Agar Aasaniaan hon.........

Chala jata hon hansta khelta mauj e hawadis se
Agar Asaniaan hon Zindagi dushwar hojaay

by Amjad Islam Amjad.

Ranaai e Khyal :blush:

Re: Agar Aasaniaan hon.........

very nice...

aik meri taraf say bhi

Aasaniyoon say pooch na manzil ka rasta
Apnay safar main raah k pathar talash kar
Zarray say ka'aynat ki tafseer pooch lay
Qatray ki wus'atoon main samandar talash kar

Re: Agar Aasaniaan hon.........

Aap donon ka collection bohat accha laga

Aik keri taraf se bhi,

Pehli seerhi per qadam rakh , aakhri seerhi pe aankh
Manzilon ki justuju main raigaan ek pal na ho

Friend4u4ever

Re: Agar Aasaniaan hon…

buhat khoob…mairii dairii yaani 1998 wali main likha hova yeh aik zabardast shair hay i like it

Re: Agar Aasaniaan hon…

Beautiful Collection … Tnx Ranaai e Khyal , nakhan and ahm4me :flower1:

Re: Agar Aasaniaan hon…

Zindagi dushwaar ho tab bhi insan rota hay :~)

Re: Agar Aasaniaan hon…

thanks :slight_smile:

One more…

Rah-e-talab main ho gar jazba-e-kaamil jis k saath
Khudh us ko dhoondh layti hay manzil kabhi kabhi

Re: Agar Aasaniaan hon.........

good ooey chay gaya ay tha karkay

Re: Agar Aasaniaan hon.........

Thank u all Friends,

For response and better contribution of your collection.

Ranaai e Khyal

Re: Agar Aasaniaan hon…

Beautiful :flower1:

Re: Agar Aasaniaan hon…

Nice Contribution nakhan,

isi tasulsul main aik shair aur:

Manzil mansad e hasti ka safar na mumkin
Shama e Ehsas agar dil main FirozaN na rahay.

Friend4u4ever

Re: Agar Aasaniaan hon…

ooey tusi bhi to chaa jatay ho her baaar…

One for u

wo hurf hurf meri rooh main utarta gaya
Jo baat karta gay, aur udaas karta gaya

Re: Agar Aasaniaan hon…

Thanks GS pata nahi mujhay apni har post pay aap k comments ka wait kiyon rehta hay, aur sab say ziyada khushi bhi aap hi k comments say hoti hay… :smiley:

Kabhi kuch bura likhoon to bataiye ga zaroor :blush:

Ana ki qaid say niklay muqabla to karay
Wo mera saath nibhany ka hosla to karay
Kabhi na tootnay wala hassar bun jaaon
Wo meri qaid main rehnay ka wada to karay

Re: Agar Aasaniaan hon…

Thanks ji ahm4me

Yaad us ki itni khoob nahi ā€œMeerā€ baaz aa
Nada’n phir wo ji say bhulaya na ja’ay ga

Re: Agar Aasaniaan hon.........

Meray khawboon k jhrakoon ko sajanay wali
Teray khawboon main mera guzr kahin hay k nahin
Pooch kar apni aankhoon say bata day mujh ko
Meri ratoon k muqaddar main sehar hay k nahin

Re: Agar Aasaniaan hon…

wah wah qurbaan shama yaara :),zabardast

Re: Agar Aasaniaan hon…

thanx 4 sharing saroo dear :slight_smile:

Re: Agar Aasaniaan hon…

looji aik tumhaaray waastay THAA karkay

Dunya k sitam yaad na apni hee wafa yaad
Ab mujh naheen kuch bhi muhabbat k siva yaad
MUDDAT hovee ik hadsa e ISHQ ko lakin
Ab tak hay teray dil k dharraknay ki sada yaad…:slight_smile:

Re: Agar Aasaniaan hon…

Shukria nakhan,

Rasm-e-ulfat hi ijazat nahi deti warna
Hum bhi aisa tumhain bholain ke sada yaad karo

Friend4u4ever

Re: Agar Aasaniaan hon…

acha ji aisa hay to phir aisa hi sahi…

Rooz kehta hoon bhool ja’on usay
Rooz ye hi baat bhool jata hoon