Aik Nai Kaawish !!

*Assalaam-o-alaikum

Dosto aik adad nai tuk-bandi ki hai jisse maiN aapki kHidmat meiN pesh karta hooN
:galla Saaf karne waala Icon:
to Janaab Arz kyia hai:-

**Safar meiN Shauq-e-Safar saath le ke chaltaa hooN Jamaal-e-Qalb-o-Nazar saath le ke chaltaa hooN

Ik Izteraab saa rakhtaa hooN apne Pehloo meiN
SakooN meiN Rang-e-kHatar saath le ke chaltaa hooN

Phir apni Zaat ke SehraaoN se guzarnaa hai
Phir apnaa Deeda-e-tar saath le ke chaltaa hooN

Udaas Shaam kaa Lehjaa , JudaaioN ki Kassak
MaiN apnaa RakHt-e-Safar saath le ke chaltaa hooN

Koi Gumaan kaa Mausam na WaahemoN ki Fazaa
YaqeeN ki Rut ko magar Saath le ke chaltaa hooN

NahiN hai kHauf-e-Rah-e-kHaar, Zer-e-Paa “Shaakir”
MaiN Justajoo kaa Hunar saath le ke chaltaa hooN**


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 10, 2002).]

[This message has been edited by Tassneef (edited July 14, 2002).]

[This message has been edited by Tassneef (edited July 14, 2002).]

jatay kidhar ho :-p

btw boht khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Jaana kidhar hai jee …Just Qais ke Naqsh-e-Qadam per chal rahaa hooN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

nahiN kHair Naqoosh-e-Kaff-e-Paa to Meer-o-gHaalib ke haiN Qais to ik baahanaa hai

Shukriaa Gemini sahibaa gHazal passand karne kaa (Jazzakallah)


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 10, 2002).]

V nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

…aur ab beth jao chaltey chaltey kahin thaak he na jao

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Yeh Safar hi to khatam nahi ho sakte na mere
lolz maiN ne kaabhi SaagHir-o-meena pe nahIn likhe aaj maiN gHaur kar rahaa tha to maiN ne dekha keh safar per hi Hameshaa mere Sher rahe haiN maslan yeh cheedaa cheeda:-

Le ke Jaiga Bahaao waqt ka Jaane kahaaN
kab talak behnaa parhegaa Maujaa-e-Taqdeer meiN

Jo BehroN ki Basti meiN Shaiyad agaiya hai
Gadaa-e-Shehr-e-Ulfat ko Sadaa se keya milegaa

Hamaari JustajuoN ka safar dekhaa nahIn tumne
HameiN phirte huwe YouN darbadar dekha nahiN tumne
SochoN ke Ban-Baas meiN aakHir kucH to soojh hi jaaigaa
Yeh RastoN ka Pech-o-kHam kHud Manzil bhi dikhlaigaa

aur Hadd to yeh hai keh Khud hi maangta pirta hooN lollz

Meri himmat Bandhaati hai yeh meri aablaa-Paai
Talaash-e-yaar ko maiN ne azaab-e-Jaan nahiN rakhaa

Raah meiN ruknaa tha kab,sochaa nahiN
Shauq-e-Manzil meiN yeh Dhab,socha nahiN

Hamqadam hoke HawaaoUn se yeh sookhe patte
Aik bichrhe huwe Mausam ka Patta dhoondte haiN

Tawaaf-e-Shehr-e-JaanaaN se agar Tassneef Fursat ho
Thake PairoN ke neeche ik musaafat aur rakhni hai

aur to aur yeh Duaa dekhyie

Ataa ho Jaada-e-Paa meiN JunooN ka Tarz-e-safar
SukooN-e-Manzil-e-Maqsood se nikaal mujhe

Tawaaf-e-Zaat-e-Anaa meiN hooN kab se maiN Shaakir
Tu barh ke Rasta-e-Masdood se nikaal mujhe

haha main ne aaj ghaur kiya meri har gHazal ya nazm meiN yeh Safar hi rehta hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

yeh kab kHatam hoga

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary2.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 10, 2002).]

Tell me can you Nymphus-Background ?
mujhe apne PC per nazar aarahi hai zara check akrke baatana?

Ichanged it?


