Re: ^^ Baazee ^^
Lovely :) pori ghazal nahi hai?
Re: ^^ Baazee ^^
Thanx ... Wahee dhoondh Raha Hoon :~)
Re: ^^ Baazee ^^
nice :k:
i want candles ![]()
Re: ^^ Baazee ^^
Thanx …:~)
Only Candles … wat abt candle light dinner ![]()
Re: ^^ Baazee ^^
anni roshni mein khana nahi acha lagta ![]()
Re: ^^ Baazee ^^
Nice One Precious Khan..:k:
Re: ^^ Baazee ^^
ye lain milgaye mujay
kab yaad me.n teraa saath nahii.n kab haath me.n teraa haath nahi
sad shukr ke apanii raato.n me.n ab hijr kii koii raat nahi
mushkil hai.n agar haalaat vahaa.N dil bech aaye.N jaa.N de aaye.N
dil vaalo kuuchaa-e-jaanaa.N me.n kyaa aise bhii haalaat nahi
jis dhaj se koii maqtal me.n gayaa vo shaan salaamat rahatii hai
ye jaan to aanii jaanii hai is jaa.N kii to koii baat nahi
maidaan-e-vafaa darbaar nahio.n yaa.N naam-o-nasab kii puuchh kahaa.N
aashiq to kisii kaa naam nahii.n kuchh ishq kisii kii zaat nahii.n
gar baazii ishq kii baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa
gar jiit gae to kyaa kahanaa haare bhii to baazii maat nahi
Re: ^^ Baazee ^^
Thanx Shabbo ![]()
Re: ^^ Baazee ^^
you come come PK ![]()
Re: ^^ Baazee ^^
![]()