*wO HUSSAIN (rz) Ibn e ALI (rz) WaQt Kii Tehzeeb Ka Naaz
Jis Nay AfshaaN Kiya Insaan Kii tOQeer Ka Raaz
Jis Ka Har Zakhm hAi Sarmaya e TaQdeer e Hijaaz
Jis Nay TeerOn Kay Masaley Pey Adda Kii hAi Namaz
*
Qaid Ho kar Chale to ye bole harum Laashe Shahe Zamun Alwida Alwida
Aayi hogi yahi run Se Sheh ki sada Meri dukhya Behan Alwida Alwida
Is tarha suw e zindan Farwa chali
Dasht e gurbat me parh kar ye nawha chali
Teri paamaliyaan kaise bhulungi mai
Meirey nazuk badan Alwida Alwida
Laash e Akbar pe ro kar ye kehti thi maa
Qaid ho kar chali utho karyal Jawan
Maa, phuphi, behnein balwey main hai nange sar
Akber-e khasta tUn Alwida Alwida
Kehti aayi nazar ek maa chashm e tar
Khakh par sowo gey kaise noor e nazar
Terey zakhmi galey par ho kurban maa
Merey guncha dahan Alwida Alwida
Nehr se kafela jab guzarney laga
Mu chupakar ye Bibi ne ro kar kaha
Kaisey be-chadari dekh payega Tu,
Sher e Khaiber shikan Alwida Alwida
Munchoji, hum aur aap hi sab GS ke hisse ka matam mana lein :(
agar aap ko ye ^ poora mile to baraye karam mehrbani, ithe post kar den. I did find it in urdu font but it was difficult to translate. And its such a beautiful one too.
Hafiz nay nihayat umda alfaaz main Karbala ka poora waqiya biyaan kar diya hai or Abdul Rauf Roofi nay bhee kiya khoob manzoom andaz main parha hai iss nazam ko
**aey zindagi k matla-e-taabaN, tujhay salam
aey harf-e-kunn k maani-e-pinhaN tujhay salam
aey qalb-o-rooh-e-fakhr-e-RasoolaN tujhay salam
aey quwwat-e-dil-e-Shah-e-MardaN tujhay salam
Shabbar ka dil sanbhaalnay waalay salam lay
aey Fatima ki goad k paalay salam lay
tishna-dahan sipah k saalaar par salam
jaltay huay khayaam k sardar par salam
piyasi zabaN pay deeda-e-khoon-baar par salam
mitti bharay huay lab-o-rukhsaar par salam
aey noor-e-sajda-e-tah-e-khanjar mera salam
sookhay galay ki kat'ti ragon par mera salam
wo jis ki reesh khuN se hui tarr usay salam
tarpa kiya jo tap'ti zamiN par usay salam
ronda gaya jo seena at'har usay salam
tha jo badan darindon ki zad par usay salam
itni haram ki fikr thi jis tarkh-kaam ko
takta tha zer-e-tegh bhi mur kar khayaam ko
jin beebiyon ki chhin gaee chaadar unhein salam
nazron ki zad pay thiN jo khulay-sar unhein salam
zeb-e-sinaN thay jo sar-e-at'har unhein salam
thay bay-kafan jo tap'ti zamin par unhein salam
aey Shah k zakhm-e-seena-e-Akbar salam lay
aey khoon-e-gardan-e-Ali Asghar salam lay
durray jinhein lagaatay thay bad-khu, unhein salam
chehron pay muntashir thay jo gaesu unhein salam
seenoN mein kholtay thay jo aansu unhein salam
gardan se bandh rahay thay jo baazu unhein salam
dil mein bharaktay sholon ko jo kam na kar sakay
jo apnay dil k tukron ka maatam na kar sakay
hum bhi shareek aap k gham mein hein "Ya Imam"
aey kaash jald aaey kahin waqat-e-inteqaam
aaqa mahaaz-e-dard pay hein aap k ghulaam
ashkoN se likh rahay hein Shah-e-Karbala ka naam
hum par ye haq hai Fatima k noor-e-ain ka
Mola qabool keejiye pursa Hussain ka
hum bhi shareek aap k gham mein hein “Ya Imam”
aey kaash jald aaey kahin waqat-e-inteqaam
aaqa mahaaz-e-dard pay hein aap k ghulaam
ashkoN se likh rahay hein Shah-e-Karbala ka naam
hum par ye haq hai Fatima k noor-e-ain ka
Mola qabool keejiye pursa Hussain ka