Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Mere buss mien ho tu kabhii kaheen
Koii shehR aisa basao`N mae
Jahan faakhta`oN kii phar-pharahatt se naghma-e-zaar-e-hayaat mien
Jhunjhunatii saanso`N kii jhaanjharieN jo channak uthieN
Tu dhanak k rungo`N mien bheeg jayein hawaas tak
JahaaN chaand, maand na ho kabhii, jahann chaandnii ki rida bannay
Merii baanjh dhartii k baasiyo`N ka libas tak
Jahan sirf hukm-e-yaQeen chalay, jahan be-nisha`N hoon Qayyas tak
Jahan aadmiyat k natQ-o-lub pe na shehR-e-yaar ka khoof ho
Jahan sar-saraaye na aadmii kii raggo`N mien koii haraas tak
Jahan vehm na ho, na dilo`N mien vehm ka sehm ho
Jahan such ko such se ho waasta
Jahan jugno`N ko hawa dekhatii ho raasta
Jahan khushbo`oN se badaltiii rutt ko hasadd na ho
Jahan pastiyoN se bulandiyoN ko bhii kadd na ho
Jahan khwaab ankhoN mein jagmagayeiN tu
Jism-o-jaaN k sabhii dareecho`N mien tairgii ka guzaR na ho
Koii raat aisii basar na ho k bashar ko apnii khabR na ho
Jahan daagh daagh seheR na ho
Jahan kashtiyyaN hoon rawan dawan tu samandaro`N mein bhanwaR na ho
Jahan barg-o-baar se ajnabii koii shaakh, koii shajaR na ho
Jahan chehchahatay hoay parindoN ko barishoN k azaab ka darr na ho
Mere bus mein ho tu kabhii kaheeN
Koii shehR aisa basao`N mae...

Jahan barf barf mohabbato`N pe ghum-e-jaaN ka asar na ho
Rah-o-rasm duniya kii bandishieN, ghum-e-zaat k sabhii zaiQayy
Sam-e-Qainaat kii talkhiya~N, kisii aankh ko bhii na cho` sakieN
Jahan merii saNs ki taazgii terii chahato`N k kanwal mien ho
Tera husn merii ghazal mien ho, jahan Qainaat kii ik sadaf
Shab-o-roz k kisii pal mein ho
Jahan noha-e-ghum-e-zindagii, merii hichkiyo`N se ayaaN na ho
Jahan loh-e-khaak pe umeR bharr kisii be-gunah k khoon ka,
Koii daagh, koii nishaaN na ho
Koii shehR aisa kabhii, kaheeN...

Jahan dhoop cha`oN gallay milieN
Jahan baanjh rutt mien bhii gul khilieN
Jahan chahatoN k hujoom mien, kabhii geet aman k gaaoN mae
Jahan zindagii ka rujz parhoN, jahan bey-khalal gun-gunaoN mae
Jahan moj moj ki oout mien, tu kiraN bannay, muskurao`N mae
Mere buss mien ho tu kabhii kaheeN
Koii shehR aisa basaao`N mae...!!

~mohsin naQvii ~.

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

nice. kitni qiston main paRhi thi ye? :p

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Single Nishist mein...........aysi kae Parh lyta hon:p

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

!!.... Sheher-E-Khamosha'n ....!!

Hawaei'n...!! Meri Terha Mayoos Lagti Ho..!!

Bohot Khamosh Aur Chup Chap Ho Kab Se.....

Tumhe Bhi Mil Nahi Payie'n Na Khushbu Bantne Wale..??

Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Aaj Khali Hai...!!!

Sawali Hai.....??

Hawa Meri Terha Tooti Si Lagti Ho..!!

Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Dard Aya Hai....!!

Gulaabi Mousamo'n K Naam Per, Hisse Mein Barg-E-zard Aya Hai..!!

Tumhein Bhi Raigaa'n Sari Musafat Yaad Aati Hain....!!!

Satati Hain................ ....

Hawa Meri terha Tum Bhi Larza'n Ho....??

Bohot Hi Sard Lagti Ho...........!!!

Tumhe Bhi Baraf Lehjo'n Ne Chatakhti Dard Deti.......

Sard Aaho'n Mein Badal Dala..!!!!!

Tumhe Bhi Zindagi Ke Wo Khuda Jaise Rawaiye Yaad Aate Hain....????

Rulaate Hain..???

Hawa Piyari !... Zara Sa Farq Baqi Reh Gaya Hum Mein...!!!!

Issi Ek Farq Ne Tum Ko Kaha Sansei'n.....!!

Mujhe Madfon Likha Hai.....!!!

Yehi Ek Farq Hai Hum Mein.....!!!

Tumhe Khushbu Kisi Din Khud Pukare Gi.........!!!

Ra'aunat Se Bharey Lehje.......

Sulagta Habs Mousam Seh Na Payei'n Ge....!!!

Dua Ka Roop Le Ker....!!

Sirf Tum Se Qurb Chahein Ge...!!

Mager Ik Farq Hai.......!!

Sheher-E-Khamosha'n Azan-E-Goyai Ko Tarse Ga...!!!!!!!!!!!

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Tumhain jaan'na ijazat hai
Koi bhi rasta chun lo
Humaray muntazir tehro
Ya hum ko alvida keh do
Tumhain jaa'nan ijazat hai

Humaray paoon main tou
Waqt ki zanjeer liptii hai
Qabal is k, k thak jaoo
Humaray saath chal k tum
Mohabbat ki thakawat tum ko
Hum say bad-guma'an kar day
Qabal is k, k har aik
Har aik wapsi ki raah khoo jaye
Jo socha bhi nahi hum nay
Wohi kal ko jo ho jaye
Tumhain jaan'an ijazat hai
Koi bhi faisla kar lo

Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh do

Humara tum say ye wada hai
Tumharai yaad ko hum tou
Sada dil k dareechay main
Youn he aabad rakhain gain
Tumhain hum yaad rakhain gain
Tumhain jaan'an ijazat hai

Tum apnay hosloon main jub
Thakawat see kabhi paoo
Kisi piyaray say mukhray ki
Haseen aankhon main kho jaoo
Ijazat hai tumhain jaa'nan
Agar is pal jo tum chahoo
Koi bhi faisla kar lo

Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh doo...

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

tumhari poron ka lams ab tak
meri kaf-e-dast par hay
aur mai yeh sochta hoon
woh lamhay kitnay darogh-go thay
woh keh gaey thay
keh ab kay jo haath tairay haathon ko chhu gaey haiN
tamaam hontoN kay saaray lafzon say mu’tabar haiN
woh keh gaey thay
tumhari porain
jo meray haathon ko chhu rahi theeN
woh to qismat-taraash haiN
aur apni qismat ko
saaray logoN ki qismatton say buland jaano
hamaari maano
to ab kisi aur haath ko haath matt lagana
mai uss samay say
tamaam haathon
woh haath bhi
jin mai phool
shaakhon say barrh kay lutf-e-namu utthaaeyn
woh haath bhi jo sada kay mehroom thay
aur un ki hathailiyaan zakham zakham theeN
aur woh haath bhi jo chiraagh jaisay thay
aur rastay mai sang farsang ki tarah jaa-bajaa gaRay thay
woh haath bhi
jin kay naakhunoN kay nishaaN
ma’soom gardanoN par misaal-e-toq-e-sitam parray thay
tamaam na-meharbaan aur meharbaan haathon say
dast-kash yuN ho raha hoon jaisay
yeh mutthiyaaN mainay khol deeN to
woh saari sachhaayyoN kay motti
musarratton kay tamaan jugnu
jo bay-yaqeeni kay janglon mai
yaqeen ka raasta banaatay haiN
roshni ki lakeer ka qaafla banatay haiN
meray haathon say rooTh jaaeyn gay
phir na taaza hawa chalay gi
na koi shama-e-sada jalay gi
mai zabt aur intezaar kay iss hissaar mai mudatton raha hoon
magar jab aik shaam
aur woh patt-jhaR ki akahri shaam thi
hawa apna aakhri geet ga rahi thi
meray badan mai mera lahu khushk ho raha tha
to mutthiyaaN main nay khol deeN
aur mai nay daikha
keh meray haathon mai
koi jugnu
na koi motti
hathailiyon per faqat meri naa-muraad aankhain dhari huwi theeN
aur unn mai
qismat ki sab lakeerain mari huwi theeN...

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

""AANSU""

Kisi ka gham sun k meri palko pe

Ek aansu jo aa gaya hai

Ye aansu kya hai

Yea ansu kya ek daawa hai

Meri dard mandi ka aur insani dosti ka

Ye aansu kya hai

Ek subut hai meri zindgi me

Khulus ki ek roshani ka

Ye aansu kya hai

Ye bata raha hai ki mere sine me ek hassas dil hai

Jo ki kisi ki dil soz dastan jo suni

To sun k tadap utha hai

Parae sholo me jal raha hai

Pighal raha hai

Magar mai phir khud se puchta hu

Ye dastan to abhi suni hai

Ye aansu kya abhi dhala hai?

Ye aansu kya mai samjhun pahle kahin nahi tha

Mujhe to shak hai ki ye pahle se tha

Ye mere dil aur meri palko k darmiyan

Ek jo fasla hai

Jahan khayalo k shaher baste hai

Aur khawabo ki turbate hai

Jahan mohabbat k ujde bagho me

Talkhiyo k babul hai aur kuch nahi hai

Jahan se aage hai

Uljhano k gharere jungal

Ye ansu shayad

Bohot dino se wahin chhupa tha

Jinhone isko janam dia tha

Wo ranj to maslehat k hatho

Na jane kab ka gul ho gaya

Tu karta phir kis pe naaz ansu

Ki ho gaya be-jawaaz ansu

Yateem aansu, yaseer aansu

Na motber tha

Na rasto hi se ba-khaber tha

To chalte chalte wo tham gaya tha

Thithak gaya tha

Idhar se aaj ek kisi k gham ki kahani ka karwan jo guzra

Yatim aansu ne jaise janb

Ki us kahani ki sarparasti hai to mumkin hai rah pa lu

To ek kahani ki ungli thame

Usi k gham ko rumal karta

Usi k bare me jhuthe sachche sawal karta

Ye meri palko tak aa gaya hai...

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Mein Admi Hoon Aam Sa...
Ik Qisa Na-tamam Sa...
Na Lehja Be-misal Hay...
Na Baat Mien Kamal Hay...
Hoon Dekhny Mein Aam Sa...
Udasiyoon Ki Shaam Sa...
Jesy Ek Raaz Hoon....
Khud Say Be-Niaz Hoon...
Na Mehjabeenoo SAy Rabt Hay...
Na Shohratoon Ka Zabt Hay...
Ranjha Na Qais Hoon..
Insha Na Faiz Hoon...
Mein Pekar-e-Ikhlas Hoon..
Mein Shaks Khud-Shanas Hoon...
Tum He Karo Ab Faisla...
Mein Admi Hoon Aam Sa...
~~~YA PHIR BOHAT HE KHAS HOON~~~
Mery Hamsafar
Mery Jism-O-Jaan Ky Har Aek Rishty Sy Mau’tabar
Mery Hamsafar
Tujhy Yaad Hein, Tujhy Yaad Hein
Wo Jo Qurbaton Ky Suroor Mein
Teri Aarzoo Ky Hisaar Mein
Meri Khaahishon Ky Wafoor Mein
Kai Zaaiqy They Ghuly Huwy
Dar-E-Gulsitaan Sy Bahaar Tak
Wo Jo Raasty They Khuly Huway
Sar-E-Loh-E-Jaan
Kisi Ajnabi Si Zubaan Ky
Wo Jo Khushnumaan Sy Haroof They
Wo Jo Sarkashi Ka Ghubaar Tha Cha-har Su
Jahan Aek Doo-Jy Ky Rubaroo
Hamen Apni Roo’hon Mein Phaelti
Kisi Naghmaggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Mili
Hamen Roshni Ki Nazar Mili.....

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Kaha tha jab ussay main nay
zara mujh ko batao to
mohabbat kis ko kehtay hain
bhala kaisay yeh hoti hai
meri woh baat sun k to
zara dheemay say muskaya
labon ko bheench k uss nay
tha palkon ko bhi jhapkaya
zara sa soch k uss nay
lya tha saans ik gehra
hua tab mujh say yon goya

mohabbat naam hai jisska
naseebon say he milti hai
shoro ankhon say hokar to
yeh qabza man pe karti hai
suna hai me nay logo say
k khon-e-dil pay palti hai
kabhi yeh seher ki manind
kabhi yeh shaam lagti hai
kabhi kanton ki yeh chilman
kabhi pholon bhara gulshan
kabhi yeh man ki mehmaan hai
kabhi ye dushman-e-jan hai
kabhi yeh jeet ka paikar
kabhi yeh haar lagti hai
kabhi tan mun jalati hai
lahoo bhi yeh rulati hai
kabhi masroor karti hai
kabhi ranjoor karti hai
kabhi khudsur banayay yeh
kabhi majboor karti hai
kabhi yeh zakham deti hai
kabhi marham lagayay yeh
kabhi yeh dar badar karday
kabhi sehra nagar karday
kabhi kaanton pay sulwayay
kabhi patharon pay chalwayay
kabhi taano ka mojib hai
kabhih khud pe he hasayay
mohabbat jog bhi to hai
yeh dil ka rog bhi to hai
mohabbat dhoop ki shiddat
mohabbat gul ki narmahat
mohabbat chandni bhi hai
mohabbat ragni bhi hai
mohabbat phool main khushboo
mohabbat chamakta jugnoo
mohabbat aik qehqaha bhi
mohabbat ankh ka ansoo
mohabbat raat ki rani
kabhi jharno ka yeh pani
kabhi yeh ablaa dil ka
kabhi yeh ooas ka qatra
ajab sanjoog hai yeh to
musalsal rog hai yeh to
mohabbat jan ki dushman
kahin yeh aan ki dushman
jaha tak hosakay mumkin
bachana iss say tum daman

KAY ANKHAIN NUM NAHI KARNA
MOHABBAT TUM NAHI KARNA...!!!

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

To Jo Reza Reza Sey Aks They
Wo Bahum Huwy
Wo Bahum Huwy To Pata Chala
Ky Jo Aag Si Hy Sharar-Fishaan Meri Khaak Mein
Usi Aag Ka Koi Anbujha Sa Nishaan Hy Teri Khaak Mein
Isi Khaak-Daan Mein Wo Khaab Hy Jissy Shakl Deny Ky Waasty
Ye Jo Shash’johaat Ka Khel Hy, Ye Ravaan Huwa
Isi Roshni Sy Makaan Banna, Isi Roshni Sy Zamaan Huwa
Ye Jo Her Gumaan Ka Yaqeen Hy
Wo Jo Her Yaqeen Ka Gumaan Tha
Isi Daastaan Ka Bayaan Tha

Mery Hamsafar
Kisi Dhiaan Ky Kisi Taaq Per Hy Dhara Huwa
Wo Jo Aek Rishta-E-Dard Tha
Mery Naam Ka Tery Naam Sy
Teri Subh Ka Meri Shaam Sy
Sar-E-Rahguzzar Hy Parra Huwa Wohi Khaab-E-Jaan
Jisay Apni Aankhoon Sy Dekh Leny Ky Waasty
Kai Laakh Taaroon Ki Seerriyoon Sy Uttar Ky Aati Thi Kehkashaan
Sar-E-Aasmaan
Kisi Abbr Paaray Ki Ott Sy
Usay Chaand Takta Tha Raat Bhar

Mery Hamsafar
Usi Rakht-E-Gham Ko Sammet’ty
Usi Khaab-E-Jaan Ko Sanbhaalty
Mery Raasty Kai Raaston Mein Ulajh Gaye
Wo Chiraagh Jo Mery Saath Saath They, Bujh Gaye
Wo Jo Manzilen
Kisi Aur Manzil-E-Benishaan Ky Ghubaar-E-Rah Mein Kho Gayen
Kai Was’wason Ky Fishaar Mein Shab-E-Intazaar Si Ho Gayen
Wo Tanaab-E-Dil Jo Ukharr Gaye
Wo Khyaam-E-Jaan Jo Ujjar Gaye
Wo Safeer They Usi Daastaan-E-Hayaat Ky
Jo Warq Warq Thi Bharri Hui
Mere Shoq Se Tery Roop Sy
Kahin Chaaon Sy Kahin Dhoop Sy
Mery Hamsafar Tujhy Kiya Khabbar
Ye Jo Waqt Hy Kisi Dhoop Chaon Ky Kheil Sa
Isey Dekhty, Isey Jheilty
Meri Aankh Gard Sy Att Gai
Mery Khaab Rait Mein Kho Gaye
Mery Haath Barf Se Ho Gaye

Mery Hamsafar
Mery Bekhabar Tery Naam Per
Wo Jo Phool Khilty They Hontt Per
Wo Jo Deep Jalty They Baam Per
Wo Nahi Rahy
Wo Nahi Rahy Ky Jo Aek Rabt Tha Darmiyaan
Wo Bikhar Gaya
Kisi Shaam Aesi Hawa Chali
Ky Jo Barg They Sar-E-Shaakh-E-Jaan
Wo Gir Gaye
Wo Jo Harf Darj They Reat Per
Wo Urr Gaye
Wo Jo Raastoon Ky Yaqeen They
Wo Jo Manziloon Ky Ameen They
Wo Nishaan-E-Paa Bi Mit Gaye

Mery Hamsafar
Hy Wohi Safar
Maggar Aek Morr Ky Fark Sy
Tery Haath Sy Mery Haath Tak
Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Faasla
Kai Mausamoon Mein Badal Gaya
Usay Naapty, Usay Kaat’ty
Mera Saara Waqt Nikal Gaya
Tu Mery Safar Ka Shareek Hy
Mein Tery Safar Ka Shareek Hoon
Per Jo Darmiyaan Sy Nikal Gaya
Usi Faasly Ky Shumaar Mein
Usi Be-Yakeen Sy Ghubaar Mein
Usi Rahguzar Ky Hissaar Mein
Tera Raasta Koi Aur Hy
Mera Raasta Koi Aur Hy...

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Rait Se But Na Banaa Ai Mere Achay Fankaar
Ek Lamhe Ko Thahar, Main Tujhe Patthar Laa Duun
Main Tere Saamane Ambaar Lagaa Duun Lekin
Kaun Se Rang Kaa Patthar Tere Kaam Aayegaa
Surkh Patthar Jise Dil Kehatii Hai Bedil Duniyaa
Yaa Vo Patthraa’ii Hu’ii Aankh Kaa Niilaa Patthar
Jis Men Sadiiyon Ke Tagayyur Ke Pare Hon Dore

Kyaa Tujhe Ruuh Ke Patthar Kii Zaruurat Hogii
Jis Pe Haq Baat Bhii Patthar Kii Tarah Girtii Hai
Ik Vo Patthar Hai Jise Kahte Hain Tahziib-E-Safed
Us Ke Mar-Mar Men Siyah Khuun Jhalak Jaataa Hai
Ik Insaaf Kaa Patthar Bhii To Hotaa Hai Magar
Haath Men Teshaa-E-Zar Ho To Vo Haath Aataa Hai

Jitne Mayyaar Hain Is Daur Ke Sab Patthar Hain
Sher Bhii Raqs Bhii Tasviir-O-Ghinaa Bhii Patthar
Mere Ilhaam Teraa Zahn-E-Rasaa Bhii Patthar
Is Zamaane Men Har Fan Kaa Nishaan Patthar Hai
Haath Patthar Hain Tere Merii Zubaan Patthar Hai
Rait Se But Na Banaa Ai Mere Achay Fankaar..

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Chalo Choro....!!!!

Chalo Choro ...!!

Muhabath Jhoot Hay..!!
Ehad-O-Wafa Ek Shugal Hay Be-kaar Logon Ka..!!

"Talab".. Sookhey Howey Patton Ka Be-Runaq Jazeera Hay..!!
"Khalish".. Dheemak-zada Auraaq Par Boseedha Satt'ron Ka Zakheera Hay..!!
"Khumaar-e-Wasl" Tapti Dhoop K Seenay Pe Urtey Baadloon Ki Rai'ghaan Bakhshish...!!
"Ghubar-e-Hijr".. Sehra Mein Saraboon Say Attey Mausum Ka Khum'yaza..!!

Chalo Choro...!!

Keh Ab Takh Andheroon Ki Dhamak Mein Saans Ki Zar'boon Peh..!!
Chahat Ki Bi'na Rakh kar Safar Karta Raha Hoon..!!
Muje Ehsaas Hi Kab Tha..!!
Keh Tum Mausam'on Kay Saath Pair'hen kay...!!!
Rangg Badloo Ghi...!!!!!!!

Chalo Choro..!!

Woh Saarey Khuwaab Kachi Burr-Burri Matti Kay Be-Qeemat Gharoondhey Thay..!!
Woh Saarey Zai'qey Meri Zubaan Par Zakham Bann Kar Jamm Gaye Hongay.!!
Tumhari Ungli'yun Ki Naram Poo'rein Pathroon Par Naam Likhti Thein Mera Laikin.!!
Tumhari Ungli'yaan Toa Aada'tann Yea Jurm Karti Thein............!!

Chalo Choro..!!

Safar Mein Ajnabi Logoon Say Aisay Haadsey Sar'zad Howa Kartey Hein ..!!
...........................................Sadiyun Say.....!!!!

Chalo Choro....!!

Mera Hona Na Hona Ek Barabar..!!
Tum Apnay Khad-o-Haal Ko Aai'ney Mein Phir Nikhrney Dho..!!
Tum Apni Aankh Ki Basti Mein Phir Say Ek Naya Mausum Uthernay Dho....!!

"MERAY KHUWABON KO MERNAY DHO".....!!!

Naye Tasweer Dekho..!!
Phir Naya Maktoob Likhoo..!!
Phir Naye Mausum, Naye Lafzoon Say Apna Silsilaa Joro.!!
Meray Maazi Ki Chahat Rai'ghaan Samjoo..!!
Meri Yadoon Say Kachay Raabtey Tooro...!!

.............................................. Chalo CHoro...!!!

Muhabbat Jhooot Hay...!!
Ehad-O-Wafa Ek Shughal Hay Be-Kaar Logon ka...!!!

Mohsin Naqvi
Book: Azaab-e-Deed..

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Suno Acha Nahi Lagta...
K Koi Doosra Dekhy...
Tumhari Sharbati Aankhein...
Lab-o-Rukhsaar Or Palkein...
Siyah Lambi Ghani Zulfein...
Sahary Doosra Koi...
Mujhy Acha Nahi Lagta...
Suno Acha Nahi Lagta...
Kary Jab Tazkara Koi...
Kary Jab Tabsara Koi...
Tumhari Zaat Ko Khoojy...
Tumhari Baat Ko Soochy...
Mujhy Acha Nahi Lagta...
Suno Acha Nahi Lagta...
Tumhari Muskurahat Par...
Hazaroon Log Marty Hoon...
Tumhari Ek Aahat Par...
Hazaroon Dil Dharakty Hoon...
Kisi Ka Tum Pay Yoon Marna...
Mujhy Acha Nahi Lagta...
Suno Acha Nahi Lagta...
Hawa Guzry Tumhein Choo Kar...
Na Ho Ga Zabt Ye Mujh Say...
Kary Koi Tum Say Gustakhi...
Tumhari Zulfein Bikhar Jaein...
Tumhary Lams Pi Jaein...
Mujhy Acha Nahi Lagta...
Suno Acha Nahi Lagta...
K Tum Ko Phool Bhi Dakhein...
Tumhary Pas Say Mehkein...
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo...
K Apni Roshni Bakhshoon...
Rukh-e-Jana Koi Dekhy...
Mujhy Acha Nahi Lagta...
Mujhay Acha Nahi Lagta..

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

TO KIA HO GA -----------?

Yahi Ho Ga Keh Tum Mujh Say Bicher Jaoo Ge.
Jaisay Rang Say Khushbo,
Badan Say Douarr Sansoon Ke !
Grifat-e-Shaam Se ------ Naraz Soraj Ke Kiran
Ek Dum Bicher JAye !
Keh Jaisay Raat K Pichlay Pehar
Khawabeeda Galiyun
Neem Khawabeeda Gharoon Main Zalzala Ayay
To Ek Basti Ujar Jaye !
Keh Jaisay Dhoop K Sehraa Main
Tishna Lub , Bhatakatay Bhooltay Bay-Ghar Prindoon
Sakht Jaan Pairron , Bagoolon K Bhanwar Main
Apni Chahaon Baant-ta Badal ------ Nachurr Jaye !

To Kia Ho Ga?
Yahi Ho Ga Keh ------ Main Tum Say Joda Ho Ker
Kahain Taqseem Ho Jaon Ga
Lamhoon Main Bikhar Jaon Ga
Tanhaii K Andhay Ghaar Ke Tehh Main Utar Jaon Ga
Tum Say Roth Ker------- Khud Say Khafa Ho Ker ----!!

To Kia Ho Ga?
Yahi Ho Ga ------ Na Koi Zalzala Ayay Ga
Koi Aankh Num Ho Na Sannata
Bichay Ga Shahar Ke Galiyun Main
Zulfain Khol Ker Royay Ge Tanhaii
Na Shaher Dil Figaraan Main
Koi Mehshar Bipa Ho Ga ------ !

To Kia Ho Ga ------ ?
Tumharay Sath
Apnay Rang Hun Gay
Roshni Ho Ge.
Sitaaray Baant-tay Khawabon Ka
Apna Silsila Ho Ga ----!

To Kia Ho Ga ------ ?
Magar Sochoo, Kisi Tanha Safar Main
Jab Meri Awaz K Bay-Rabt Rishton Say
Tumhara Saamna Ho Ga.......!!

To Kia Ho Ga --------------------????

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Muhabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana

Barey Boorhey Batatey Thy
Kaee Qissay Sunatey Thy
Magar Hum Mantey Kahan Thy
Yeh Sab Kuch Jantey Kahan Thy
Yeh Baatein Zikr k Qabil
Bhala Gardantey Kab Thy

Ana k Takht Par Baithy
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana k Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon k Jhurmat Mein
Tery Pairon Ki Payel Mein
Tery Chotay Se Gaon Mein
Ghani Zulfon Ki Chaon Mein
Sitarey Chand Suraj
Walehana Raqs Kartey Hain

Humein Maloom Hi Kab Tha
Tery Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Tery Honton Ki Junbash Par
Tery Sir k Isharey Par
Sada-e-Dilbarana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Meharmana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman k Phool Sarey
Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain
Zara Se Wasl k Jahnsey Mein
Apni Jaan Detay Hain

Humein Kab iLm Tha Jaana
Tery Paiker Se Dhuk Kar
Chandni Har soo Bikharti Hay
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi
Kaisy Nikharti Hay
Teri Payel Ki Chan Chan
Man Mein Kya Ghanti Bajati Hay
Teri Aawaz Veeraney Mein
Kya Jadu Jagati Hay
Tery Naghmey Fiza Mein
Kis Tarah Jaltarang Bajatey Hain
Bohat Pukhta Iradey
Kis Tarah Se Toot Jatey Hain

Humein Idraak Hi Kab Tha
Humein Kamil Bharosa Tha
Hamarey Sath Kisi Surat
b Aisa Nahi Hoga
Dil-e-Nadan Kabhi
Qabuu Se BeQabuu Nahi Hoga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Hoga

Magar.....

Magar Phir Yun Hua Jaana
Na Janey Kiun Hua Jaana
Bara Afsoon Hua Jaana
Jigar Ka Khon Hua Jaana

Tery Abroo Ki Ik Junbash
Se Ghayel Ho Gaye Hum b
Barey Bey Multafit Phirtey Thy
Mayel Ho Gaye Hum b
Sakhawat Karney Aaye Thy
Aur Saayel Ho Gaye Hum b
Barey Boorhon Ki In Baaton k
Qayel Ho Gaye Hum b
k...
Muhabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana...!!!

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

http://i41.tinypic.com/281hkwl.jpg

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

Main bach gai maa main bach gai maa
tere kache lahoo ki mehndi mere por por main rach gai maa

gar mere naqsh ubhar aate, wo phir bhi lahoo se bhar jate
meri aankhen roshan ho jati to tezaab ka surma lag jata

‘satte vatte’ main bat jati ya ‘Kari’ main kaam aa jati
her khwab adhoora reh jata

mera qad jo thora sa badhta, mere baap ka qad chota paRta
meri chunni jo sar se dhalak jati, mere bhai ki pagRi gir jati

teri lori sunene se pehle main apni neend main so gai maa
anjaan nagar se aai thi, anjaan nagar main kho gai maa

Main bach gai maa main bach gai maa
tere kache lahoo ki mehndi mere por por main rach gai maa

Zuberi Zehra Nigah reads her moving poem on abortion - YouTube

Re: Aap ki pasandeda Taweel Nazmen

to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulaab ko tehne say torr kar bhe nahi

subuk kalayi main gajray kabhi pehentay huay
gulaab hathon pe mehndi kabhi lagatay huay
safaid dodhya anchal ko zard rangtay huay
gulaal maltay huay, choryan pehentay huay
chamaktay mathay pe bindya kabhe sajatay huay
subah ko dair tak uth k ayenay ko taktay huay

TO KIA TUMHAIN MAIN KABHE YAAD HEEEE NAHIIII AYA
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi

kabhe diyaa kisi dargah main jalatay huay
kisi dukaan pe sarhee pasand kartay huay
lachakte shakh pe pehla gulab lagtay huay
kabhi yonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
kabhi kabhi yonhi koi kitaab parhtay huay
barastay abar me chat pe kabhi nahatay huay
khud apnay jism say yonhi kabhe lajatay huay
kisi sahaile say hanstay samay lipt'tay huay
kisi khayal main baithay say uth k chaltay huay
kisi bhi raat ko uth kar yonhi tehaltay huay
akailay dour talak khamoshi me chaltay huay
khala main zaat ke be asra bhataktay huay
kisi pahar pe tanha sanbhal k charhtay huay
utartay chand ka mojon main aks partay huay
libaaas pe khushboo koi lagatay huay
khizaaan main sokhtay patton ka shor suntay huay
mitay huay say darakhton pe naam parhtay huay
kisi bhi roz yonhi ghar k kaam kartay huay
azaan hotay he anchal say sir ko dhaktay huay

TO KIA TUMHAIN MAIN KABHEEE YAAD HE NAHI AYAA

kisi gulab ko tehni say torr kar bhi nahi
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kisi darakht k sayay main beth kar bhi nahi
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya