Amal
February 17, 2011, 2:30pm
1
http://i54.tinypic.com/epnh42.gif
Aek be-naam sa raabta reh gaya
** zindagi sey yehi waasta reh gaya**
** bhar gaieN jholiyaaN deikhtey deikhtey**
** aek meiN hi duwa maaNgta reh gaya**
** ik nazar sey gharri meiN kati dooriyaN**
** zehn ye faasley naapta reh gaya**
** muntazir hi raha ye sawaali, Khuda**
** tu kahaN mannateiN baaNt’ta reh gaya!**
** sood sab ko mila waqt ki dorr meiN**
** jeet kar meiN to bas haaNpta reh gaya**
** raat aesey dhali ke khabar na hui**
** chaand apni jaga jaagta reh gaya**
** wo iraadey badal kar chala bhi gaya**
** meiN nazar hi faqat jaaNchta reh gaya**
Amal
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya,,,
simply awsome...ap alfaz ka chunao bohat khoobsurat kerte hain..keep it up.
NihalK
February 17, 2011, 3:24pm
3
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
Amal the Poetry section is on fire these days!!!!
LOVELY!!! You are too good brother!
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
where is fire???haeeeeeeeeeeeeee main dar gaee
NihalK
February 17, 2011, 4:14pm
5
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
Don’t worry someone was smoking and I thought there’s a fire!
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
jitni samjh ae utni achi lagi
fara
February 17, 2011, 9:37pm
7
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
Behtreen ghazal likhi hay aap nay...
Faixan
February 17, 2011, 9:52pm
8
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
very very nyc
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
Amazing poem Amal
Koyal
February 20, 2011, 4:31pm
10
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
wo iraadey badal kar chala bhi gaya
** meiN nazar hi faqat jaaNchta reh gaya
jab rabtey benaam ho tu yehi haal ho gha na
beautiful sharing Amal
**
Amal
February 20, 2011, 8:04pm
11
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
“Bohat deir ki meharbaaN aatey, aatey”
Amal
February 20, 2011, 8:07pm
12
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
Aap ka husn-e-nazar hey
Shukriya NihalK
Utna bhi kaafi hey
Shukriya fara ji
Aap ki qeemti raey ke leeye bohat, bohat shukriya :~)
Amazing poem Amal
Bohat shukriya Faris
KKF
February 21, 2011, 12:42am
13
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
**salaam Amal Bhai,
aapkii nai Ghazal paRh kar nihaayat maHzooz huaa...lutf aa gayaa. aapkii shaa'iri meN aapkaa ek apnaa hii andaaz aur rang miltaa hai...saadgii e bayaan aur parvaaz e Khayaal kaa taal mel baRii chaabuk-dastii se nujood meN laate haiN...kitnii ham-aahangii hotii hai...mashaa Allah...Allah kare zor e raqam aur ziyaada. mundarjah zel nisbatan ziyaada pasand aaye. share karne ke liye shukria.**
** bhar gaieN jholiyaaN deikhtey deikhtey**
** aek meiN hi duwa maaNgta reh gaya**
** ik nazar sey gharri meiN kati dooriyaN**
** zehn ye faasley naapta reh gaya**
** raat aesey dhali ke khabar na hui**
** chaand apni jaga jaagta reh gaya**
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
wahhhh wahh.. behad umdah.. bohat khoob tar ghazal hai .. MashaAllah Kaafi kuch seekh liya hai ...Kamaal ho gaya
umeed hai k ab jald hi yunhi khoobsoorat ghazaliyaat paRhnay ko milti rahaiN gi...
Thanks a lot for sharing...
Khush rahiye
Amal
February 22, 2011, 7:48pm
15
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya…
Khalil bhai aap ka husn-e-nazar aur band-parwari hey aur to kuch bhi nahi. Is hosla-afzaai ke leeye bohat maskhoor hooN
Yani ke aap ko pata chal gaya ke “Kaafi kuch seekh liya hai” … is ka matlab hey ke aap ko sikhaaney ka bhi pata hey…bas bataana nahi. Right? :pcg:
Ghazal pasand karne ke leeye shukriya Gul ji Mujhey to laga ke shaed ye ghazal aap ki nazr-e-karam sey mehroom hi reh jaey gi
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
Wo Irdaday badal kar chala bhi gaya
maiN nazar hi faqat jaaNchta reh gaya..
Beautiful...
Amal
February 23, 2011, 12:42pm
17
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
It's so good to see you GS :) Thanx a lot for liking it :)
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
wah :)
Re: Aek be-naam sa raabta reh gaya...
wahhhh
buhat he zabardast
amal this is awesom
i think mera buhat time k baad yaha ana hua hai issi lye me nay buhat kuch miss kardya