Share long poems you read and read till end.
I start with:
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
yeh Nazam Haafiz e Shiraaz kii ek Faarsii Ghazal kii tazmeen hai.
1. beKhabari [nazam] by AsGhar GonDvii
**Hazar jaama dari sad hazaar bakhia gari
tamaam shorish o tamkeen nisaar e baykhabari
Haafiz-e-Shiraaz
**
*Sukoon e shorish e pinhaan hay shaghl e jaama dari
Qaraar e seena e sozaan hay naala e sehri
*
*Mizaaj e ishq bohat mu'tadil hay in rozon
jigar main aag dehakti hay aankh main hay tari
*
Yay darr hay her bun e moo ab lahoo na day niklay
Kuch aisay zor pay hay aaj kaavish e jigari
*Jo mujh pay guzri hay shab bhar woh dekh lay hamdam
Chamak raha hay miza per sitaara e sehari
*
*Utha hay dard... rag e jaan hay tishna e nishtar
Mujhe hay aaj talash e kamal e chaara gari
*
*Gharaz nishat o alam say faqat tamasha hay
kay yay manazir e rah aur main hoon rah guzari
*
*Na mud'aa koi mera na kuch haraas mujhe
Kay aashiqi hay faqat bay dili o bay jigari
*
*Teri nigaah kay sadqay yay haal kea hay mera
Kamal e hosh karoon ya kamal e baykhabari
*
*Ghazab hua kay garaybaan hay chaak honay ko
Tumharay ishq ki hoti hay aaj parda dari
*
*Kaheen hay ishq kaheen hay kashish kaheen harkat
Bhara hay khama e fitrat main rang e fitna gari
*
*Mahaal tha koi hota yahan siwa teray
Yay kul jahaan hay mannat pazeer e kam nazari
*
*Woh her ayaan main nihaan hay woh her nihaan main ayaan
Ajeeb tarz e hijaab o ajeeb jawla gari
*
*Kuch is tarha hueen aajiz nawaziaan us ki
Kay meri aah ko hay ab talash e bay asari
*
*Nuzool paykar e khaaki pay Rooh e Azam ka
Zahay kamal e sarafandagi o bay hunari
*
*Karam kuch aaj hay saqi ka woh tarab angaiz
Kay jur'aa jur'aa hay moj e taranum e sehari
*
*Us aastaan say uthaayee na phir jabeen main nay
Haram main sajda e paiham thi aik dard e siri!
*
*Chupi hay neem nigaahi main rooh e baytaabi
Mili hay husn e tabassum ko rayzish e sharari !
*
*Na jaayeay meri bigrri huee adaaon per
Kay aashiqi main meri husn ki hay jalwa gari
*
*Jo shokhion say lea hay jamal e baytaabi
To josh e husn say paayi adaa e jama wari
*
*Leay hain zulf say aashuftagi kay kul andaaz
Nigah e mastt say pohancha hay husn baykhabari
*
*Khamosh...Asgher e bayhooda kosh o herza sara
Kay husn o ishq ki achi nahi hay parda dari
*______________________________________________
Ba gosh e hosh suno pind e Haafiz e Shiraaz
'Cha nukta eest ba tarz e taranum e shukari'
**"Chu her khabar kay shaneedam rahe ba hairat daasht"
"Azeen spish mun o saaqi wa wa'ze bay khabari"
(Hafiz e Sheeraz)**
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
http://www.friendskorner.com/watermark.php?src=forum/photopost/data/500/nazmain_psd.jpg
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
poet?
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
bhi kuch din laggaiN gey
Dil Aisay shehr kay paamaal ho jaanay kaa manzar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey
jahaan-e-Rung kay saaray Khus-O-Khaashaak, sub sur-O-Sanobar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey
Thakay haaray huvay khwaabouN kay saahil par, kaheeN ummeed kaa choTa saa ik ghar
bantay bantay reh gaya hay
woh ik ghar bhoolnay maiN, Abhi kuch din laggaiN gey
magar abb din hee kitnay reh gaye haiN
Buss, ik din Dil kee Loh-e-Muntazir par
Achaanak
Raat utray gee
meri baynoor AankhouN kay khazaanay maiN chuppay har khwaab kee takmeel kar day gee :-)
Mujhay bhee khwaab maiN tabdeel kar day gee
Ik aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheeN thaa
Aik aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak maiN koie Mubarak
koie roshan din naheeN thaa
Abhi kuch din laggaiN gey
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Tumhein keasey batein hum
Muhabbat aur kahani mein koi rishta nahi
Kahani mein
To hum wapas bhi aatey hein
Muhabbat mein paltaney ka koi rasta nahi hota
Zara Socho!!
Kaheen dil mein kharashein dalti yadoon ki safaki
Kaheen daman sey lipti hey kisi bholi hoi
Saat ki num naki
Kaheen aankhon key khemoon mein
Charagh-e-khawab gul kerney ki sazish ko
Hawa deti hoi ratoon ki chalaki
Mager mein banda-e-khaki
Na janey kitney firaoonon sey uljhi hey
Mere lehjey ki bebaki
Mujhey dekho
Mere chehrey pey kitney mosmoon ki gard
Aur is gard ki teh mein
Samey ki dhoop mein rakha ik aaina
Aur aainey mein tahad-e-nazar phealey
Muhabbat key sitarey aakas bun ker jhilmalatey hein
Nai duniyaon ka rasta batatey hein
Isi manzar mein aainey sey uljhi kuch lakeerin hein
Lakeeron mein kahani hey
Kahani aur muhabbat mein aazal sey jang jari hey
Muhabbat mein ik easa moor aata hey
Jahan aa ker kahani har jati hey
Kahani mein to kuch kirdar hum khud farz kertey hein
Muhabbat mein koi kirdar bhi farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdar
Mil jul ker kaheen agey chaltey hein
Muhabbat apney kirdaroon ko khud agey barhati hey
Kahani mein kai kirdar
Zinda hi nahi rehtey
Muhabbat apney kirdaroon ko marney hi nahi deti
Kahani key safar mein
Manzaroon ki dhool urti hey
Muhabbat ki musafat rah geeroon ko bikharney hi nahi deti
Muhabbat ik shajer hey
Aur shajer ko is sey kia matlab
Keh us key saye mein
Jo bhi thaka hara musafir aa ker betha hey
Ab us ki nasal kia hey rang keasa hey
Kahan sey aaya hey
Kis simat jana hey
Shajer ka kaam to bus chaon dena
Dhoop sehna hey
Usey is sey gharz kia hey
Parao dalney waloon mein kis ney
Chaon ki taqseem ka jhagra uthaia hey
Kahan kis eahad ko toora kahan waada nibhaia hey
Mager hum jantey hein
Chaon jab taqseem ho jaye
To akser dhoop key neezey
rag-o-pey mein utertey hein
Aur is key zakham khurda loog
*Jeetey hein na martey hein … *
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Na chaiRho khilti kalyoN, hanste phoolon ko
in uRhti titliyoN, aawara bhawron ko,
tassalsul Toot jaay ga!
fiza mehway sama'at hai,
haseen honton ko naghma-rez rehne do,
nigahaen neechi rakho aur mujassam gosh ban jaao
agar junbish labon ko di,
tassalsul Toot Jaay ga!
hawa say pat-tiyaaN sargoshiyoN meiN mehave haiN
aur jhoomti shakHoN ke jhooloN meiN
parindoN ki chahak se sara sahil
sarmadi ehsas meiN Dooba huwa
sarshar-o-shadaaN hai
agar kankar bhi satah-e-aab pe mara
tassalsul Toot jaay ga!
ufuq meiN Doobte sooraj ka manzar
iss bulandi se zara dekho
issi rangeen kinaare par,
shafaq sona luta-ay gi
yoonhi tum be- hiss-o-saakit raho
aise meiN palkaiN bhi zara jhapkaiN
tassalsul Toot jaay ga!
**wo kHwabeeda hai, kHwabeeda hi rehne do
**
na jaane kHwaab meiN kin waaadiyoN ki sair karti ho
bulandi se phisalte aabsharoN meiN kahiN gum ho
falak- asaar choti par kahiN meh'way tarranum ho
agar awaz di tum ne
tassalsul Toot jaay ga!
maiN shayar hooN,
meri fikr-e-rassa, ehssass ki uss satah par hai
jiss meiN kHushboo rang banti hai
sada ko shakl milti hay
tassavvur bol uthTa hai
kHamoshi gungunaati hai
yeh wo waqfa hai _ _ _ _ _ _ aise meiN,
agar daad-e-sukHan bhi di
tassalsul Toot jaay ga!
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Tum jo pal ko Thehar jaao to yeh lamhe bhi
Aane wale lamhon ki amaanat ban jaayen
Tum jo Thehar jaao to yeh raat, mehtaab
Yeh sabza yeh gulaab aur hum donon ke khuwaab
Sab ke sab aise mub-ham hon ke haqeeqat ho jaayen
Tum Thehar jaao ke unwaan ki tafseer ho tum
Tum se talkhi-e-auqaat ka mausam badale
Raat to kya badalegi haaalat to kya badalen ge
Tum jo Thehar jaao to meri zaat ka mausam badale
Meharbaan ho ke na Theharo to phir yun Theharo
Jaise pal bhar ko koi kuwaab-e-tamanna Thehare
Jaise durweshe madaH-nosh ke pyaale mein kabhi
Ek do pal ke liye talkhi-e-duniya Thehare
Thehar jaao ke madaarat mai-khaane se
Chalate chalate koi ek aadh subu ho jaaye
Is se pehale keh koi lamha aainda ka teer
Is tarha aaye ke pewaste gulu ho jaaye
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Suna hoga bohat tum ne..... kahin
aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne.... kahin
lehjay ki barish ka
kahin sagar ke aansoo ka
magar tum ne kabhi humdam...kahin
daikhay kahin parkhay
kisi tehreer ke aansoo
mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hon....
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hon...
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main...
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain...
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta...
mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil...usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam
meri tehreer ke aansoo ..!!
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
hazaroN pal tumhare bin,
na poocho, kaisay kat-tay hain,
kabhi yaadain rulaati hain,
kabhi mousam satatay hain,
issay keh do hum aatay hain,
humain mayoos na karna,
humara maan rakh laina,
humain wapas naheen jaana,
humain dil main basa laina,
humain apna bana laina,
bohot tarpay huye dil se,
bohot rootha naheen katay,
mohabaat tou ibaadat hai,
usay ruswa naheen kartay,
zamanay se chupatay hain,
kabhi zahir naheen kartay,
suno aisay naheen kartay
suno aisay naheen kartay,
safar tanha naheen kartay,
jisay shafaaf rakhna ho,
usay maila naheen kartay,
teri aankhain ijazat dain,
to hum kia kia naheen kartay,
yeh oonchay pair kaisay hain,
humain saya naheen kartay,
jo dhun ho kar guzarnay ki,
to phir socha naheen kartay,
bohut ujray huye logon per,
bohut roya naheen kartay,
teri aankhon ko parhtay hain,
tujhe daikha naheen kartay,
jo mil kar khud se kho jaye,
usay dhoondha naheen kartay,
chalo tum raaz ho apna,
tumhain afshaan naheen kartay,
sahar se pooch lo Mohsin,
keh hum soya naheen kartay...
