------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

very nice…:k: thanks for sharing :slight_smile:

main hamesha kahti hoon aur ab bhi kahoon gee

Aap ki shairi bohat zabar10 hoti hain :)

:slight_smile: Bohat achi hey Anwaar, keep it up :k:

Dont start picking on me that Anwar ‘acha’ hey ‘achi’ nahien. I am talking about the gazal :stuck_out_tongue:

wah bohat khooob :k:

nice :flower1:

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

[QUOTE]

Mitti kay gharoNday saahil par banaanay waalay
Woh haath aaj taa'meer-e-Qadar kay Mujaddid Thehray**

[/list]

--- Anwaar Qureshi
[/QUOTE]

wah AQ bhai

very deep

NICE POEM & thanx for sharing

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

  • Umer-e-rawaaN kay saathi raqeeb Thehray
    YouN Apnay AaNgun kay hum Ajnabi Thehray

  • HaiN Dhoop kay dushman ghar kay bund darwaazay
    Hum jo ik andheray makaaN kay makeeN Thehray

  • Teeer-e-nazar, zakhm-e-jiger kuch youN bun gaye
    Taskeen-e-Qalb thay pehlay, soohaan-e-Rooh abb Thehray

  • Mausam-e-zeest kaa Rung hum nay ik anokhaa dekhaa
    Ikhtetaam har baat maiN siyah baadal-e-ghum Thehray

  • Mitti kay gharoNday saahil par banaanay waalay
    Woh haath aaj taa'meer-e-Qadar kay Mujaddid Thehray

  • Jinn ko thaa khoob naaz ab tuk hamaari qurbat kaa
    Woh sung-e-dil ajnabi aaNgun maiN hamaaray makeeN Thehray

  • shub-e-hijraaN maiN yaadouN kay saaye jub huvay taweel
    Dil yeh chaahaa raat ka yeh pall abhi aur Thehray

  • Ho gaie subha-e-Firaaq tau yeh yaad aayaa
    Waqt kee naheeN yeh mijaal kay woh Thehray

  • Tawaqqouh thee jinn say humm ko millay woh youN humm say
    YouN lagaa kay zamaan-o-makaaN maiN ik sukoot Thehray

  • Halqaa-e-yaaraaN ho kay mehfil-e-ahle-zoq Anwaar
    Baat sub chaahatay haiN unki pathar par lakeer Thehray

--- Anwaar Qureshi
[/QUOTE]

Oyee shabbo tum nay tu kamal kardiya!

amazing gr8 excellent.......Thanks 4 sharing Aq .....

AOA!
kaisey hoo Anwaar bhiya? kafi dinnon baad mail box check kiya hai is liyee late apear howi hoon… comments sharek kerney ko kaha hai too yahi kahoon gi…Kamal ki shairi hai…(wah wah Kamal uncle aap ney to bohat acchi nazam likhi hai…:p) trying to :mocking: U…:d:D
Khuda Karey Zorey Qalam Orr Zayada.. :k:

achee hay

wow
do u mind if i write it down in my book?
credit to u will be given (ofcourse) mr. AQ gromgupshup ;)

its really deep ... kiya waqai mein tum sab logon ko bilkul samaj a gae hai?? will have to re-read it again ..

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

Ma Sha Allah :slight_smile:

Hazrat aap ki Sha’i’ri main kaafi Pukhtagi aati jaa rahi hay …

Bahaut Khoob … Bahaut Maza aaya … Khasoosan jin alfaaz ka istamaal kia hay aap nain … Yaqeen ja’ni’aiy maza aa gia …

Najanain kion Aisi Urdu perhnain ki meri hamaisha khawahish rahi hay …

Gham ka Unsar Kuch ziada ho gia hay bhaia … Kuch Hulka phulka … kuch Muskarahaton bhara … Kuch Shiraraton say Bharpoor bhi likh’i’aiy …

Hamara he bhala ho ja’aiy ga … Kissi ko likh ker dain gay :blush:

Bahar Hal bahaut maza aay a

Khush raho :slight_smile:

***** Vivacious *** : ** Shukriyaa :-)

*HeArT HaCKeR : * aap ko bhee wohi shair passand aaye.. shukriyaa bahut bahut :~)

*Muslim_Queen : * I think you are free to ask what u dun understand :P

** Sandleen : ** :)

*Maheen2002 : * (-:

*Koyal : * Thanks a bunch!

*rabika : * haaN.. ussi kaa idea liyaa thaa:D thanks for liking.

*Nayab : * aap kee behn ko bhee passand aa gaiee :-O goyaa kay family poetry ho gaiee hehe

*Rani Pakistani : * I will insha ALLAH keep it up :P

*koiDost : * Qabool hai LOL. shukriyaa dost!

