Re: Aaj kya pakaaya/kyaaya
sure dear..its very easy..
1 bari pyaz ko brown karlain phir uss mein tomatoes 3 med size, 1 tsp white zeera, lal mirch, namak acc. to ur taste,haldi daal kar bhoon lein aur zara sa pani daal dain takay masala burn na ho. Jab tomatoes gal jayen to mash ki daal 1 cup dal dain aur cover the pan.phir thori dayre baad khoob bhoonain..bayshuk thora sa pani b add kr do..Jab daal gal jaye to chutki bhur ajwain daal dain aur adrak bhi bareek kati hui. phir hari mirchen dermayan say slit kr k aur dhaniya bhi daal kar cover kr do..sath he 1/2 tsp kali mirch aur 1/2 tsp pissa garam masala daal do..jub tuk dum pur hai tub tuk bhagaar ready kr lo...1 piyaz aur thori c adrak barreek kaat kur bhagaar laga do daal pur...
wat does bhagaar mean????????????