Aap ki pasand ka aik Sher...........

Mila Wo Sadyun Bad Tu Lab Pe Koi Shikwa Na Tha
Meri Chup Ne Use Rula Dia Jise Guftagoo Main Kamaal Tha.

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahiiN har haath milaanevaalaa

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

ana pay choot sehna dishwaar to hay magar
mai haar jata gar wo takraar karti tu --

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

Thanks for the reply, warna main samjhi thi ke sab ke sab hi badzok hain,

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

Always Welcome
nahi koi badzooq nai hay bas aap zara poet 1 and 2 check kar lain :D

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

Isi khushi main aik or aamad ho rahi he, Irshad kia he

Jab bhi wo hijr ke lamhaat main khoya ho ga
Us ke daman ko bhi askhoon ne bhigoya ho ga
Ik mere hi chasm tar nahi tanhaai main
Han! kuch dair ko wo shaksh bhi roya ho ga

Aadab arz he......

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

mat giraoo khud ko itna k nazar mila na sakoo
laga do saray ilzam muj pay k mai zinda hoon abi

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

moved to Poetry1

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

mayree talab may tha ak shakas wo nahi raha to phir
hath dua say you gira kay bhool gia sawal b

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

^ Very Nice

yunhi mosem ke ada daikh k yaad aya hay
kis qadar jald badal jatay hian insaan jana

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

JO Poochta hay koi, Surkh kiuN haiN aaj AnkhaiN
Tou aankh mal ke Yekehta hoooN, Raat so na saka

Hazaar chahooN magar ye na keh sakooNga kabhi
Ke Raat Ronay ki Khwahish thi, magar ro na saka

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

Hi Sinner, Tum ne tu Looot hi liea aaj ka Mushaera, Zabardast!

Ham tu Mohabat main bhi Toheed ke kael hain Faraz
Ke aik hi shaksh ko Mehboob bana ke rakha he.

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

bay sabab ashk beh nahi saktay
koi pather pigal gia ho ga

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

C_billo ] lol .. thx ... yehi tou apni baat hai ;)

here one more 4 u

tum ko jana tha gar bata detay
neeNd maeN thi mujhay jaga detay

shaam ke garbh mein aNdhera hai
dhalne ki na usay sazaa detay

mayray khwaboN kay aashiaanay ko
ik shajar to hara bhara detay

Ankh malti hi reh gai thi maeN
khwaab mujh ko na tum bura detay

ziNdagi ka tou aNt hona tha
aakhiri saaNs tou dila detay

phir maeN girti na apni nazroN say
tum agar apna aasra detay

*yeh bhi mumkin tha maeN bhi jal jati
tum agar khat meray jala detay *

dil ka kuch to ghubaar kam hota
jatay jatay mujhay rula detay

apnay kamray say apnay dil ki tarha
mayri tasweer bhi hata detay !!!

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

barhi mehfil jamee hai yahan tou..waah waah

zaraa chupp chaap tum dekho tou damm araam se niklay
idher hum hichki letay hain....udher tum ronay lagtay ho

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

uss ne mera zameen naam likh kar mita diya
uss ka khel tha aur mujhay khaak mai mila diya

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

WOW, NICE VERY NICE

Taqdeer banane wale tu ne kami na ki
Ab kis ko kia mila yahan ye kismat ki baat he.

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

yeh acha hay k aapas k bharam totnay na paayin
kabhi bhi doston ko aazma kar kuch nahi milta

Re: Aap ki pasand ka aik Sher…

ohh and this sher goes like this:

wo mila tu sadiyoa’n ke baad bhi mere lab pe koi gila na tha
usse meri chup ne rulaa diya jisse guftagu mei kamaal tha

Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........

Lovely :)