Re: Aurat
O mere bhai duniya main ik waqt aisa bhi tha jab aurat khandan ki sarbrah hoti thi.
Re: Aurat
O mere bhai duniya main ik waqt aisa bhi tha jab aurat khandan ki sarbrah hoti thi.
Re: Aurat
O thaakur
yeh kab ki baat hai??
aur log us taareekh ko dohraane pe kiyon tul gaye hain??
Re: Aurat
ye tab tak ki baat hai jab tak insaan ne janwaron ko istemal main laa kar kashtkari nahin seekhi. tab tak aurat hi kheti baRi karti thi. aurat ne hi sab se pehle kasht karna seekha. mard to shikari tha ![]()
jaawar (bail) ko sanbhalne ke liye mard ne apni taqat ka istemal kiya shroo kiya, usne aurat ko bhi apni milkiyat samajhna shroo kar dia. wo aurat jis sadiyon uska pet pala tha.
dohrane ki iss waja se zaroorat hai, kiyunke jab aurat ki hukmrani nahin rahi to mard ki hukmrani bhi mustaqil nahin. kiyun na ekjaise haqooq ke sath nae chapter ka aaghaz kiya jae. jahan aurat mehkoom aur mard hakim jaise daqyanusi khayalat na hon.
Re: Aurat
acha
chalo mard bhi kuch to karta hi tha
shikaar laata tha
to pait to woh bhi paalta tha
ab aurat ne haath batana shuroo kia to kiya jurm kia
magar phir bhi us waqt ki aurtein bad-dimaag nahi hua karti hongi
jitna aaj ho gai hain
yeh to fazool baat hai
to kiya aurat mard ki malkiyat nahi??
jab k woh is baat ka iqrar karti hai k Maine tuje apne oper ikhtiyaar diya(nikkah)
koi zabardasti to nahi karta
aur kuch log iska najaaiz faaida uthaate hain
ab koi ghalti kare to woh Hamesha k liye ghalat to nahi ho jaata:hmmm:
![]()
huqooq to pehle bhi ek jaise hain
agar kisi ka koi kam hai to woh 2sre k faraaiz mein shaamil kar diya gaya hai
e.g.
agar mard tallaq de sakta hai to aurat bhi khul’aa le sakti hai
to haakim kaun ho??
jis tarah bin malah k kashti nahi chalti
usi tarah Hakumat bhi nahi chalti
ab har koi apne faisle karna chahta hai to shaadi ki kiya zaroorat hai
Aape jiyo Aape marro
yeh to aise hi hai jaise 4 log kashti mein baith k chapoo maarein
ek south ki taraf 2 sra north 3sra east 4tha west
Re: Aurat
itna lamba mazmoon ![]()
summary please
waise nikah to contarct hai. do barabar ke logon ke beech ka contarct. ye employement contract nahin ke bivi bechari kehte phire ‘sahib teri andi aa’, ‘apne charnon main sada rakhna mujhe meet mere’.
Re: Aurat
Islaam mein sab ko barabar huqooq mile hain
agar kahin kami dikhti hai to woh hai nahin
kiyon unko 2sre k faraaiz mein shaamil kiya gaya hai
ab koi na samjhe to Hum kiya karen
Haakim to
Mard ko Haakim banaya gaya hai
aur is mein aurat ki marzi shaamil hai koi zabardasti nahi
woh khud iqrar karti hai k Maine khud ko falaan k ikhtiyaar mein diya
to rona kaahe ka??
Re: Aurat
ikhtiyar main dene se kiya matlab hai?
qabool hai, qabool hai to mard bhi kehta hai.. wo kiya us waqt half e hukmurani leta hai?
Re: Aurat
Ajj kal hojaty hain tabhi teen lafz ek sath khety hain or azadi dey dety hain, see yeh jazbati pan he tu huwa na?
Re: Aurat
Maan ki dushman, behen ki saheli (husband ki). So manipulative. ![]()
Re: Aurat
app kay khowba chakna choor hogiya?
Re: Aurat
Main tairi kaneez.
Ab mujhay pyaar de ya maar de. ![]()
Re: Aurat
![]()
Ahem. Ahem. Naheen.
![]()
Re: Aurat
iss qadr toot ke tum pe hamen yar aata hai ![]()
apni banhon main bhare maar hi daalen tum ko
![]()
Re: Aurat
Baanhvaan da lapaiTa paa lay yaar
PinDa maira peeR karay
Main ne itna kuTT ke japhphi paanay ko nahi kaha tha. ![]()
Maira kachch varga pinDa TuT ja’e ga, taRak kar kay. ![]()
Re: Aurat
kachi kaliyan toRne per maalan ki galiyan khane ka shoq hai hamen ![]()
Re: Aurat
Maalan thaara baag maan naaranji laTkay.
Re: Aurat
full control
Haan yun hi samjh lo
Re: Aurat
Dar asl aurat ko azaadi chahiye hoti hai
mard pehle se hi tang hota hai
to foran azaad kar deta hai:smack:
Haan
woh to aaj kal k log waise hi feminine hote chale ja rahe hain
un ka kiya kehiye
Re: Aurat
boht khoob:D
Re: Aurat
idhar kiya ho raha hy ![]()