^
++++++++
**
Aaj Kay Daur e Junoo’n Main
**
Hum Say Has’saas Sukhan Walay Log
**
Kis Tarah Karain Apnay Zameeroo’n Say Ghad’daree
**
Zinda Jazboo’n Kay Ameen Aur Yeh Fan Walay Log
**
Aaj Ka Daur Karta Hay Taqaza Hum Say
**
Maslihat Kar Lain Zamanay Say’Qalam Ko Na Utthain
**
Jo Guzartee Hay ’ Dil o Jaa’n Pay Usaay Zabt Karain
**
Yaani Ghutt Ghutt Kay Sisaktay Howay Hum Mar Ja’in
**
Hum Hain Fankaar ’ Humain Sach Hee Raqam Karna Hay
**
Jo Guzartee Hay ’ Dil o Jaan Pay Raqam Kar Daingey
**
Jab Yeh Samjhaingey Qalam ’ HAQ Ka Tarafdaar Naheen
**
Sar Qalam Ka Bhi ’ Ussi Roz Qalam kardaingey
**
===========
**
*Fayzaan Arif *