Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo...

Ab Bataoo Jaayegii Zindagee Kahan Yaroo…
Phir Hain Barq Key Nazrain Su-e-Ashiyaan Yaroo

Ab Na koi Manzil Hai Aur Na Rahguzar Koi
Jaanay Qafila Bhatkay Ab Kahan Kahan Yaroo…

Phool Hain Kay Laashain Hain Bagh hai Key Maqtil Hai
Shaakh Shaakh Hota Hai Daar Ka Gumaan Yaroo

Maut Say Guzar Kar Yey Kaisee Zindagee Paiee
Fikr Pa-ba-Joulaan Hai Gung Hai Zubaan Yaroo

Turbatoun Key Shamayen Hain Aur Gehrii Khamooshi
Jaa Rahay Thay Kis Janib Aa Gaiy Kahan Yaroo

Raahzun Kay Baray Main Aur Kiya Kahoon Khul Kar
Mir-e-Karwaan Yaroo Mir-e-Karwaan Yaroo

Sirf Zinda Rehnay Ku Zindagee Nahee Kehtay
Kuch Gham-e-Mohabat Hu Kuch Gham-e-Jaanaan Yaroo

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo...

Raahzun Kay Baray Main Aur Kiya Kahoon Khul Kar
Mir-e-Karwaan Yaroo Mir-e-Karwaan Yaroo

Bahut aala janab!

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo...

beautiful..


Thank u munchooo:)


Thank u Ahmer:)

very nice 1 :k:

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo...

zabardust

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo…

**zabardast Muddiji **:lajawab:

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo...

bohat achi choice hy muddii

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo...

Sirf Zinda Rehnay Ku Zindagee Nahee KehtayKuch Gham-e-Mohabat Hu Kuch Gham-e-Jaanaan Yaroo

Re: Ab Bataoo Jaayigee Zindagee Kahan Yaroo…

bohaat umda muudi g thx 4 sharing :bb:

Thank u Shab:) These days you are not sharing any thing?


Thank u S-786:)

Thank u JJW:)


Thank u abeeha:)


Thank u Rida:)

Thank u SID:)