woh kehti hai mujhay titli kay rangon say mohabbat hai
magar urti hui titli kay par bhi noch laiti hai
woh kehti hai mujhay hai pyar pholon aur khushbo say
magar aksar kuchal deti hai wo pairon talay unko
woh kehti hai hinayi hath pyaray lagtay hain mujh ko
magar mehndi lagatay he woh dho deti hai hathon ko
woh kehti hai bhali lagti hai sawan ki mujhay baarish
magar baarish kay hotay he woh chup jati hai kamray main
woh kehti hai hawaon say mera janmon ka naataa hai
hawa chaltay he sari khirkiyan woh band kardeti hai
woh kehti hai sitaray achay lagtay hain, agar koi
sitara asmaan say toot kar soy-e-zameen atay dekhay
to khush hoti hai jiasay k ussnay khwab ki tabeer payi ho
woh kehti hai parindon say bara main pyar karti hon
magar pijron main un ko qaid bhi karti hai woh zalim
woh kehti hai khat likhnay say to jana mohabbat aur barhti hai
magar mera khat miltay he abbu ko bata deti hai chupkay say
woh jiss lamhay kehti hai k
TUM SAY PYAAR HAI JANA
pareshani k sagar main mera man doob jata hai
KAY MERAY SAATH KIA HOGA
Re: ANJAAM...
Yea lateefa tha kia??????
Re: ANJAAM...
Dead sOul NazM kA mAQSad bayaan kijiye bohat nawazish hogi :)
Re: ANJAAM…
That’s not fair
Meri humdardiyaaN aap ke saath heiN deadsoul. Wesey agar ijaazat ho to isey Shora-e-Gupshup meiN muntaqil kar dooN?
Re: ANJAAM...
Yea lateefa tha kia??????
Dead sOul NazM kA mAQSad bayaan kijiye bohat nawazish hogi :)
lagta hai app logo nay pori nazam ghor say nahi parhi
aur BL sahab apka reply parh k to khaas tor pay buhat disapointment hui
anyways
i think app log sirf wohi shayri samjhtay hain jiss me qafiyay say qafiya milta ho
anywayz if someone come and explain dis nazm to both
i ll be thanfull
Re: ANJAAM…
nahi amal sahab yeh meri nahi hai
but kia apko bhi samjh nahi ayi
Re: ANJAAM…
zabardast :k:
Re: ANJAAM...
(((((lagta hai app logo nay pori nazam ghor say nahi parhi
aur BL sahab apka reply parh k to khaas tor pay buhat disapointment hui
anyways
i think app log sirf wohi shayri samjhtay hain jiss me qafiyay say qafiya milta ho
anywayz if someone come and explain dis nazm to both
i ll be thankul)))))................
Achaa ap naraz tou na ho naaa.....mai ne to mazak kia tha ..sorry :(
Re: ANJAAM...
:) seem je aap nay sawaal he aisa poocha tha kay wo naraz na hotay to aur kya hotay ???
Re: ANJAAM…
thx sonia
Re: ANJAAM...
[quote="soniaa_jee, post:59, topic:162809"]
:) seem je aap nay sawaal he aisa poocha tha kay wo naraz na hotay to aur kya hotay ???
she is rite
Re: ANJAAM...
i think its a read-between-the lines kind of poetry. a thinking poetry, no?
i liked it.
Re: ANJAAM...
i think its a read-between-the lines kind of poetry. a thinking poetry, no? i liked it.
^ U r quite right. I also enjoyed it.
thx
Re: ANJAAM...
bhot khatarnam haen
ju bhe titli or pholoon kay saath huwa wohi anjam hoga aapka
Re: ANJAAM...
nice sharing ab jo hoga manzoore Khuda hoga
Re: ANJAAM...
lol....im reading it again. i really like it. its got that capture -me-so -i-find-release kind of emotion. thanks again deadsoul!

thx 2 u