aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

**To mark the month of Muharram.

*“Qatl-e-Hussain asl mei marg-e-Yazid hei
Islam zinda hoti hei har kerbala ke baad”

*Saiyyad ne Kerbala mein waade nibha diye hein
deen-e-Muhammadi ke gulshan khila diye hein

bole Hussein Maula! teri raza ke khaatir
ik ek kar ke humne, heere luta diye hein

deen-e-Nabi pe waar Akbar ne bhi jawani
Abbas ne bhi apne baazu kata diyen hein

Zainab ke baagh mei bhi do phool they mahekten
Zainab ne wo bhi dono,raahen khuda diye hein

Zahra ke naaz paale phoolon pe sone waale
Kerbal ki khaak mei wo heere rula gayen hein

bakshish hei uski lazim, Saiyyad ke gham mei ‘Hafiz’
do chaar ansoo ro kar jisne baha diye hein

Saiyyad ne Kerbala mei waade nibha diyen hein
*:frowning:


2 Likes

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Sajdahe mein Saar Hussain ka .. TeerooN ke DarmeYan .....

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

:hmmm:

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

phir aj haq k liya jan fida karay koi
wafa bhi jhoom uthay yon wafa karay koi
namaz 1400 saalon say intizaar me hai
hussain ki tarhan sajda ada karay koi

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

^^^zabardasttttttttt Deadu :hugz:
keep adding.

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

aisay takrain marti rahin to dimaagh hil jayega:D

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

aagay bara thikanay par hai na jaisay :aq:

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

q tumhain koi shak hai kia

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Jw hum aap ke garveeda hotay jaa rahe hain :bb: bohat khoob

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Ye inaayutoan ki jaza mili, ye hadaayutoan ka sila diya
Jo Chiraag Qabar e Nabi ka tha usay Karbala main bujha diya
:(

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Teeroan k Musalay par wo Sajda e Shukrana
Shabeer ne batlaaya islam pe mar jana

Burchee Ali Akbar k seenay se nikalee thee
Daikha na gaya Shah se yun dil ka nikal aana

Ik teer Ali Asghar ki gardan pe laga aa k
maasoom ka huns daina aur mout ka ghabrana

Darbar main Fiza ne logon se kaha ro kar
Aati hay Nabizadi taazeem se jhuk jaana
:( :( :(

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

**For those who r interested- ive posted a link in audio forum of this qawali- 'aa gham-e-shabbir aa'.

**

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

very nice.. just want to keep reading :@:

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Muncho ji- thanks for such beautiful addition
SID- shukar hei nazar aa gaye- kuch add kar dete thread mein :)

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

yeah...refreshes ur faith na!

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

:bummer: nice sharing

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Laillah tu parh liya ub laay maza taaseer ka
Laillah ki tayh main khoon hay Shabeer ka
Laillah k parhnay waalo Laillah se pooch lo
Laillah tu buch gaya ghar lut gaya Shabeer ka

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Maa mein naizey pe huun
Naizey se Asghar ko nazar ayi jo madar.
Dekha khula sar hai, pareshan hai muztar.
Roney lagey kehney lagey tab Ali Asghar.
Maa mujey apnay siney sey lagaaley
Maa mujey apni godi mein chupaley
Maa mein naizey pe huun
Amaa bohat din huwe jhule mein na soya
Maa teri izat ki kasam phir bhi na roya
Ab tujey dekha to mere lab huway goya
Aaj bandhe hathon ko jhula sa banaa ley
Siney sey lagaaley
Maa me naize pe huun

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

oooooh Mr Munch- rula diya :(
Ahle bait ki qurbaniyon pe ye zindagi lakhwar sadqe mere Allah!

Re: aa gham-e-shabbir aa seene laga ke chuum luun

Ajar o kumulaah
koi gham na milaay siwaey Gham e Shabeer

Rona apni aqbut laee aey, Kisay tay koi ahsaan naee
Jo Gham e Shabeer ich naee roanda, o aadmi aey insaan naee