Aik dhaga

Re: Aik dhaga

Aap is kay liye aik aur dhaga banayain. Is dhagay mein sirf urdu mein guft-o-shuneed hogi.

Shukriya.

Re: Aik dhaga

Aik rabta un logon kay liye jo Urdu likna seekhna chahatay hain. JL say mazarat. JL aap fees bhi ada karain gay jo tay pai thhi.

http://learnurdu.blogspot.com

Re: Aik dhaga

koi ghalat walat nahin hota :snooty:

OMG: zaroori hai yeh likhna bilkul nawazish hogi yeh bhi likh sakte hain nawazish hogi :stuck_out_tongue: apke chahne na chahne se kya hota hai :smiley:

Pagli : hmmm haan andi hai meno spanish wi :hoonh:

Re: Aik dhaga

JAZAKALLAH kiher baji :slight_smile:

Re: Aik dhaga

Ji haan. Ain Farsi say maakhooz hai aur iska matlab Exact hota hai. (Angeraizi medium waloon ko aisay hi samajh aye gi)

Yeh aisay likhtay hain…عين

Insan bro, is ka credit meray Bhai Harris ko jata hai jis nay yeh Blog banaya hai. Thanks to Harris.

Re: Aik dhaga

merey kiyal mey app dono ko credit jha tha hey , inhoney blog banaya hey aur app logo ko encourage ker rhi hey :)

Re: Aik dhaga

Shukriya. Waisay mujhhay khushi hogi agar aap Urdu hi main baat karain. Agar aap is main dushwari mehsoos kartay hain to yahan baat cheet karkay seekh saktay hain.

Re: Aik dhaga

angrezi main to is tarah nahin likhte jaise aap ne likha hai yeh to galiban urdu hai :p

Re: Aik dhaga

**Ghaliban **hota hai.

Aur kaun si angeraizi ki baat kar rahay hain?

Unhoon nay aadhi baat angeraizi main ki hai.

[QUOTE]
encourage
[/QUOTE]

Is ki jagah woh Hosla barhana ya phir koi aur munaasib lafz istamaal kar saktay hain.

Re: Aik dhaga

urdu mujha thora thora aata hai… madad chahti hooN :halo:

Re: Aik dhaga

aap ka benazir se kiya rishta hai???
thora thora aata hai???:rolleyes: aur madad **chahati **hoon???:rolleyes:
apko waqaee madad ki ashad zaroorat hai

Re: Aik dhaga

^ :frowning: tou mai nay kiya jhoot boli tha

mera urdu ganda hai na madaad daal do na :halo:

Re: Aik dhaga

madad maang rahay ho ya chandd sikkay jo ‘daal’ doon:D

Re: Aik dhaga

ji mey koshies keroon ga ke munasib alfaz ko dhoond ke in ka istamal ker sagoon :slight_smile:

Re: Aik dhaga

Shukriya.

ImranQ, agar aap waeyi Urdu seekhna chahatay hain to is dhagay tay tawasut say seekh saktay hain.

Re: Aik dhaga

:wave:
:salam:
kia mai is dhagay mai kuch likhnay ke jasarat kar sakta hon

Re: Aik dhaga

Kiyon naheen........Aaye aaye....Laikin sirf Urdu main.

Re: Aik dhaga

**theak hay theak hay mai sirf urdu mai he baat karoon ga is dhagay mai **
mujay thorhi bohat urdu ati hay :blush:

Re: Aik dhaga

Thori bohat?? Aap ko apni zaban par bhi oboor naheen hai?? Yeh to achhay aasaar naheen.

Re: Aik dhaga

kyo k ham loo (pakistani) is ko theak terha say seakhnay ke koshish he nahi kartay hian