Dear Fellow guppies Aaj dil kiya kay share karoon kuch… …Akelapaan ya tanhae insaan ko kha jati hai …
aaj dil nay kiya k kuch post karoon shayad mujhe meri Qaid-e-tanhaie nay kuch share karna chaha…kabhi kabhi itnay logoon k jhurmaat main bhi hum tanha rehtay hain ya tanhai mehsoos kartay hain aur kabhi kabhi kisi k na hotay huay bhi khush ajeeb hai ye dil aur uski arzoo…
kiya aap logoon ko bhi akela paan mehsoos hota hai? agar hota hai tu zaroor beyaan karie…or tanhai ya akela paan per kuch share kijye Guzarish hai …Yeh duniya ek meena bazar hi hai Logh atay hain diloon sey kheltay hain or chalay jatay hain hamein Akela Chorh kar…
Koi dost hai na rakeeb hai,
Tera shehar kitna ajeeb hai !
Woh jo ishq tha woh janoon tha,
Yeh jo hijr hai yeh naseeb hai !
Yahan kis ka chehra pada karoon,
Yahan kaun itna qareeb hai !
Main kisey kahoon meray saath chal,
Yahan sab kay sar pay saleeb hai !
Koi dost hai na rakeeb hai,
Tera shehar kitna ajeeb hai
yes i think aur baki yahan per agar ye ghazal adhori hai tu Mashallah yahan baray hi zabardast poetry lovers hain jo meri agar ghazal adhori hai bakol ap ke tu shayad pori kardein :-)