Agar kuch naam daina ho
Mujhay insaan mat kehna
Judaa chehray, judaa bay shak sabhi k naam hotay hain
Magar insaaniyat k abb yahan per daam hotay hain
Mere tum daam matt daina
Mujhay ye naam matt dainaa!
Agar kuch naam daina ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magar Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jayay
Mujhay aisay nahin rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa!
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahin kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahin kehna!
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki aankh main
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh main mujh ko kabhi
Aanay nahin dainaa
K qeemat aansoon ki abb adaa tum se nahin ho gee!
Nahin tum yun nahin kehnaa
Mujhay aansoo nahin kehnaa
Mujhay aankhon mainn bastaa ik haseen sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahin jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
K sapnay aankh main taaron ki tarhaa jhilmilaatay hain
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahin kehnaa K sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apnaa Nahin Kehnaa K Apnay Rooth jaatay hain