Abortion

Main bach gai maa main bach gai maa
tere kache lahoo ki mehndi mere por por main rach gai maa

gar mere naqsh ubhar aate, wo phir bhi lahoo se bhar jate
meri aankhen roshan ho jati to tezaab ka surma lag jata

‘satte vatte’ main bat jati ya ‘Kari’ main kaam aa jati
her khwab adhoora reh jata

mera qad jo thora sa badhta, mere baap ka qad chota paRta
meri chunni jo sar se dhalak jati, mere bhai ki pagRi gir jati

teri lori sunene se pehle main apni neend main so gai maa
anjaan nagar se aai thi, anjaan nagar main kho gai maa

Main bach gai maa main bach gai maa
tere kache lahoo ki mehndi mere por por main rach gai maa

Zuberi Zehra Nigah reads her moving poem on abortion - YouTube

Re: Abortion

:bummer:

Re: Abortion

why? :5:

Re: Abortion

ghairat k naam pe yeh sab kuch larkion k leay hi kyon

Re: Abortion

Vani main iskay bar aks hota hia… :hmmm:

Re: Abortion

vani mein bhi to larki ko bhaint charhaya jata hai

Re: Abortion

jaan to bach jati hai… larki ki… :hmmm:

Re: Abortion

vani shuda larki ki zindagi maut se badtar hoti hai

Re: Abortion

han baat to theek hai....

Re: Abortion

mujhay samajh nahin aati k jo khami larki mein qabil e qabool nahin,agar wohi khami larky mein ho to hum kyon aankhein band kr lety hain

Re: Abortion

kiyunke mard apne aap ko karta dharta samajhta hai... kehne ko aurat ko gunah ki jaR kaha jata hai, lekin Firo'n, Namrood, Abu Jahal aur Yazeed auraten to nahin thin

Re: Abortion

vani kia hota hy

Re: Abortion

khoon-baha main aurat hawale kar dena

Re: Abortion

sharing

Re: Abortion

aaj tak kisi aurat ne khudae da'awa nahin kia,yeh gunah e azeem bhi mardon ne kia hai

Re: Abortion

mard ne her daur main aurat ko scapegoat bana kar istemal kia hai… wo jo kehte hain ‘her kamyab mard ke peeche kisi aurat ka hath hota hai’ ye bhi kisi khatoon ne hi kaha hoga :hehe:

Re: Abortion

:rotfl:

Re: Abortion

I was serious :naraz: