Re: August mubarak…
**
Chisti nai jis zameen main
Paigham-e-haq sunaya
Naanak ney jis chaman main
Wehdat ka geet gayaTaataryon ney jiss ko
Apna watan banaya
Jiss ney hijaazyon sey
Dasht-e-arab churaya
Mera watan wahi hai
Mera watan wahi hai
Yonanyon ko jiss ney
Hairan kar diya tha
Sarey jahaan ko jiss ney
‘Ilm-o-henar diya tha
Mitti ko jiss kee haq ney
Zar ka asar diya tha
Turkon ka jiss ney daman
Heeron sey bhar diya tha
Mera watan wahi hai
Mera watan wahi hai
Tutey they jo sitaarey
Faaras key asmaan sey
Phir taab dey key jiss ney
Chamkay kehkashaan sey
Wehdat kee ley suni thi
Dunya ney jiss medan sey
Meer-e-arab ko aai
Thandhi hawa jehaan sey
Mera watan wahi hai
Mera watan wahi hai
Band-e-kaleem jiss key
Parbat jehan ke saina
Nuh-e-nabi ka aaker
Thehra jehan safeena
Raf-at hey jiss zameen ki
Ba’m-e-falak ka zeena
Jannat ki zindagi hey
Jiss ke faza mei jeena
Mera watan wahi hai
Mera watan wahi hai**