair pauday tum bhi kaee raat jaagay hain
Tum aa ke ek baar in ko sulaa do phir chalay jaana …

Next: “Alif”

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Insaan Key Kisi rOop Kii Tahqeer Na Karna
Milta hAi Zamaney Mein KHUDA Bhais Badal Kar