**sab se pahle to yeh k aapkii angrezii masha Allah bahoot zabardast hai…kaash meri bhi hotii ![]()
donoN taraf se yeh baat hotii hai tabhii aisaa hotaa hai. aisa kabhii na dekhaa hogaa k laRaa buraa aur laRkii bhalii rahii ho yaa iske bar 'aks. mere Khayaal se to ausat baraabar hii honaa chaahiye. taalii do haathjoN se bajtii hai. hai na?
she’r kaa duusraa misr’a thaa:
chaahte haiN so aap kareN, hamko 'abas bad_naam kiyaa
ya’nii, karnewaale to aap Khud hii haiN kiuN k agar aap na chaaheN to kisi kii majala nahiiN k baal bhii baaNka kar sake to sirf hamko hii kiuN badnama kiyaa jaataa hai. donoN baraabar ke Haqdaar haiN badnaamii meN. Theek aisha Ji?**