aa'zaa ki shayari

Re: aa’zaa ki shayari

Maata-e-loh-o-qalam chin gayi to kya ghum hai
K khun-e-dil men dubo li hain ungliyan mene
Zuban pe muhar lagi hai to kya ke rakh di hai
Har ek halqa-e-zanjeer men zubaan mene

English:

If they snatch my ink and pen,
I should not complain,
For I have dipped my fingers
In the blood of my heart.
I should not complain
Even if they seal my tongue,
For every ring of my chain
Is a tongue ready to speak.

Re: aa’zaa ki shayari

http://img30.imageshack.us/img30/466/82611.jpg

Re: aa'zaa ki shayari

likhte rahe junooN kee hikaayat-e-KHooNchakaaN
har chand usmaiN haath hamaare qalam huve

Re: aa'zaa ki shayari

usne dekha hi nahi apni hatheli ko kabhi gaur se
usmein dhundhli si ik lakeer mere naam ki bhi hai

Re: aa'zaa ki shayari

Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki

Re: aa'zaa ki shayari

Kaga sab tan khaiyo chun chun khaiyo maas.
Do naina mat khaiyo mohe piya milan ki aas.

Re: aa'zaa ki shayari

*saare badan ka Khuun pasiine me.n jal gayaa
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa *

Re: aa’zaa ki shayari

Re: aa’zaa ki shayari

Re: aa'zaa ki shayari

dil aur vo bhii TuuTaa huaa dil
ab zindagii hai jiine ke qaabil

Re: aa'zaa ki shayari

Jo teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko

Re: aa’zaa ki shayari

http://www.pegham.com/attachment.php?attachmentid=48089&stc=1&d=1198604581

Re: aa’zaa ki shayari

https://encrypted-tbn1.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcQOYxeqosqfFx1eeScpQbERotSFBHxJjvri4TnO_nrug6HU4YnFaQ

Re: aa'zaa ki shayari

denaa vo us kaa saagar-e-may yaad hai "Nizam"
muunh pher ko udhar ko idhar ko barhaa ke haath