Aao Urdu Urdu KhailaiN

ehehehheheeh.. asal may munna.. woh to may nay.. jan kar likha tha.. sirf dekhnay kay liye kay aap log mera posts parhtay bhee hain kay nahee ;) ehhehehe

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

:wink:
:eek:

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hula.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

Woh to theek hay… liken iss main kurna kiya hay !!! :confused:

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


*I believe that imagination is stronger than knowledge.
*That myth is more potent than history.
*That dreams are more powerful than facts.
*That hope always triumphs over experience.
*That laughter is the only cure for grief.
*And I believe that love is stronger than death.

karna ye hai ke gulabi urdu likhni hai bass!!!

mystery gal.. jo aap abhee kar rahee hain.. bas jo bhee likhain .. urdu may hi likhain ! :)

woh to theek hay.. but main likhoon kiya..? shair? ghazal? afsana ? kahani ? geet ? ya ya .. ummm errrrr…:confused::smiley: … koi hay ??? :eek:


*I believe that imagination is stronger than knowledge.
*That myth is more potent than history.
*That dreams are more powerful than facts.
*That hope always triumphs over experience.
*That laughter is the only cure for grief.
*And I believe that love is stronger than death.

Namastay..
ganga ki tarah sab pawittar hey yahaan.
Bhagwaan tujh logoun ko sukhi aur sada suhagan rakhain. Meri yeh samassa hey key app janta kay loug shud baatain karaig isi mein hamari saraswati maa ki khushi hey.Mera ..pooja ka samah hogaya hey, mein chalta houn..Ashirwaad tumharay saath hey
Namashkar aur parnaam :)

[This message has been edited by sherrybaba (edited November 05, 2000).]

Salaaaaam Logoooo...

O Khan Sahib,
O bardi changi game kadi ay oye tuN Maza aa gaya pardh ky.
Haaan asi v theek theek hi aaN tuN suna ki haal chall ay, zindagi kaisi guzar rai ay....Maousam Kaisa ay,

oye MUNNA ty SADIA
tun likya si
...hum ne koi ungrazi ilfaz istamal nahin kia..

ungraizi ILFAZ nai LAFZ

aur

...mera khayal hai hamari thori thori guftagu-o-shaneed hoti rahi hai icq aur MSN par..

GUFTAGU-O-SHUNEED nahi GUFT-O-SHUNEED

ty Sherrybaba...
tuN lagda ay ghalti naal thrda jya pardos wich tuR gaya aiN.

Chalo ji main v Niklya aidrun ais tu paily ky koi pichy py jai...:)

Agli Mulaqaat Tak,
Allah Hafiz.

[quote]
Originally posted by Sadiaa:
ehehhehe.. mindless behn/bhai.. aap ka akhri moqa bhee haath say nikal gia.. chalain aap nay jeem darja kay matlab angraizi may to bata dia.. laikin yeh jo aap nay (i guess) istaimal kia na .. aap ka akhiri wala moqa bhee chala gia ;)
[/quote]

saadia mein jo bhi angrezi mein likha tha wo khabardaar kar ke likha tha esi liye ye cheez estamaal ki thi ".....es liye abhi mere paas akhri moqa hai :)...kyon logo


** Of all the things I've lost^^^I miss my MIND the most!**

Yeh to bohot hi acha idea hua! meri urdu bohot kharab hai kyunke mere ammi aur abbu ne kabhi bhi mujhey urdu bolney ko nahin kaha aur issilieyh mai unsey bohot naraaz hoon.

Aaj sey mera naam hai "Billi Aurat"!

munda…aap ne urdu urdu khelna hai…punjabi nahin bolni…aap ko bhi aakhri mauqaa diya jaata hai! lekin es ke baad aap haar jaen ge :rotatao:


** Of all the things I’ve lost^^^I miss my MIND the most!**

hahahaha..acha mindless.. aap ko aik aur moqa dia jata hay.. billi aurat.. aap apna nick bhee billi aurat hi rakh lain ;) bohat acha rahay ga... aur mystery gal.. khuda kay wastay plz koi sher na sunaye ga... baqi sab kuch suna di jiye ga.. aik to mujhay iss shair-o-shairi say bari chir hay.. kiyoonkay mujhay shair wagera samajh aatay nahee hain..aur waisay bhee bohat hi baikar lagti hay...lol aur yeh sherry bhai to apni hindi may shroo ho gai.. ji munda bhai.. yahan urdu urdu khela ja raha hay.. hindi punjabi nahee.. aur mindless bhen/bhai aap ka yeh bilkul akhiri moqa hay !!!! :) :) :)

saat khairan mitroo!!
mindless je hon tuaday kolon sabaq laina paye ga urdu da..;)..paye ji je gal samjh agaye aye dusrayan noon ke samjho mamla thik hai..baqi raye tuadi "nukta cheeni" te bara bara shukeriya..:D

agli daffa mulaqat keran ge
Rub Rakha
te
Allah Hafiz
dJ_ArSH
pakbeat.com


ik nazer ke liey umer bher..umer bher ke liey ik nazer..

** saadia **

hehe saadia aap ne bhi to “plz” ka lafz estamaal karliya hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

ab kya hoga…haar to aap bhi gaen

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/dixsi.gif

…aur haan ye mindless ke baad behn/bhai kya hota hai…bhei seedhi tarah behn kaho mujhe :slight_smile:

** munna **

munna ji shoq se aaen aap mujh se urdu seekhne :smiley: magar phir aap paas hon ya na hon ye meri zimmedaari nahin hogi :stuck_out_tongue: aur
aap ne bhi punjabi bolna shuru kardi hai…aap bhi haar jaen ge munda ki tarah…waisay munna ji mein aap ki paye ji nahin hon..:slight_smile: yaar abhi tak logon ko pareshani hai ke mein larki hoon ya larrka :frowning:


** Of all the things I’ve lost^^^I miss my MIND the most!**

acha mindless behn.. asal may mujhay aap kay nick say pehlay andaza nahee ho saka kay aap bhai hain kay behn.. iss liye maafi chahti hoon.. aray behna.. woh aik do angraizi kay alfaz to may jaab boojh kar likhti hoon takay pata to chalay kay aap sab waqai parhtay bhee hain kay nahee ;) eheheh aur may itni asani say haar mannay walon may say nahee ;)

ya alif bay pay hai kia ?
pata nahi ya kia hai main tu samji kohi
alif bay pay main baat karna chata hai mari samaj main nahi aya

ohh..:(..maaf kerna sonayo [mindless]..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

..darasal mein yahan kisi ko janta to hon nahin..isliey thori ghulti ho gaye..umeed hai kaih app ne bura nahin mana ho ga..

yeh aik

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

qabool kerin..:smiley:
aur kuch

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif

rub rakha
dJ_ArSH
pakbeat.com


ik nazer ke liey umer bher..umer bher ke liey ik nazer..

Salam sathio,

Mujhay khushi kay aap logoon nay is aaammm .... maozoo ko pasand kiya. Khail kay qawaneen (qanoon ki jama)kay mutabiq jis nay bhee angrezi ka koi lafz istemaal kiya us ko us angrezi lafz ki urdu batani hoti hai. To jinab mein nay kal aap logoon ki likhai padhi aur us main kuch ghaltiyan nikali hain jo kay mandarja zail hain:

sadia = plz, nick, well, word, plz
munna = flower, dj, webmaster, middle east, pakbeat.com
mindless = plz, marks, i guess
madscientist = edit, police
farwa= time out
mystery gal= but
munda pakistani= game
cat woman= idea

tu in sahibaan say guzarish hai kay wo in alfaz ki urdu likhaiN aur agar unhooN nay dobara ghalti ki to phir koi nay lafz hum sub ko sikhaiN jaisa kay jeem darja.

phir milain gay

[This message has been edited by khan_sahib (edited November 06, 2000).]

KHan Saaaaaaaaaaahib !!! Insaaf karain aap.. aray meri sab say mushkil wali ghaltian nikal leen aap nay :( ab mujhay pata bhee nahee kay may un ko urdu may keh paoon gi bhee kay naheee...laikin may koshish karti hoon..
plz= barai mehrbani
nick= pyaar say pukara janay wala naam
word= alfaaz
well= iss ka urdu may alfaz nahee pata :(

Time out…wakfa (mera khayal hai yehi hai, ab isko samajna aap ka kaam hai) :confused:


Life is a game; either be a player or get played.