*HAMMAD : * duaa ka dhannaybaad!

*CurruptAngel : * aap kay haaN naheeN hoti load shedding? snooty.. by the way good observation :P

*little human : * awwwwwww... aap ko passand aaye tau yaqeenan achi ho gee :-)

*ghazal kisi ke : * shukriyaa ghazli for everything and for those three lines that you edited to one line .. those were my prize but I did not deserve it I guess :-)

*cuteepie : * phool dainay kaa shukriyaa

*Destinee : * aap kee passandeedgi kaa bhee bahut bahut shukriyaa..

*Rukhsarbibi : * LOL.. shurkiyaa janaab.

*shoaib akhter : * abay strawberry eyes kiouN ? LOL

*kino : * dobaraa paRhi phir yaa himmat hee naheeN huvee? :P

*Kamran-Khan : * shukriyaa kaami bhai!

*Dania_2000 : * zarah nawaazi hai aap kee ..

*chodhry : * LOL.. aray bhai aap kee zareefaanaa kalaami kaa bhee shukriyaa..

*chand_chehra : * glad u liked it too :-)

*batameez : * shukriyaa but did u read it again ?? ^o) ?

*Aabi : * You DO have such a deep understanding man.. you liked the one I like the most too ... :~)

*Lamhay : * tau phir? yeh bhee Deja Vu lagti hai kiyaa :-D ?

*she : * aray kidhar ho... itnaa achaa reply kar kay ghaaiub he ho gaieeN :-(

*DiYa : ** Thanks !:~)

*Deviliciousss : * Ok now that is an honour for me ... As long as you remember who it is from...

*Malik Zulfi : * It's encouraging to see you here. Bhai bahut shukriyaa.. aap kee duaaieN shaamil-e-haal raheeN tau Allah mazeed karam karay gaa.. aur bhaiyaa! shaairy is not in my hands.. it just happens :S

danggg i like this
Mitti kay gharoNday saahil par banaanay waalay
Woh haath aaj taa'meer-e-Qadar kay Mujaddid Thehray

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

:mash: well done.

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

acha likha hay anwar, in fact bohot acha. sorry i'm very late but time ab mila parhnay ka
liked this one most

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
Mitti kay gharoNday saahil par banaanay waalay
Woh haath aaj taa'meer-e-Qadar kay Mujaddid Thehray

--- Anwaar Qureshi
[/QUOTE]

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

  • Umer-e-rawaaN kay saathi raqeeb Thehray
    YouN Apnay AaNgun kay hum Ajnabi Thehray

  • HaiN Dhoop kay dushman ghar kay bund darwaazay
    Hum jo ik andheray makaaN kay makeeN Thehray

  • Teeer-e-nazar, zakhm-e-jiger kuch youN bun gaye
    Taskeen-e-Qalb thay pehlay, soohaan-e-Rooh abb Thehray

  • Mausam-e-zeest kaa Rung hum nay ik anokhaa dekhaa
    Ikhtetaam har baat maiN siyah baadal-e-ghum Thehray

  • Mitti kay gharoNday saahil par banaanay waalay
    Woh haath aaj taa'meer-e-Qadar kay Mujaddid Thehray

  • Jinn ko thaa khoob naaz ab tuk hamaari qurbat kaa
    Woh sung-e-dil ajnabi aaNgun maiN hamaaray makeeN Thehray

  • shub-e-hijraaN maiN yaadouN kay saaye jub huvay taweel
    Dil yeh chaahaa raat ka yeh pall abhi aur Thehray

  • Ho gaie subha-e-Firaaq tau yeh yaad aayaa
    Waqt kee naheeN yeh mijaal kay woh Thehray

  • Tawaqqouh thee jinn say humm ko millay woh youN humm say
    YouN lagaa kay zamaan-o-makaaN maiN ik sukoot Thehray

  • Halqaa-e-yaaraaN ho kay mehfil-e-ahle-zoq Anwaar
    Baat sub chaahatay haiN unki pathar par lakeer Thehray

--- Anwaar Qureshi
[/QUOTE]

hume leraiaur agruement yeh mezak apni jagah but tumhari shayri apni jaga:) pehli yeh cheez he tumhare undr tht idont urgue with...... i admit ur a good poet

Nice!

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

Man is born alone, why on earth do u dare relate to others and wish for it on continued basis? :expressionless:
Nice Ghazal Anwaar, I appreciate it :k:

Re: ------ :=:Apnay AaNgun kay Ajnabi:=: -----

felt like readin this one again and once agian i’m speecless:k: :k:..

thanx for posting:hug: :flower1: ..

u noticed that:p ..