Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

Aisa Apna Husband Ho"
6’-6’2" jiski height ho,
Jeans dheeli magar body tight ho,
Biwi ka har nakhra uthaye,
Itna mizaaj uska light ho,
Husband apna aisa bright ho.

Uff tak na kare itna quiet ho,
Dinner banaaye wo jab bhi romantic night ho,
Shopping kar ke jab bhi aoon,
Bolay begum tum kitni nice ho,
Husband apna aisa bright ho.

Mujhe rani bana kar rakhe,
to phir zindagi delight ho,
Saas sussar ke samne kahe,
jaan tum hamesha right ho,
Hamesha jo haar maan jaye,
Jab bhi kabhi fight ho,
Husband apna aisa bright ho

Jahaan chaahoon jaaoon, jo chaahe karoon,
Kuch iss tarah ki life ho,
Har doosre week ghoomne phirne ki flight ho,
Aisa ho jaye to main urroon aasman mein, jaise kite ho,
Husband apna aisa bright ho
palakon pe bitha ke rakhe jo
shadi ke baad bhi gym chalu rakhe wo
subah coffee ke saath muje uthaye wo
b’day & wedding anniversary gift ki shopping ke liye time nikale jo
aur sath mein uska 1 supplementary credit card aur mobile ho…
aisa apna husband ho
pna aisa bright ho.
Uski apni ek website ho
Network uska world-wide ho
Swiss bank mein account 26 - 27 ho
Meri har pasand uski favourite ho
Apne friends ke saamne kahe, tum perfect bride ho
Husband apna aisa bright ho
or akhir mein arz kiya hai..
viagra ka jo naam na le sari raath
aisa apna husband ho…
Kaash yeh concept .0001 percent bhi right ho,
Agar Aisa apna Husband ho,
to kya haseen life ho

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

Koi oor naqsha khinchoo Husband ka

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

Na baba.... husband ka band baja hoa ho aisa to nahi hona chahiye,,,
Husband ho to lagey ke husband hai,,
Raub dar hoo,,,
smart ho na ho,, Aqalmand hoo,,
Sincere hoo,,, Dominant hoo,,,
fesley kerney janta hoo,,,
samajhdar hoo,,,
to chaley ga,,, **
**he he he he he he

^agree bechi.................dil khoush ker diya.......jeety reho khoush reho :)

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

That's funny. And sooooooooo unrealistic. :D

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

lol....we wish!

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

Haw haye.

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

HAR GIZ NAHI

Mera banda har giz itna soona na ho kun kay banda sona ho na tu wo bivi kay nakhray nai uthata wo apnay nakhray main rehta hay k main zada haseen hon koi or mil jaye gi,,,

is lie main nay tu Koja sa dhondna hay bai

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

^ Contact with ImranQ :k:

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

:rolleyes:

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

^Aap ko chahiay kiya imranQ... aap rakh lo :p

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

Dur fitay mounh.:rolleyes:

Tum hi rakho apnay paas. Meray paas apna fiance hai.

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

^ Door bhi fit hay ..wahan moun laganay ki zarorat naheen ... BTW maianay imranQ** chitti** ko gift kiya tha aur aankhain aap ghuma raheen theen ..woh kiyun ???

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

:rolleyes:

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

PK Kojay tu tum bhi ho apnay baray main kiya khayal hay ji aap ka???

wese main nay dhond tu lia hay aik,,, or har roz gati hon us kay lie

way sab tu soneya ting ting
haye way man mownayaaaaaaa
main teri hoooooooooo gai
piyar wich kho gaiiii hiiiiiiiiiiiiii

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

kaash..:cb:

Re: Aisa Apna Husband Ho"......ba farmaish khawateen

kun has rai ho sahaili

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

Define kojay ??? :smilestar:

Re: Aisa Apna Husband Ho"…ba farmaish khawateen

jee mey aik aisey bundey ko jaanta hoon, aap ko chayee :smiley: