***Soch samajh laina qadam uthanay se pehlay
Kaheen gir na jao manzil aanay se pehlay
Yeh aandheyaan bari be-reham huwa karti hain
Yeh soch laina koi diya jalaanay se pehlay
Apne aangan ko phoolon se sajaaye rakhna
Phool sare chun laina khizaan aanay se pehlay
Tumhare seenay mein bhi ek dil dharakta hai
Yeh soch laina kisi ka dil dukhanay se pehlay
Umer bhar kaun kisi ke leye rota hai
Log aansoo bahatay hain dafnanay se pehlay …***