888
<>
*
Khwaab ’ Aankhoo’n Ki Ebadat Hain
Ga’ee Raat Kay San’naattay Main
Apnay Honay Ka Yaqeen Bhi Hain
Gul o Naghma Ka Asbaat Bhi Hain
Khwaab Kay Rang Dhanak Say Barrh Kar
Kabhi Palkoo’n Pay Sitara ’ Kabhi Aankhoo’n Main Sahaab
Kabhi Rukhsaar Pay Lalaa ’ Kabhi Hontoo’n Pay Gulaab
Kabhi Zakhmoo’n Ka ’ Kabhi Khanda e Gul Ka Mausam
Kabhi Tanha’ee Ka Chaand ’ Kabhi Pichlay Paher Ki Shabnam
Khwaab ’ Jo Tajzia e Zaat Ho Ja’ey
Un Ko Jab Fard Ki Neendoo’n Say Nafi Karkay Likhaa Ja’ey
**Tou Ek Qaum Ka Naqabil e Tardeed Tashakhus Ban Ja’ey **
~~Parveen Shakir ~~