Salam Un-kill mamooN,
main yahan par khairiat say hoon aur aap ki khairiat khuda
wand-e-kareem say naik matloob hay…
main yahan khushi aur khuram kay sath hoon, kafi shareer
hogaya hain donoN, har waqt ghar sya bahar rehtay …
mujhay chor kar…aap kaan pakarna un kay aur kehna kay
Dada ko tang nai kia karo…
baqi sab theek hay, rozaana subah time par uth kar sojaata
hoon… khaana bhi har time khaata hoon… lekin mota phir bhi
nia hota… ![]()
ghar ki sari light off kardaita hoon aur mom-batti jala laita hoon…
khana bhi mom-batti ki aag par pakata hoon aur pani bhi isi tarah
garam karta hoo, soch raha hoon kay parsoon naha loon, iss liay
abhi paani garam karnay k liay rakh dia hay…
main kafi smart hogaya hoon… auntiyaan mujhay daikhtay hi marr
jaati hain…
koi nusqa batayay k husan ko kaisay kamm karoon ? ![]()
aap nay kaha tha kay aap kay Mozay puranay hochukay hain, to plz
batayay kay konsa puraana howa ? left or right waala, I will buy and
will send to you, in return aap kuch mom battian bhaij daina…
main yahan aakar kafi sakhi-dil bhi hogaya hoon… kal hi aik bachay
ko ppori adhi choclate di… wo khaa gaya aur us nay inreturn mujhay
2 toffees deen… wo bhi sambhaal kar autaaq main rakh di hain,
eid par bachooN main bantoonga…
aur aap batain, wahan ka mosam kaisa hay ? ashiqaana to nai hay na ?
agar hay to bata dain, main wapis aajaoonga…
acha chalta hoon (solar cell say) socha tha k apni khariat ka aik khat likh
doon…ab main rozaana yaheen aakar likha karoonga, ap bhi apna khaayal sambhaal kar rakhna fridge main…
acha Dadi bula rai hain, kehti hain k paoon dabaoo :$…
week end hay, khidmat to karni hi paraygi na
…
acha miltay hain break kay bad ![]()
bye bye… ![]()
note: oops bhool gaya :s