------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

  • Umer-e-rawaaN kay saathi raqeeb Thehray
    YouN Apnay AaNgun kay hum Ajnabi Thehray

  • HaiN Dhoop kay dushman ghar kay bund darwaazay
    Hum jo ik andheray makaaN kay makeeN Thehray

  • Teeer-e-nazar, zakhm-e-jiger kuch youN bun gaye
    Taskeen-e-Qalb thay pehlay, soohaan-e-Rooh abb Thehray

  • Mausam-e-zeest kaa Rung hum nay ik anokhaa dekhaa
    Ikhtetaam har baat maiN siyah baadal-e-ghum Thehray

  • Mitti kay gharoNday saahil par banaanay waalay
    Woh haath aaj taa’meer-e-Qadar kay Mujaddid Thehray

  • Jinn ko thaa khoob naaz ab tuk hamaari qurbat kaa
    Woh sung-e-dil ajnabi aaNgun maiN hamaaray makeeN Thehray

  • shub-e-hijraaN maiN yaadouN kay saaye jub huvay taweel
    Dil yeh chaahaa raat ka yeh pall abhi aur Thehray

  • Ho gaie subha-e-Firaaq tau yeh yaad aayaa
    Waqt kee naheeN yeh mijaal kay woh Thehray

  • Tawaqqouh thee jinn say humm ko millay woh youN humm say
    YouN lagaa kay zamaan-o-makaaN maiN ik sukoot Thehray

  • Halqaa-e-yaaraaN ho kay mehfil-e-ahle-zoq Anwaar
    Baat sub chaahatay haiN unki pathar par lakeer Thehray

Anwaar Qureshi

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

ye shair bohat khobsurat hain :k:
keep it up :k:

*Jinn ko thaa khoob naaz ab tuk hamaari qurbat kaa
Woh sung-e-dil ajnabi aaNgun maiN hamaaray makeeN Thehray

shub-e-hijraaN maiN yaadouN kay saaye jub huvay taweel
Dil yeh chaahaa raat ka yeh pall abhi aur Thehray
*

Boht khoob Anwaar bhaii..:flower1: :k:

Its a lovely poem.Well from the parts I understood.I didnt understand all those complicated words in urdu.:smack:

wawwawa :halo:..

:sleep2: :sleep2: :sleep2:

:-)

Nice one :)

hum key therey ajnabi ka idea lia hoga :snooty: :hoonh:

achi hi hey:snooty: (:D)

phir bhi ehsaaan karing:snooty:

bohat bohat achi hey:k::

Wah Anwaar jee bohot khoob sach me jhooti tareef nahin kar rehe…:slight_smile:

Humhari behen ko bhi bohot pasand ahi..:k:

dangg…

anwaar unkil that was jus…WOW …:s …
bohat bohat bohattttttttttttt zabardast :k:
sachi lovedddd itt …

thanks for sharing :hug:

keep it up :wink:

muhtaram Anwaar SaaHeb aadaab!

aap kii taazah Ghazal se lutf.andoz hone kaa sharaf haasil huaa. Ghazal hasb-e-maamuul nafees hai, aur daad kii mustahiq hai, so qubuul farmaaiye! ummeed hai mizaaj baKhair hoNge. :)

wah wah jeo mayre sharee jeo :D

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

aapke haan amreeka mai bhi load shedding hoti hai? :hehe:

j/k :slight_smile:

bohat hi pyaari nazm hai…kamaal ki shayeri karte hain aap :k:

:slight_smile:

Acha hai :)

nice1:k: .. keep it up and thanx for sharing…:flower1:

nice one :~)

thanx for sharing :flower1:

Awesome AQ! Really nice.

wah wah!!! These two shers are absolutely wonderful :k:
Chaah gaaye Anwar Bhai :slight_smile:

bohat khoob .. :love:

nice.. :flower1:
aaik baar phir parna paraye ga …