Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010

***rasm-e-ulfat sikhaa gayaa koii
dil kii duniyaa pe chhaa gayaa koii

taa qayaamat kisii tarah na bujhe
aag aisii lagaa gayaa koii ***

"ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yaad to hon gi tujhe ab bhi wo baaten lekin
Shelf mein rakhii hui band kitaabon ki tarhan

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj -e- Hawa Raat Kay Saath
Kiya Tujhay Bhi Koi Yaad Aata Hai Barsaat Kay Saat
*

Re: Bait Baazi - August 2010

"saath"
last word "hey"

hawa jb zard patton ko juda shakhon se kartii ha
hamey tm se bichar jana bht he yaad aata ha...

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Yeh jo hum hijr mai'n diwaar-o-dar ko dekhte hai'n
Kabhi saba ko kabhi naamaabar ko dekhte hai'n
Woh aaye humare ghar mai'n Khuda ki qudrat hai
Kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hai'n
*

Re: Bait Baazi - August 2010

najaney kia kaha tha dobney waley ne sumander sy
k lehrein aaj tak sahel sey apna sar patakhtii hain...

"noon"

Re: Bait Baazi - August 2010


Na thee umeed, na waaday pe aitbaar kiya
Ghazzab hai phir bhi tera intezaar kiya ...***

"Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

Aakhir-e-shab kii daastan aur karain b kya bayaan
aik hii aah-e-sard thii saaray diye bujhaaa gayiii..

Yeh

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh be-khudi yeh shauk yeh kya hogaya hoon mein
Paaya tumhein tau khud se juda hogaya hoon mein
Jo tujh ko dekhtay thay mujhe dekhnay lagay
Bas itni baat hai ke tera hogaya hoon mein ...

"Noon"

Re: Bait Baazi - August 2010

Nikalaa hum ko jannat se faraib-e-zindagii de kar
diya phir shauq-e-jannat kyun ye hairani nahi jati

Yeh

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh kis muqaam pe soojhi tujhe bicharnay ki
Abhi tau jaa ke kaheen din sanwarne waalay thay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yun to mahaul mein sooraj ubhar aya hai magar
lougg zehnon mein raat liye phirrtayyy hainn..

Noon

Re: Bait Baazi - August 2010

Na jaane kaise safar ki khwahish hai dil mein
Ke apne ghar mein para hoon musafiroon ki tarah ...

"Hay"

Re: Bait Baazi - August 2010

Hum ne maana ke taghafull na karro ge laikin...
khak ho jayen ge hum tum ko khabar honay tak

Kaaf

Re: Bait Baazi - August 2010

Kartay hain muhabbat sab hi magar har dil ko sila kab milta hai
Aati hain bahaarain gulshan mein har phool magar kab khilta hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Ya'Rabb, iss Ikhtilaat kaa anjaam ho bakhairr
tha usko ham se rabt magar iss qadar kahan

Noon

Re: Bait Baazi - August 2010

Nazar ka teer jigar mein rahay tau acha hai
Yeh ghar ki baat hai ghar mein rahay tau acha hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh jurratein barray imtihaan layti hain
kissi se wasta rakhna to duur ka rakhna
taa'luq kabhiii aik se nahinn rehtayyy..
usse ganwa k b jeene ka hausla rakhna

Alif

Re: Bait Baazi - August 2010

Issi ka naam muhabbat hai ay meri jaan-e-wafa
Aankh woh dekhti hai jo dil dikhaata hai ussay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh ajeeb khail haii ishq kaa main ne aap daikha ye muajza...
wo jo lafz tairay gumaan mein thay wo mairi zuban pe aa gaye

Yeh