ATA ... kaa pataa

Re: ATA … kaa pataa

kiya zubaan maiN luknat hoko miyaaN? kaahay ku yeh Chh Cchh lagaayi.
seedhi sharaafataaN say PMaaN karo warna khaanoon kay haathaaN bahut lambaY hona miyaaN :asa:

pata naheeN kahaaN haiN yaar :hoonh:

Re: ATA … kaa pataa

Kya bey, darata kya tu. Houw mereich paas hai sari infarmasion, par maiN bhi postich karo ga.

Tum apne aap ko bohat khabil samajhte na, bohat khabil samajhte ke kuch bhi kar sakte. Aisa nahi hai miyyaN :emmy:

Re: ATA … kaa pataa

umm hmmm.. saheeh lafz hai “Khhaabil” … "khh"aabil

Re: ATA ... kaa pataa

MiyyaN, mai bhi *Kh*abil ich bola, *khhhhh*abil. Aur tum kya yahaN pe urdu sikhane ko aaye ya cricket pe, apun ka matlab Ata ke baare mai baataN karne?

Re: ATA … kaa pataa

ATA kaa pataa kissiich ko nakko pataa thay. ATA La Pataa hona miyaaN ..

itnaY peghaamaaN bhejaaN itnaY peghaamaa bhejaaN, kabootaraaN bhee khatam ich ho gayeN miyaaN.. kiyaa naa. Kissi ko nakko ich naheeN pataa miyaaN.

hum bhee khanaa’at kara ku beThich gaye thaY miyaaN. :hinna:

Re: ATA ... kaa pataa

anwar qureshi to nahi , i mean GADHA : stil soching:

Re: ATA ... kaa pataa


Anwaar Qureshi ko Gadha bolaaN miyaaN ... Gadha buraa maan jaaye gaa miyaaN.. aisaa baataaN nakko karo miyaaN

Re: ATA … kaa pataa

Kya miyyaN, kabootaraN kaye ko istmaalaN karte abhi tak, phone ka bill nahi diya kya? :smilestar:

Apun bata raha hai ke uss ko aik callich kar dene ka.

Re: ATA … kaa pataa

dekho miyaaN! kabootaraaN joo haiN naa woh hamaari kamjori haiN. kiyaa hona ku? haaN… kamjori… hamari kamjori ku lalkaaraaN naa maaro miyaaN.. :vivo:

Re: ATA ... kaa pataa

i give up man, clue to do.

Re: ATA … kaa pataa

Anno ny ju kaha mery dill ki awaz bhi hai:):)

**Wapsi Mybarak and Khushamdeed**

Re: ATA ... kaa pataa

kiyaa miyaaN... ungli ich pakRaaye aap tau pooraa haathaaN maango .. kaahaY ku :D

Re: ATA … kaa pataa

MiyyaN, apun pehleich bata raha tere ko, bata raha. Ata aa ke apun ki postaN dekhta aur phir hasta unn postaN pe. Apun bhi aisich hona maangta. :faizy:

Re: ATA ... kaa pataa

miyan kuch to bhi yaad nakko aa raha .

Re: ATA … kaa pataa

abay O’ hyderabadi, hiyaaN sirf Behaari baabu kee bhaashaa maiN baat hoti haaN. :vivo:

kaun ko yaad naheeN aa raha… huvaaN jaa kar yaad karo :wink:

Re: ATA ... kaa pataa

still bells no ringing

Re: ATA … kaa pataa

MiyyaN, apun tere ko baad mai dekhta. Abhi apun jara kaam mai bujy hai. Ata aata to apun bhi apni postaN karte :roman

Re: ATA … kaa pataa

welcome back :AID:

so where is he now :aq:
kaheen gol gappay lainay tu nahi chal diye :hmmm:

Re: ATA … kaa pataa

Intizar ky lamhat sy lutf andoz hony ka moqa dy rahy hain Awam ko.
Iqbal ki copy kerty hoy ATA bhi dair sy aain gy magar InshaAllah aain gy:D

Re: ATA … kaa pataa

tumhaari urdu parRh kar Ata nay GS sey bhaagnay ka faisla kar liya hai :bummer:

:mocking: