Aurat

Re: Aurat

aur agar mard ye sari baten kare aur bivi ka farmanbardar ho to?

Re: Aurat

Zann mureed. :smilestar:

Joroo ka ghulaam. :smilestar:

Aap kay aisay iraaday to nahi ?
Bohut piTo gay ammi say. :chai:

Re: Aurat

Inn main sab baatain ho sakti hain, par khaavind ki farmaanbardaari vaali baat, deewanay ka khwaab hai. :hehe:

Re: Aurat

waise agar Imam Ghazali aaj ke daur main hote to Asma Jahangir ne to toofan utha lena tha.

Re: Aurat

Aakhri jumla bataata hai keh ye kissi anti-Islam nai likha hai.
Aur Al-Ghazaali Islaam ka maama thoRa hi hai, jo liknay vaalay nai ye baatain Islaam say mansoob kar di hain.

Vaisay ye sab baatain kissi bhi insaan main ho sakti hai.
Aur kuch exaggeration hai par kuch baatain sahih bhi hain.

Re: Aurat

aisa hona to nahi chahiye

yeh apne paaon pe kulhaaRi maarne k mutraadif hai

Islam ne Mard ko jo rutba diya hai use us ka khiyal rakhna chahiye
tabhi well settled kaha ja sakta

agar mard ko aurat ka farmanbardaar banana hi hota to tallaq ka ikhtiyaar use na milta

mard mein aqal ziyada hoti hai aur uska haq bhi ziyada hai
is k saath saath faraaiz bhi ziyada hain

aur kuch log apne huqooq ki baat karte hain faraaiz bhool jaate hain

Re: Aurat

kai hoti hain agar aita’daal ho to

beshak @muqawwee123 se koi qawwi daleel le lo

Re: Aurat

ye maame wali baat zara mardane main aa kar karo. lag pata jae ga

Re: Aurat

ye post life1 main pesh kiye jane ke qabil hai :rotfl:

Re: Aurat

kijiye shauq se

Re: Aurat

rehne do, khwamakhah ka fasaad shroo ho jae ga

Re: Aurat

fasaad k baad hi to ghar abaad hote hain:wink:

braadar Humre mutabiq to yeh Islam ki talimaat k mutabiq hai:hmmm:

Re: Aurat

kafi controversial topic hai. jaane do

Re: Aurat

Chal theek hai

jaane do

Humein konsa ande milne hain muft ka fasaad kara k

waise hi Naqis ul aqal waali baat boht garam hoti hai

:sunnyboy:

Re: Aurat

Women and men have smarts in different arenas.

Mard ko fauqiat uss soorat main haasil hai jab vo aurat ka mukammal kafeel ho.
Agar aurat bhi kamaati hai to ye farq kam ho jaata hai ya miT jata hai.

Re: Aurat

or jhagry sary huqooq per horahy hoty hain faraiz chor diye jaty hain. Aqal dono mein barabar hoti hai, aurat jazbati bhut hoti hay second weak bhi.

Re: Aurat

Aurat aik Paheli. :)

Re: Aurat

Kabhi sautan kabhi saheli :D

Re: Aurat

bilkul

yehi to Main keh raha k log ek baat ko pakarte hain 2sri chhor dete hain

Naaqis ul aqal isi waja se kaha gaya hai(jazbaatipan)

jab k mard itni jaldi jazbaati nahi hota

Re: Aurat

Is hisaab se to agar mard 20 kamata hai aur aurat 40
to tallaq ka ikhtiyaar aurat ko mil jaana chahiye:hmmm:

Yehi kamaane waali baat ne to aurton ka dimaag kharab kar diya hai
chand paise kamaane se ikhtiyaarat nahi badal jaain ge