~*~ Aap ki Pasand ~*~

**
Adaab Dostoo,

Sab se pehle tau aap sab ka bahut bahut shukriya ke aap ne Bazm-e-Muhabbat ko apne khoobsurat intekhaab se chaar chaand laga deye …

Aaj se hum ek naye silsilay ki ibtedaa kar rahe hain jis ka unwaan Aap Ki Pasand hai … Yahaan per aap apni pasand ke Ash’aar, nazmain aur ghazlain post kar saktay hain …

Umeed karta hoon ke aap apne pasandeeda intekhaab se is thread mein khoobsurati ke rang bhar denge …

Shukriya,**

======================================

***Us shaks ko bhula kar

Ab zindagi hamaari

Pehle se zeyaada

Dushwaar ban gaee hai

Hum dar banaa rahay thay

Deewaar ban gae hai …***

**"Sada-ba-sehra"*

Charon simt andhera ghup hai aur ghata ghangor

Wo kehti hai, Kon?

Main kehta hoon, Main!

Kholo yea bhari darwaza

Mujh ko andar anay do

Iss ke baad ik lanbi chup aur taiz hawa ka shor.

*

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

***Kabhi ro ke muskuraye, kabhi muskura ke roye
Teri yaad jab bhi aaee, tujhe bhula bhula ke roye

Ek tera hi naam thaa jissay hazaar baar thaa likha
Jissay khush huwe thay likh kar, ussay mita mita ke roye ...


Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Mohabat khud btati hai
Kahan kiss ka tihkana hai
Kisy ankhun míen rakhna hai
Kisy dil míen basana hai
Rehaa karna hai kiss kiss ko
Kisey zanjeer karna hai
Mitana hai kisy dil sey
Kisey tehrer karna hai
Ghronda aik girana hai
Kahan ta’ameer karna hai
Mohabat khud btati hai........

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Wo is andaaz ki mujhse mohabbat chahta hai,
K mere har Khwab par apni hukumat chahta hai,
Wo kehta hai ke mein uski zarorat ban chuka hoon,
SACH Tou gohya wo mujhe hasb-e-zarurt chahta hai...

**jis suuraj kii aas lagii hai shaayad vo bhii aaye
tum ye kaho Khud tum ne ab tak kitane diye jalaaye

apanaa kaam hai sirf mohabbat baaqii us kaa kaam
jab chaahe vo ruuThe ham se jab chaahe man jaaye

kyaa kyaa rog lage hain dil ko kyaa kyaa un ke bhed
ham sab ko samajhaane vaale kaun hamein samajhaaye

ek isii ummiid pe hain sab dushman dost qabuul
kyaa jaane is saadaa-ravii mein kaun kahaaN mil jaaye
**

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..
Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..
Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..
Har roz magar jana acha nahi lagta..
Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..
Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta
Kiya faisla karon us ke bare mai ab..
Wo ghair nahi lakin Apna Bhi Nahi Lagta..!!

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

In udaas raahoon per
Is akelay dil ke saath
Kar liya safar kitna
Aur kitna baaqi hai
Woh jo aik taara sa
Door jhilmilaata hai
Tab akele pan se dil
Yeh sawaal karta hai
Jugno'oun ki khwaahish mein
Titleyoun ki chaahat mein
Kar liya safar kitna
Aur kitna baaqi hai ...

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

***Mujhe gumaan raha
Ke mein band kitaab hoon
Lekin
Meri shaaeri ne mujh ko
Har kisi ke haath ki
Zeenat bana diya ...


Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

***Kisi ki aankh hai pur-nam, muhabbat hogae hogi
Zubaan pe hai qissa-e-gham, muhabbat hogae hogi

Kabhi hansna kabhi rona kabhi hans hans ke ro dain
Ajjab dil ka yeh aalam hai, muhabbat hogae hogi

Kabhi aankhoon hi aankhoon mein woh batoon ka bata daina
Kabhi takraar baaham hai, muhabbat hogae hogi

Kisi ko samnay paa kar kisi ke surkh hontoo per
Anokha sa tabbassum hai, muhabbat hogae hogi ...


Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Paas aao ik ilteja sun lo
Pyaar hai tum se be-panah sun lo
Aik tumhi ko khuda se manga hai
**Jab bhi mangi koi dua sun lo **
***Ibtida ishq ki hui tum se


**Tum ho chahat ki inteha sun lo **
Bin tere jee nahin sakunga main
Laut aao,meri sada sun lo
Dekh lo zindagi adhuri hai
**Na raho aur ab juda sun lo **
Tum,sirf tum,ho zindagi meri
**Such hai such hai ba-khuda sun lo **
Yahan koi nahin mera apna
Tum rahoge mere sada sun lo




Mainay


Uskay Badlay Lehjay Ki Wazahat Poochi


Kuch Dair Khamosh Raha


Phir


Muskura Kay Bola


"PAGAL"


Jab


*Lehjay Badal Jain *


Tou

Wazahatai'n Kaisee...!!!



Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Bahut hi khoobsurat collection …:k:
Thanks you friends and Im looking forward to read more … keep 'em coming … :slight_smile:

My favourite:

ay mohabbat tere anjaam pey ronaa aayaa
jaane kyon aaj tere naam pey ronaa aayaa

yun to har shaam ummidon mein guzar jaati thi
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

kabhi taqdiir kaa maatam kabhi duniya kaa gila
manzil-e-ishq mein har gaam pey ronaa aayaa

jub huaa zikr zamaane mein mohabbat kaa 'Shakeel'
mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Zahay naseeb …

Tashreef-awari ka shukriya Ehsan Sahab … :k:

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

***Jahaan jahaan barsat utarti dekhi hai
Har sou teri yaad bikharti dekhi hai

Tum se pehle dil sa buzdil koi na thaa
Aur phir is dil se duniya darti dekhi hai

Dil ke ghehray san'naatay mein raatoon ko
Kabhi kabhi ek hook ubharti dekhi hai

Bas ek jeenay ki khwaahish thee aur woh bhi
Hum ne apni aankhoon marti dekhi hai ...


Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye
Kiyon bewajah itni shidat se hum roye
Badhi der tanhai mein baithe rahe

Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.
Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye
Aaj kiyon ansoo beh gaye?
Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aay
***Mian yeh ansoo tere nahin
Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain


                          ***...............Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aaye***

Assalam O' Alaikum all.

Relation.

Ta'aluq iss Tarha tora nahi kertay
Ke phir se jorna dushwaar ho jaye
Hayaat ik zeher main doobi howi talwaar ho jaye
Mohabbat is tarha chora nahi kertay

Khafa honay ki rasmain hain
Bigerrnay ke tarikay hain
Rawaj-o-Rasm-e-Tak-e-Dosti pe so kitabain hain
Rawadaari ka hargiz raasta chora nahi kertay
Ta'aluq iss tarha tora nahi kertay

Kabhi bulbul gulon ki khamoshi say rooth jaati hay
Per aglay saal sab kuch bhool ker phir lout aati hay
Sabhi bhanwron ko, Gull herjayii kehtay hain
Magar thori si zidd ke baad bandhan khol detay hain
Kabhi podon say paani door ho jaye
To hamsaya darakhton ke haath peghamaat jatay hain
Mohabbat main sabhi ik doosray ko aazmaatay hain

Magar aisa nahi kertay
Ke her umeed, her imkaan mitt jaye
Kahan tak khenchni hay dorr ye andaza rakhtay hain
Hamesha chaar dewaari main ik darwaza rakhtay hain
**Judaayii mistaqil ho jaye **
To ye zindagi zindaan ho jaye
Agar khushboo, Hawaoon say marasam munqata'a ker lay
To khudd main doon ker be-jaan ho jaye
Sunoo..!!!
Jeenay say moun moraa nahi kertay
Mohabbat iss tarha chora nahi kertay
Suno Janaa..!!
Agar naraz ho ,to main manati hoon
Magar dekho
Kisi bohot bhalay shayer nay
Shaed apnay lafzon main kaha tha ke
Agar Hum na rahay to... Kon phir Tum ko manaye ga
Chalo ab maan bhi jao naa
Ke Ranjissh Raabton ko munqata'a kernay main maahir hay
Suno Janaa..!!
Agar naraz ho to main manati hoon

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

:wsalam:
Thanks for sharing … :k:

Re: ~~ Aap ki Pasand ~~

Very Nice All..:lajawab: