Bait Baazi - August 2010

Re: Bait Baazi - August 2010


ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham

ham sar-e-chaak-e-vafaa hai.n aur teraa dast-e-hunar
jo banaa degaa hame.n ai yaar ban jaaye.nge ham ***

"meem"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Mujh say to khush naseeb main meray yeh chund haroof
jin paih paray gee dair tak teri nigah-e-naaz
*

Re: Bait Baazi - August 2010

Zamaana aqqal ko samjha huwa hai mash'all-e-raah
Kissay khabar ke junoon bhi hai sahab-e-idraak ...

"Kaaf"

Re: Bait Baazi - August 2010

kuch nahin chahie eik muskan hi kafi hai
Dil main bus eik arman hi kafi hai
armaan yeh hai ke ap sada khush rehein
hamein yaad rahkna yeh ehsan hi kafi hain..

Re: Bait Baazi - August 2010

Nigaah-e-yaar kuch aisi phirri hijraan naseebon se
Ke ab tau jis ke ji chaahay wohi gham khwaar hojaaye ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh chiraagh be-nazar hai yeh sitara be-zubaan hai
Abhi tujh say milta julta koii doosra kahaan hai

Re: Bait Baazi - August 2010

Yeh masail-e-tasaw'uff, yeh tera bayaan Ghalib
Tujhe hum wali samajhtay jo na bada-khwaar hota ...

Alif"

Re: Bait Baazi - August 2010

ik dard ka phailaa hua sehraa hey k main hoon
ik mouj mein ayaa hua daryaa hey k tum ho

Re: Bait Baazi - August 2010

Wehshat-e-jaan kabhi fursat ho tau is simt bhi aa
Shehar se door sahi, dasht bhi ghar apna hai ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

yahi nahin k tujhey jeetney ki khawahish hey
main terey waste khud ko bhi haar sakta hoon

Re: Bait Baazi - August 2010


Na saath dengi yeh dam torti huwi sham'ain
Naye chiraag jalaao ke raushni kam hai ...***

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

*Yeh bhi shayd zindagi ki ek ada hay, dosto
Jis ko saathi mil gia woh oor tanha ho gia
*

Re: Bait Baazi - August 2010

why she replied with kaaf???jab k mera shair Ray say end ho raha tha? yeh kaisi baait baazi hai?

Re: Bait Baazi - August 2010

^ Agreed with you, strange I also missed to notice that ... Thanks for pointing out ... :)

Re: Bait Baazi - August 2010

:p saza daaain unhain ;)

Re: Bait Baazi - August 2010

sorry ....
mojay yaad nahi rahi end wala word say start karna hai
main nay k say kar diya

Re: Bait Baazi - August 2010

  • Saza yeh di ke aankhoon se cheen lee neendain Qusoor yeh thaa ke jeenay ke khwaab dekhay thay ...*

:)

Re: Bait Baazi - August 2010

Ab dil ki khalwatoon mein tum aa ke kya karoge
Hum aarzoo ki sham'main kab ki bhuja chukay ...

"Ye"

Re: Bait Baazi - August 2010

yadon k naye mosam ne yh ehsan keya han
abb yaad muje dard puraney nahi aatey
urtey do parindoo ko abhi shkh hawa main
phr lout k bachpan k zamaney nahi aatey

"yeh"

Re: Bait Baazi - August 2010

*YaRab woh na samjhe hain na samjhein gay meri baat
Dey aur dil unko jo na dey mujh ko zabaa'n aur...
*