**
Adaab Dostoon!!
meri pasand k chund ashaar Pesh -e -khidmaat…
Yaad karna bhi na chahoo
Yaad ayeingey Hum
Teray Khwauboon Teri yaadoon pey
Chaah Jaiengey Hum
Hum ko dhoondhogey Haar aik shaye Main
Jaab Door Nazaroon say Hojaiengey Hum…!!
Aur aik waqt tha jub dil ko koi khoob rulata tha uss Dum ye shair yaad ata tha…
Kissay Teri nazar nay Sunaye Na phir kabhi
Hum nay bhi Dil kay Daagh Dikhaye na Phir kabhi
Aye- Yaar-e-Dost aaj tu Ji bhar kay Dil Dukha
Shayad ye Raat Hijar ki aye na Phir kabhi…!!
Badal Diya hai Nigaahoon nay Rukh zamanay ka
Kabhi Raha hai Zamanay pey ikhtiaar mujhey
Yahan say ab kahin lay chal Khayal-e-yaar
mujhey
Chamman main Raas na ayegi Ye bahar mujhey…!!
Teray Khayal say Damman Chora nahin sakhtay
Agar Chaa Dast-e-tammana barha nahin
sakhtay
Situm ye nahin kay Tum nay Samjha Nahin mujhko
Situm ye kay tumko Samjha nahin Sakhtay…!!
Re: Aye- Yaar-e-Dost aaj tu Ji bhar kay Dil Dukha...!!
[QUOTE] Originally posted by Lamhay: *
*
Aur aik waqt tha jub dil ko koi khoob rulata tha uss Dum ye shair yaad ata tha.....
Kissay Teri nazar nay Sunaye Na phir kabhi
Hum nay bhi Dil kay Daagh Dikhaye na Phir kabhi
Aye- Yaar-e-Dost aaj tu Ji bhar kay Dil Dukha
Shayad ye Raat Hijar ki aye na Phir kabhi...!!
**
[/QUOTE]
Kia hi khush naseeb hotay hain kuch log Azad~
Dil main uther kar aankhon main nikar aatay hain
Re: Aye- Yaar-e-Dost aaj tu Ji bhar kay Dil Dukha...!!
[QUOTE] Originally posted by Lamhay: *
*
Teray Khayal say Damman Chora nahin sakhtay
Agar Chaa Dast-e-tammana barha nahin
sakhtay
Situm ye nahin kay Tum nay Samjha Nahin mujhko
Situm ye kay tumko Samjha nahin Sakhtay.....!!