Re: Abdullah ibn Saba - The Myth Exposed
Historians jo kuch kahtay hain us par yaqeen nehen karlia jata, yeh dekha jata hai kay woh kin sources say kahrahay hain, Ibn Saba ki dastaan sab say ziada Saif Ibn Umar naami shaks nay bayan ki jo kay sab logon kay mutabiq jhoota aur stories bananay wala tha.
Aur jahan tak mukhaalifeen e Shia main say un jaahilon ki baat hai jo Shiasm ko yahoodiat say milanay ki nakaam koshishain kartay aain hain, to un say dastbasta yeh poochna chahta hoon kay Allah [swt] aur us kay Rasool [s] nay Ali o Shian e Ali ko jannat ki basharat di, kia woh nauzobillah yahodion ko jannat ki basharat dayrahahy thay?
Aur sab say barh kar baat yeh kay is dinya main kisi aik Sunni ko agar woh ghayratmand aur bahaya to usay yeh haq haasil hi nehen kay woh Shiyat ki roots par tanqeed kuja koi baat bhi karsakay kion kay Shiat ki aqaid Quran, Sunnat o tareekh say saabit hain jabkay khud Sunni mazhab Nasibism aur Kharijism ka charba hai, Ahle Sunnat ki 6 authentic books jin ko woh Quran kay baad behtreen guide tasleem kartay hain, Nasibi aur Khariji logon say pur hain. To jab mojooda Sunni hazraat kay aba o ajdaad Nasibi aur Khariji thay, to kia yeh ghayrat ka taqaza nehen hai kay woh dosroon main burayee dhoonnay say baaz rahain?
Peace, No offence intended ![]()