A Pir with Healing Powers

Re: A Pir with Healing Powers

Assalam o alikum

Here is what i belives
1-some ppl may appear to have special powers-which they posses only due to mujahidaats(going aginst nafs) but that is some thing even sadhus and christian preasts appear to possess---no one here heared about healing powers of preasts?
2-some religious people are at times given some special powers by ALLAH subhanuwataalah,but again these powers and kashf are not in control of the buzurg..even some time buzurg dont even know that he knows some thing....(complicated ..hay na :) )

3-These karamaats are not a benchmark of buzurgi---only bench mark is following quran and sunnah---if some one has thousands of karamats but he dont offer salah then he is kazzab not a buzurg--dajjal will also have many karamat and powers

Re: A Pir with Healing Powers

hum elmi behiss main parrana nahi chahte, waja zahir hay hum alim to hain nahi, or iss ke saat saat yeh bhi keh kabhi talib e ilam rahay bhi nahi .... khass kar pehli zindagi ke baad se lay kar zindagi dar zindagi iss zindagi tak. (iss zidagi se humari murad akhiri heart attack ke bad ki zindagi). hum zuban o bayan ki khaltiyon or samjh ki kotahiyon ka pehlay se dargozar ki darkhwast karte hain.

lekh iss waja se rahay hain keh un nayab logon ka haq hay keh biyan kiay jain jin se humara wasta raha or jin ki suhbat main rehnay ka humain sharf hasil howa. ghar koi hum se pochay in se milna kaisay momkin howa? ya in ki hum par inayat ki waja kia hay? ba khuda humain nahi maloom. jo maloom hai woh yahi ke Allah or Rasool ka janna in ki sabab se hay or jo thorra bohut in se suna yaad reh gia hay wahi ab orra bichona hay.

koi or baat karnay se pehlay hum bat karain ge, darjat ki .... Aik Allah ki zaat hay jo dainay wali hay, or Allah hi hay jo janta hay darja kia hay or kiss ka kitna hay. hum to majbor o lachar hain, ishq ke maray howay...... ishq humara kehta hay, koi to baat alag thi iss umat ki jo Allah ke nabi or rasool dua karte or farmate kash hum iss umat ka hissa hote. Mosa kaleem o Allah ka waqa ghalban sub ke elam main hay (labaik allahuma labaik wala) on ki dua qabool nahi howi. Esa (AS) ki dua qabool ho gaii, woh aain ge par nabi nahi balke Waliullah honge. yeh kafi hay humaray ishq ke liay or Rasool e Arabi ke farman ka hona kafi hay, humain () dal kar tabligh lekhne ki zaroorat mehsoos nahi hoti. iss hawalay se aik or baat jo hum kehna chahin ge. Allah Buzarg o Bartar farmate hain. "Meri aa'ba ke nichay aisay bhi log hain jin ka Meray ilawa kisi ko elam nahi in main aisay bhi hain jin ka darja nabiyon se bhi ziyada hay". hummmm kafi hay.

Allah ke naik logon se jo humara wasta raha hay bashart e zindagi sunate rahain ge. aik bat jo abhi abhi yaad aai hay. batana zarori samjhte hain keh hum kuch modat ke liay Hafiz e Quran kaise banay (lost most of my memory with 2nd heart attack and first cardiac arrest, kitni mushkil se aya tha kitni asani se chala gia khair hota hay ###)

NGOs ke saat meetings aksar lambhi ho jati thein or weekend ke liay wahan rukhna par jata. to jahan humain weekend par rehna hota uss ke qareeb aik Dar o olum bhi tha, sara weekend un ke shoor se na neend aay na koi kaam kar pain. khair aik din jee main aya ja kar daikh aain, yeh karte kia hain itna shor macha kar, dakhil howay masjid main, idher hum dakhil howay or odher se chand larke chikhte howay lapke gora aya hay maro gora aya hay. bakhuda hum ghabra gay idhar odhar daikha gora to kahain nazar nahi aya par larke pass aa kar humain marne hi lage the ... na jay raftan na pay raftan ... boklahat main hum salam hi keh pay the keh woh jaisay but' ban gay.......mukhtasaran aik sahab aay apna taraf mohtamem ki haysiyat se kia, apnay office lay kar gay. bohut saray sawal bohut mushkil walay. naam kia hay, kahan se aay ho, mazhab kia hay. firqa kia hay, waghaira waghaira. naam or jaga ke ilawa zahir hay baqi sub ka jawab aik hi tha 'nahi pata' akhair lachar ho kar pocha yahan kia karnay aay ho. hum nay kaha wahi ho yeh bachay kar rahay hain, kehnay lagay yeh to Quran Hifaz kar rahay hain. hum nay arz kia buss yahi hum bhi karna chahte hain. ACHA ....... or un ka acha kehna humain aisay laga jaisay keh rahay hon 'acha to yahi hota keh jahanum main dal dete' .... khair un ki inayat ke jalanay ki bajay Hafiz sahab ko bolaya or kaha 'iss longor ko lay jain sudharne ki himat ho to sudhar lain nahi to nikal bahar karain.' lamhi kahani hay kaise hum ne hifaz kia par uss din se aaj tak hum langoor hi hain. woh langoor jo jungle main rehtay howay bhi sudhar jane ki khwahish rakhe howay hay.

aik din hum islamabad jate howay aik dost ke kehnay par jo keh kisi hazarat ko salam kehna chah rhay thay, Shadi khan ke qareeb aik pind gay. zahir hum sub saat main gay .... badd main pata chala sahab kafi barray alim or buzarg hain. hasbe rewayat salam kia or aik taraf baitt gay. humara dost bozarg se baat kartay rahay, baton baton main humaray Quran hifaz karnay ka zikar bhi kahain se nikal aya, dost ne Hazrat se dua ki darkhwat ki. Bad az dua hazrat kehnay lagay "mubarak ho .... maghar " phir khamosh ho gay. hum nay pocha hazrat maghar kia, saf lag raha tha hazarat bat nahi karna chah rahay humaray bohut esrar par kehnay lagay, "rakh nahi paoge khair koshish jari rako, hum khair ki dua karte hain".

adab.

Re: A Pir with Healing Powers

“rakh nahi paoge khair koshish jari rako”

:konfused: I remember reading something similar, and that person had an accident and became blank like before. I think it was published in Urdu Digest.

Re: A Pir with Healing Powers

reference???

ya aap beghair kissi saboot ke hee kissi baat ko bhee Allah se waabasta kar ke un logon me shamil hona chahetay hain jin per Allah ne Quran me laanat bheji hai keh woh log Allah ki taraf aisi baaton ko wabasta kartay hain jo dar-haqeeqat Allah ne bayaan hee nahni ki…

baraye meherbani aap qari’een ko in kalimaat ka saheeh hawaala dijiye ta keh logon ke dilon me shubah ki h\gunjayesh na rahay…

Re: A Pir with Healing Powers

apni taraf se matlub baghair kisi ka parrahay howay, to aisa nahi hay, bhai itnay humaray awqat kahan.... parrha to hay! kahan? yaad nahi. (haan yeh hay, phir kabhi nazar se guzara to reference ka socha ja sakta hay.)

to aap ki bhaiji howi Quran ki laanat se to Allah ne bacha liya. albata aap chahain to aik or koshish kar ke daikh sakte hain. i know you can do better than that. khair thorri si madad hum bhi kar layte hain aap ki.

(yeh bhi kahain parrhnay main aya hay, kahan? hummm ghalban FehmulQuran, Molvi Shafi Mohammad) keh Rasool ullah farmate hain, kisi ka jhoota honay ko itna kafi hay keh woh baghair tasdeeq ke sunni howi baat agay barrha day.

iss hawalay se aghar aap dekhain to hum khatawar hain, par yahan bhi suni howi baat ka zikar hay, pata nahi lekhi howi baat ka bhi ka aisa hay ke nahi. khair hum ne jab parrha to yaqeen kar liya tha. oor phir hud daikhain hum ne baghair tasdeeq ke baat ko aghay barr'haya bhi.

khair jab tak humari kisi insanu wali basti tak rasaii ho (iss main arsa lag sakta hay) aghar aap koshish karain to in 4 main se kisi main aik main iss ka hawala ho sakta hay. May be, i am not really sure.

  1. oswa e sahaba du jildain Nadwatul Ulama ka chapa howa.
  2. Sir e tasawaf 4 jildain National book foundation ka chapa howa.
  3. Ghaniyatu'Talibeen, 1 jild Urdu bazar Lahore ???
  4. Maqamat e Qutbia, 2 jildain hain, ghalban pehli jald ka naam Maqalat e Qudseea. New Delhi, Bublisher??

Adab.

Re: A Pir with Healing Powers

or haan rahi logon ke dilon main shubhay wali baat to iss ka humaray pass ilaj to koi hay nahi. haan albata mazrat kar saktay hain unn se jin ke dil shubhay ka shikar howay.

hum ne pehlay bhi kaha or aik bar phir duhra dayte hain. humaray buss main reference momkin nahi, khass kar aaj kal jahan hum hain. pak main hote to koshish kar ke daikh layte.

Reference waqee bohut zaroori cheez hay humain is ki ehmiyat se inkar nahi, par hum se her baat ka reference mangna bhi ajeeb hay,

chalain chorrain aap ko eik dilchasp waqe’a sunain.

Hafiz sahib se aksar mukhtalif mozoat par baat hoti, wo’h daro’ullom se parrh bhi rahay thay un dino. Aik din Haram haal par baat kar rahay thay, sowar ke mozo par bhi baat ki Kehnay lage, sowar 100% haram hay. Hum ne az rahe mazaq kaha,
hafiz sahib! lagta hay aap ki koi dushmani hay zinda sowar se, warna murda sowar itna (100%) haraam bhi nahi. Hafiz sahib to jaisay bolna bhool gay. Bohut zabt se kaam liya. Phir bhi bohut bora bhala kha.. Khair hum sunte rahay. Jab janay lagay to hum ne arz kia, Hafiz sahib! Naraz na hoon, sowar se humari koi yaari nahi zinda ya murda, aap Fiqa ki baat kar rahay thay, or fiqa main murda sowar ke chamrray (skin) par ghar sahi tarah se sokhaya jay to istemaal jaiz hay. faqa ki kitab main itemaal ka kehtay howay lekhte hain keh uss par namaz jaiz hay. Jo ke aik sorat istemaal ki hay.

Chand mahinay baad, Hafiz sahib exam de rahay thay apnay daro uloom main, sowar ke haram honay ke jawab main hafiz sahib na masomiyat se, sowar ke khusk chamrray or us ke itemaal ki ijazat ka zikar bhi kia, Galban yeh jata’nay ke liay ke wo’h kafi Fiqa jante hain or pass ho jain ge. Mohtamim ne reference ka pocha, Hafiz sahib ka jawab tha Azad se suna hay. Mohtamim ne on ko daro uloom se nikalwa dia. :)

Anyway jo hazrat phir shaq main parr gay hain. Yeh fiqa ki kitabon main asani se mil jay ga. Jo kitab (urdu tarjuma) hum ne school (wazeh rahay, Naii roshni school daro uloom nahi) main parrhi thi. original to Arbi main hay, Alazhar ka murtab karda, jiss main her char mazahab ka kisi bhi cheez kay baray main ra’ay aik hi jaga lekhi howi hay. urdu tarjuma Fiqa (4 mazaheb) 8 jildon main hay.

Adab.

Re: A Pir with Healing Powers

I strongly beleive what you have said, and I regard its because of Allah.
I dont rate anybody above that, and i personaly dont beleive in Pirs, there are some really nice people in crowd of fraudsters.

Because of some nice Auliaa we in subcontinent, are now Muslims. thats fact their services are unmatched.

but I think i can talk(pray) directly to Allah and have guidance from Prophet, and Quran.