**Apney jazbaat ne soney na diya
Raat bhar raat ne soney na diya.
KarvaTeiN neeNd sulagtee yaadeiN
Aise halaat ne soney na diya.
Kah diyaa haal, milaa chain magar
Ankahee baat ne soney na diya.
Wadi-e-dil ki khamoshi meiN kahiiN
Soye naGhmaat ne soney na diya.
Kisne? kab? kaun-se? dhokey haiN diye
In sawalaat ne soney na diya
Kya hua tumne nibhayee jo wafaa
Unki is baat ne soney na diya.
Ho gayee subha sulaayeiN unko
Jinko sadmaat ne soney na diya.
Dekhkar zulm chalaa to aayaa
Dil ke sukraat ne soney na diya.
Jo diya kartey haiN dastak bewaqt
Aise hazraat ne soney na diya.**