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
buzurgoon ki kahawat hai
kisi bhi pal ke ruk jaane ki khwahish
dil mein mat rakhna
yaqeen aur was-wasay ke beich
kathin,aasaan rastoon mein
na jaane
zeest ke kitne hi lamhe hein
ke jin ko rokna chaaha
magar hum rook na paai
phir aise dasht bhi aai
ke jin ko paar karne men
laga,saari umer guzri
shumaar waqt mein lekin
yeh sab utne hi lamhe thai
ke jin ko rokne ki aarzo mein
yeh riwayat bhool baithe thai
kisi bhi pal ke ruk jaane ki khwahish
dil men mat rakhna
ke jab mousam tehar jaain
udaasi ban ke roohon mein
to phir umer e rawaan ke
saare mousam
aik hi rang
aik hi qalb mein dhaltey hein
barsaa baras dil ke gird
anookhi dhund ke yeh jaal buntay hein
jahaan koi sunehri yaad
andar ja nahi sakti
yeh mousam gar guzar jaai
ro pehli chaandni ko
rooh mein ummeed ki barsaat ka
rasta jo mil jaai
tou saari umer sajdah raiz ho kar
yeh dua maangoon
koi mousam na ab tehray…!!
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Yehii gar zid tumhaari hai
chalo hum bhool jaatey heiN..!
sabhi waadey, sabhi qasmeiN
mohabbat ki sabhi rasmeiN
nahi, manzoor jo tum ko
kareiN ranjoor jo tum ko
tumhaari shaad-maani hi, azeez-az-jaan hai jab tu
tumheiN phir tokna kesa?
ziyaaN, sood ki baabat, bhala phir sochna kesa
chalo hum bhool jaatey heiN..!
mohabbat ki riyazat meiN
wafaaoN ki musaafat meiN
qadam kis ke kahaan behkey,huwi kis se kahaan larzish
basaa di jis ne ik pal meiN,humaari aankhoN meiN baarish
ke jis ki tez boondoN ne
kisi tezaab ki soorat
nishaaN-e-manzil-e-dil hi, jala dala miTa daala
magar jaaNa
kahaaN aasan hota hai?
jigar ka khoon ashkoN meiN, badalna aur bahaa dena
khas-o-khashaak chun chun kar
gharonda ik banana aur…ussi ko phir jala dena
jawaaN sapnoN ki laashoN ko
darooN-e-jaaN chuhpaa kar…muskara dena
khizaaeiN paalna khud meiN, bahaareiN baanTtey phirna
kahaaN aasaan hota hai..?
buhat mumkin hai hum bhi haar hi jaaeiN
jawaaN hai zabt jo ab tak
muqaabil ghum ke aaey..aur Dhai jaaey
aur iss meiN bhii taa’ajub kiyaa?
tumhaarey louT aaney ki..bachi ho aas jo koi
nawaaey be-zubaaN ban kar
sisak kar phir se utthey aur..tum tak bhi puhanch jaaey
so tum se ye guzaarish hai
tab ik ehsaan tum karna
palaT kar dekhna yuuN sard nazroN se
ke jo bhii aas zinda ho..
ussey yak-sar miTa dena
humeiN pathar bana dena...........
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa
Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay
Mujhay aisay nahi'n rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
Aanay nahi'n dainaa
K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hai'n
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hai'n...
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
UDAAS LOGO KI BUSTIYO MAI
WO TITLIYO KO TALASH KARTI
WO AIK LARKI . . .
WO GOL CHEHRA, WO KAALI AANKAIN
JO KARTI REHTI HAZAAR BAATAIN
MIZAAJ SAADA,,, WO DIL KI ACHI
WO AIK LARKI . . .
SAARI BATAIN WO DIL KI MAANAY
WOHI KARAY WO, JO DIL MAI TAANAY
KOYI NA JANAY,, KYA OS KI MARZI
WO AIK LARKI . . .
WO CHAHATO K SARAAB DEKAY
MOHABATOO K WO KHWAB DEKAY
WO KHUD SAMANDAR MAGAR HAI PYASI
WO AIK LARKI . . .
WO DOSTI K NISAAB JANAY
WO JANTI HAI EHD NEBHANAY
WO ACHI DOST WO ACHI SAATHI
WO AIK LARKI . . .
WO JAAM CHAHAT KA PEENA CHAHAY
WO APNE MARZI SE JEENA CHAHAY
MAGAR HAI DARTI,,, MAGAR HAI DARTI
WO AIK LARKI . . .
MOHABBATO KA JO FALSAFA HAI
WO JANTI HAI,,, OSAY PATA HAI
WO PHIR BI REHTI DARI DARI SI
WO AIK LARKI . . .
WO JOOTAY LOGO KO SACHA SAMJAY
WO SARI DUNYA KO ACHA SAMJAY
WOH KITNI SAADI,,, WO KITNI PAGLI
WO AIK LARKI . ...
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
ایک مہرے کا سفر
جب وہ کم عمر ہی تھا
اس نے یہ جان لیا تھا کہ اگر جینا ہے
بڑی چالاکی سے جینا ہوگا
آنکھ کی آخری حد تک ہے بساطِ ہستی
اور وہ ایک معمولی سا ایک مہرہ ہے
ایک ایک خانہ بہت سوچ کر چلنا ہوگا
بازی آسان نہیں تھی اس کی
دورتک چاروں طرف پھیلے تھے مہرے
جلاد ، نہایت سفاک ، سخت بے رحم ، بہت ہی چالاک
اپنے قبضے میں لئے پُوری بساط
اس کے حصے میں فقط مات لئے
وہ جدھر جاتا ، اُسے ملتا ۔۔
ہر خانہ ایک نئی گھات لئے
مگر وہ بچتا رہا ۔۔ چلتا رہا ۔۔۔ ایک گھر ، دوسرا گھر ۔۔ تیسرا گھر
پاس آیا کبھی اوروں کے کبھی دُور ہوا
گو کہ معمولی سا مہرہ تھا
مگر جیت گیا ۔۔۔
یوں ایک روز وہ بڑا مہرہ بنا
اب وہ محفوظ ہے ایک خانے میں
اتنا محفوظ کہ دشمن تو الگ
دوست بھی پاس نہیں آسکتے
اُس کے ایک ہاتھ میں ہے جیت اُس کی
دوسرے ہاتھ میں تنہائی ہے
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
ہمارے ہاتھ خالی ہیں۔۔۔
مقدر سے الجھتی ان گنت ان میں لکیریں ہیں
لکیروں میں کہانی ہے۔۔۔
ہماری زندگانی ہے۔۔۔
مگر پھر بھی یہ لگتا ہےیہمارے ہاتھ خالی ہیں۔۔۔۔
کہیں ماضی نمایاں ہے، کہیں اسباب دکھتے ہیں
جو ہم اب جھیلتے ہیں وہ سبھی حالات دکھتے ہیں۔۔۔
جو پل اب تک نہیں آئے، وہ سب ان میں سمائے ہیں
مگر سب کچھ پوشیدہ ہے سبھی ا دوار مبہم ہیں
ہمارے آنے والے پل ہمارے ہاتھ میں گم ہیں
مگر پھر بھی یہ لگتا ہے
ہمارے ہاتھ خالی ہیں۔۔۔۔
میں پہروں اپنے ہاتھوں کی لکیریں تکتی رہتی ہوں
مگر اپنی ہتھیلی پہ نہیں دکھتی مجھے ہرگز
وہ اک ساعت جو خزاں رت کو بہاروں میں بدلتی ہو،
وہ اک لمحہ جو صدیوں کی تھکن کو مات دے جائے،
وہ اک رستہ جو پل بھر میں منزل کو پہنچ جائے۔۔۔۔
میری تکمیل کر جائے۔۔۔۔
میں پہروں تکتی رہتی ہوں الجھتی ان لکیروں کو
مگر اب تک نہیں ملتی
وہ اک ساعت کہ جس پہ وصل کا میغام لکھا ہو
وہ اک ریکھا جس پہ تیرا میرا نام لکھا ہو۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen
http://i50.tinypic.com/141pai1.jpg
http://th02.deviantart.net/fs70/PRE/i/2010/155/0/4/SELF_MADE_LOGON_KA_ALMIA_by_satti2008.jpg