Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota...

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota

Na Mazaa Hai Dushmani Main Na Hai Lutf Dosti Main
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota

Ye Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti
Na Tumhen Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota

Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota

By, Daagh Dehlvi

Re: Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota...

Zindagi pe kisko aitbar hai ? :(

Re: Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota…

Aaj Dagh Delhvi ki bari hai. :k:

Re: Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota...

Han Jee...

Re: Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota…

Whoaa!! :clapping:

:k:

Re: Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota...

Tou yehi kiya inki rooh bol rahi hai :o