*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*

[quote]
Originally posted by Tassneef:
**

Yeh Safar hi to khatam nahi ho sakte na mere
lolz maiN ne kaabhi SaagHir-o-meena pe nahIn likhe aaj maiN gHaur kar rahaa tha to maiN ne dekha keh safar per hi Hameshaa mere Sher rahe haiN maslan yeh cheedaa cheeda:-

Le ke Jaiga Bahaao waqt ka Jaane kahaaN
kab talak behnaa parhegaa Maujaa-e-Taqdeer meiN

Jo BehroN ki Basti meiN Shaiyad agaiya hai
Gadaa-e-Shehr-e-Ulfat ko Sadaa se keya milegaa

Hamaari JustajuoN ka safar dekhaa nahIn tumne
HameiN phirte huwe YouN darbadar dekha nahiN tumne
SochoN ke Ban-Baas meiN aakHir kucH to soojh hi jaaigaa
Yeh RastoN ka Pech-o-kHam kHud Manzil bhi dikhlaigaa

aur Hadd to yeh hai keh Khud hi maangta pirta hooN lollz

Meri himmat Bandhaati hai yeh meri aablaa-Paai
Talaash-e-yaar ko maiN ne azaab-e-Jaan nahiN rakhaa

Raah meiN ruknaa tha kab,sochaa nahiN
Shauq-e-Manzil meiN yeh Dhab,socha nahiN

Hamqadam hoke HawaaoUn se yeh sookhe patte
Aik bichrhe huwe Mausam ka Patta dhoondte haiN

Tawaaf-e-Shehr-e-JaanaaN se agar Tassneef Fursat ho
Thake PairoN ke neeche ik musaafat aur rakhni hai

aur to aur yeh Duaa dekhyie

Ataa ho Jaada-e-Paa meiN JunooN ka Tarz-e-safar
SukooN-e-Manzil-e-Maqsood se nikaal mujhe

Tawaaf-e-Zaat-e-Anaa meiN hooN kab se maiN Shaakir
Tu barh ke Rasta-e-Masdood se nikaal mujhe

haha main ne aaj ghaur kiya meri har gHazal ya nazm meiN yeh Safar hi rehta hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

yeh kab kHatam hoga

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary2.gif

Hmmm to aap kion is safaar ko khatam karna chahte hai …Na jahne chalte chalte saraaf main aap ko koun mil jahay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

Hmm Mil jayee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

abhi Mil jaayee…yaani mazeed intezaar muqaddar haii…aakHir mil kioUn nahi jaata

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

maiN to safar meiN hooN aur safar bhala kabhi kHatam huwe haiN


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Please let me know if you are seeing following Image also as Background? did you notice?:-

http://www.gupistan.com/gallery/1/Image18.jpg


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

1.Jamaal-e-Qalb-o-Nazar
2.Rang-e-kHatar
3.Deeda-e-tar
4.RakHt-e-Safar
5.Rut
6.Rah-e-kHaar
7.Zer-e-Paa
ab wah wah baad me kahain ge coz kuch samjh bhi aae to tab na itna mushkil words poetry me yeh inka meaning pehle bataaiye
keep it up

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Buhat khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Yah i noticed the Background Image


Owner of Mehkama-e-Sharafat
ô¿ô
.~.
Rude Boyz Rulez

Thanxxx yaar tum barhe Kaam ke bande ho ..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Jamaal= Khoobsooraati (Schönheit) Qalb= Dil
Deeda-e-tar= Namm aankheiN (feuchte Augen)
RakHT-e-Safar=Safar ka samaan (Zeug man auf einer Reise braucht) RakHt= Samaan (Zeug)

Rut= Mausam ..gHarhi

Rah-e-kHaar kHaar=KaanTa Rah= rastaa (kaantoN waala Raatsa)( dorniger Weg)

Zer= Neeche Paa=PaaouN = PaaouN


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 11, 2002).]

wah bohat khub ,,,nehayt he khubsurat kawish hai ap ki..KHUDA zor e-khalam aur daye ameen

Shukriaa NY saahibaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Tasneef uncle


DiL Ka KhiYaal Rukhna …

Thanx HH aunty

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

oh Buhat buhat shukriya Danke Jazakomullah
wah wah now i understand poetry and now Dil se wah wah :~P
Keep it up

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

intzaar theek ya phir ap ki gazlaiN is more per ja k rukay aur phir ap he ko kahna paraY

Ye Koon phir sey Onhi raasto meiN Choor Gayia Abhi Abhi Tou Aazaab-e-Safar sey Nikla tha

tu phiR theek hia k insan safaR per chalta he rahya keoN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

waaah bohaat kHoob sher

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

waaahhh

Chalnaa chalaana to laga rahegaa na..kioUnkeh ruknaa to maut hai aur safar Zindagi

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Iss lyie mujhe Safar hi manzoor hai Peeno Jee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

magar aapna to kucH haal yeh hai keh:-

Ghabraa gaye haiN Manzil-e-Maqsood se Qadam
MaiN kHud aap bhaTak jaaoUn jee chaahta hai


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**