Akhlaas kaY partau maiN yooN nafrat kaY tawaNger

Arbaab-e-Ikhtiyaar kaY sochoN kaY samander
mojoN kay bhaNwar maiN aaya hai muqaddar

Taskeen kaY saamaaN haiN aflaak kaY neechaY
Insaan ko maar kar insaan bantaa hai sikander

Gulshan maiN baykinaar shafaq kaY uss paar
Jal jal kar huaa duur Jugnu kaa dilladdar

Nigaah-e-tez naY jub cheeraa thaa dil ko
fighaaN kay saaye maiN phir aaya thaa qalander

phooloN maiN bhee Anwaar kaaNtaY thaY issqadar
Akhlaas kaY partau maiN yooN nafrat kaY tawaNger

BY: Anwaar Qureshi
September 30, 2007

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

beautiful stuff Anwaar bhai! :lajawab:

i loved it especially the 1st shair

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

akhri sheire is resonant.thanks for sharing AQ.
best,
Dushwari

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

nice ghazal AQ :k:

aur ye tawaNger kya hota hai ?

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

WOW, it is very good Ghazal ...

AQ bhai, you are doing great.

buhut pasand aayi

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

Beautiful.. :)

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

very nice AQ :)

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

Bohat khoob AQ bhai...............app kafi mushkil urdu ka istamaal kartay hain Apni poetry mein:)

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

Shab-e-Hijr,
tawun ger means helper.
best,

Dushwari

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

Prince Ali: First one and the last one are related to the same thoughts :~)

Dushwari: Thanks for liking; however, your understanding of the word "TawaNger" is not the word I used... what you are telling Shab is the word: "Taa'wun gar" تعاون گر .. whereas I used the word: تونگر which means "A person who has (something) in abundance, a rich person" :)

Shab: Thanks and I answered your question above in the answer to Dushwari

**arsalanh2000, redidentity, and deep_ocean: **Thanks alot... your comments mean a lot to me

soniaa_jee: Difficult diction is subjective... I do not know how to respond to your understanding... If you find any word difficult, do point out - I will try to answer it in my capacity... though I doubt that you do not know any single word... I have a feeling you understood it fully:)

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --


Arbaab-e-Ikhtiyaar **
**mojoN

bhaNwar
muqaddar
Taskeen
saamaaN .......yei saamaan wo wala he jo market se buy kerte ?
aflaak ye asman hota he?sikander
baykinaar shafaq
dilladdar **
**Nigaah-e-tez

fighaaN **
**qalander

Anwaar apnei name ka meaning bhe bata deyn
Akhlaas
partau
tawaNger

mushkel words

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

satyaa naas :smack:

mujhaY post karnaY kaY baad abhi Time pass maiN dekh kar yaad aayaa thaa kaY ABB maiN maaraa gayaa :bummer: :hehe:

baa’d maiN dooN gaa tafseel say jawaab… :hinna:

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

ap nehe chahte ap ka lekha me ko semg ae :teary2:

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

abaY chahataa hooN… :rotfl:

I will reply later :cb:

(shaairi kar kaY khud hee mar gayaa maiN :D)

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

ap nehe chate me ko jelde jelde semg ae esle reply nehe ke nah me nehe bolte :(

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

hummm
maza aya ke aya, Anwar bhai aap mashallah se bohut acha lekhte ho.
humain samjhne mein aaj mushkil paish aa rahi hai, kal phir parrhain ge to or bhi mazay ga.

adab arz

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

[QUOTE]

Nigaah-e-tez naY jub cheeraa thaa dil ko
fighaaN kay saaye maiN phir aaya thaa qalander

[/QUOTE]

mera pasndeeda shair yeh wala hay .. its related with my life ..sigh

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

LOL ab aq ko easy urdu mai likhni paray gi same ghazal :smilestar:

Re: – Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger –

i am not that good… abb naheeN likh paaouN gaa dobarah…

Re: -- Akhlaas kaY partau maiN jaisaY nafrat kaY tawaNger --

Taskeen kaY saamaaN haiN aflaak kaY neechaY
Insaan ko maar kar hee bantaa hai sikander

yea kia hai ? insaan ko mar kay kon banta hai sikandar? aysay kyun na karlain kay ;
insaaan ko maar kaar insaan banta hai sikander