**dosto 14th august qareeb hai to hum Pakistan ka birthday ki celebrations abi se start kar dain ge:aisha: is thread main hum patriotic poetry share kar ke sabit karain ge ke hum sab ko apnay piyary Pakistan se boht mohabat hai.
**
**Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho
Yahan Jo Phool Khilay, Khila Rahay Sadi’on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bhi Majaal Na Ho
Yahan Jo Sabza Ugay, Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Ke Jis Ki Koi Misaal Na Ho
Khuda Karay Ke Na Kham Ho Sir-e-Waqar-e-Watan
Aur Is Ke Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na Ho
Her Aik Fard Ho, Tahzeeb-o-Fun Ka Oaj-e-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho
Khuda Karay Ke Meray Aik Bhi Hum’Watan Ke Leay
Hayaat Jurm Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho
Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho****
**
Tu hai insan or musalma or tu hai Pakistan,
badal de khudh ko ya badal de tera badalta Pakistan,
khata peeta chalta sota roz hai ab to akhir itna ker,
apne mulk-o- qom ki khatir ab to kuch age bhar,
soya or kitna rahe ga jaag ker dekh to,
kab tak laho se rangne dega es zameen ko,
hongay or kitne shaheed sahafi nojawan,
kitni or qubani denge Alam-e-deen yahan,
kitne hongay or qurban masum be-ghuna,
batado ab in zalim hukumrano ko,
badal do inki kaya gira do in be-eemaano ko,
dekha do aj bi jazba es qoum me hai,
batado ab talak zenda qoum ye hai,
utho ker do haqeeqat Quaid ke lafzon ko,
bachalo or sambhalo in dubte sapno ko,
gulami se larke jab hoye the tum azad,
azad ho ker bi gulamo ki terha kion faryaad,
chalo age barho ab kahin deer na ho jaye,
apna mulk hai ese bachalo ye na bikhar jaye,
teri bi hai meri bi hai yeh izzat or pehchan,
kal bi tha, aj b hai, or rahe ga kehdo PAKISTAN..