Aik dhaga

Re: Aik dhaga

Oh, shukriya Bhaiya. (Bhaiya Hindi say makhooz hai, FYI)

Mera koi pata naheen kal hoon na hoon. Chand din ki mehmaan hoon, socha kuchh sanjeeda batoon say nikal kar kuchh din hans khel kar guzaar loon. Kiyon kay phir to us safar par rukhsat hona hai, jahan har aik nay jana hai. Main udaas naheen hoon, na hoti hoon. Main to bohat khush hoon…

images/smilies/smile.gif

Intezaar hai kay khatam naheen ho raha…intezaar ka bhi apna maza hai.

Abhi tau mainay wajah bhi naheen batayi aur aap pehlay hi udaas ho gaye???