aabla_paa has selected the following three pieces as his Top Three. Members are encouraged to read and comment on this selection. Here is what aabla_paa has to say about the selection of his three top favourite pieces of poetry:
1:
Bohat hoshiyar hoon apni laraayi app larta hoon
Mein dil ki baat ko deewaar pey likhaa nahi karta
Agar par jaaye aadat aap apney saath rehney ki
Yeh saath aaisa hay k insaan ko TANHA nahi karta
Zameen pairon sey kitni baar hi din mein Nikalti hai
Mein aesay haadson pey Dil magar chota nahi karta
Tera israar sir aankhon pay, tujh ko BHOOL janey ki
Mein koshish kar k daikhon ga magar WAADA nahi karta
2:
kat hi jaata hai bil-aakhir, faasla koi b ho
hum teri jaanib rawaa’n hein, raasta koi b ho
hum nahi raazi kisi ko sajda karnay k liyey
hum ko namanzoor hai, tere siwa koi b ho
faisla kaisay ho kis nay dukh uthaaey hein bohot
zindagi aafat hai is mein mubtala koi b ho
aey hawa-e-shehr hum aesay gaey guzray nahi
hum ko seenay say lagaati hai bala koi b ho
dil b ziddi hai kisi ki baat sunta hi nahi
dard kam hota nahi dard aashna koi b ho
baat ka rukh tum badal dete ho chehra dekh kar
hum to seedhi baat kartay hein khafa koi b ho
waqt-e-rukhsat jhilmila jaatay hein in aankhon mein ashq
us ka jana yaad aata hai, juda koi b ho
3:
Meri Zindagi to firaaq hai,wo azal se dil main makee’n sahee
Wo nigaah_e_shauq se door hain,rag_e_jaa’n se laakh qaree’n sahee
Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin sahee
Hamien aap khainchiye daar par,jo nahi koi tu hamee’n sahee
Sar_e_toor ho sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai
Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee
Na ho un pe jo mera bass nahi,ke ye aashqi hai hawas nahi
Main unhi ka tha,main unhi ka hoon,wo mere nahi,tu nahi sahee
Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman ke qaree’n sahee
jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
jo karain gay app sitam wahan woh abhi sahyee wo yehin sahyeee
Usse dekhne ki jo low lagi tu Qateel dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door ho,wo hazaar pardah nashee’n sahee