Agar Aasaniaan hon.........

Re: Agar Aasaniaan hon…

Thanks PK

ye THAA bohot zoor say lagi hay
zara sanbhal jaaon phir jawab daita hoon

Re: Agar Aasaniaan hon…

Nice

aik aur

Tumhain bhulana hi awwal to dustarus main nahi
Jo ikhtiaar bhi hota to kia bhula detay

Friend4u4ever

Re: Agar Aasaniaan hon.........

Masha Allah jee

Yahan to baray baa zoq log mojood hain,

Khush rahay aap sab,

Ranaai e Khyal.

Re: Agar Aasaniaan hon.........

it,s really good ranaai khyal

Re: Agar Aasaniaan hon.........

Jis din say chala hoon meri manzil pay nazar hay
Aankhoon nay kabhi neel ka pathar nahi daikha

Re: Agar Aasaniaan hon…

Zara Nawazi hay Hazoor ki warna tou banda kiss qabil… :slight_smile:

Ana ki qaid say niklay muqabla to karay
Wo mera saath nibhany ka hosla to karay
Kabhi na tootnay wala hassar bun jaaon
Wo meri qaid main rehnay ka wada to karay

Wah.. its Beautiful… Kis ke shair haiN?

Re: Agar Aasaniaan hon…

Thanks GS, (Waisay hum aap ki qabiliyat k sachhi muchhi maddah hain)

Ye meray pass kafi starting ki collections main say aik hay
us time to poet ka naam note karnay ka kahayl bhi nahi
ata tha..

Re: Agar Aasaniaan hon…

Ohhh thanks its beautiful

One for u

Bla ki afra tafreeh hay hamari zaat main lakin !
Hamin be-dhiyani main bhi teray dhiyan rehtay hain

Re: Agar Aasaniaan hon…

App ki collection paRhnay ke Khwahishmand hay Banda :slight_smile:

ANd… ab tou Aadat hay na Poet Name note karnay ki.. ya ab bhi naheeN hay :smiley: