Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
CAFE walay Log and Shairi :D
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
CAFE walay Log and Shairi :D
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
kafi achhay sher hain sub ki taraf se.
here is 1 from me
hum iss se barh ke aur karen kia tera khayaal
ke nafrat bhi teri hum ne mohabbat mean shumaar ki
Re: Aap ki pasand ka aik Sher…
![]()
Teer kha kay dekha jo kamin gah ki taraf
apnay hi doston say mulaqat ho gayi
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
na jana tha na ayengay to kion janey dia unko
yahi ay dagh pachtawa mujay aata hay reh reh kay
Re: Aap ki pasand ka aik Sher…
kal likongee ![]()
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
*dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaaiyaaN bhii hon
mar jaaiye jo aise men tanhaaiyaaN bhii hon *
*pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai 'Faraz'
dil Khud ye chaahataa hai ke rusvaaiyaaN bhii hon *
Bhai wah wah kya baat hay buhat aala Sinner , Chittee_Billo and nakhan. Maza aa gaya.
Re: Aap ki pasand ka aik Sher…
Aray aray meri nazar kuch kamzoor ho gai hay kiya…?
main nay apni taareef daikh kar kafi koshish ki k meri post ki hoi koi aik line hi mil jay lakin nahi mili…![]()
Waisay advance main tareef karnay k shukriya **Saroo…!!!
**
very nice all, itni achi collection mili maza aa gaya, thanks
Re: Aap ki pasand ka aik Sher…
aray khan sahib aap ki tareef due thiis lyee yahan kar di ..
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
ynhi mosem ke ada daikh k yaad aya hay
kiss qadar jald badal jatay hian insaan jana
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
Hum nay dekhi hay un ankhoo'n ki mehekti khushboo
Haath say choo k issay rishtoo'n ka ilzaam na do...
Sirif ahsas hay rooh say mehsoos karoo...
Piyaar ko piyaar hi rehnay do koi naam na do
Re: Aap ki pasand ka aik Sher…
beautiful one of ma fav
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
^^ Hmmmm really
thanks for like it
Re: Aap ki pasand ka aik Sher…
Yahan kissi ko koi hasb e ARZOO na mila
Kissi ko hum na milay aur hum ko tu na mila
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
Umer daraz maang k laa'ey thay chaar din
do aarzo main kat gay, do intizaar main
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
ashaar k parday main hum kin say mukhatib hain
wo jaan gaey hoon gay kiuoo naam liya jaey
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
yea jo meri ankhoon mai halki si nami rehti hay
yea teray bicharh janay ka malal he to hay
Re: Aap ki pasand ka aik Sher...........
Sirf hathoon ko na daykho kabhi AANKHAIN bhee parrho
Kuch sawaali barray KHUDDAAR hovaa kartay hain !!!