Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL
Aik Makhi aur aik MakRa (BachoN kaY liYe)
- Ik din kissi makRi say yeh khenay lagaa makRaa
Iss rah say hotaa hai guz’r roz tumhaaraa - Laikin meri kuTTiyaa kee naa jaagi kabhi Qismat
Bhoolay say kabhi tum nay yahaaN paaouN naa rakhaa - GhairouN say naa miliye tau koie baat naheeN hai
ApnouN say magar chaahiye youN khiNch kay naa rehnaa - Aao jo meray ghar maiN tau izzat hai yeh meri
Woh saamnay seeRhi hai jo manzoor ho aanaa - Makhi nay sunni baat jo makRay kee tau boli
Hazrat! kissi naadaaN ko dijiye gaa yeh dhokaa - Iss jaal maiN makhi kabhi aanay kee naheeN hai
Jo aap kee seeRhi pay chaRhaa phir naheeN utraa - MakRay nay kaha: Wah Farebi mujhay samjhay
Tum saa koie naadaaN zamaanay maiN naa hogaa - Manzoor tumhaari mujhay khaatir thee, wagar naa
Kuch faaidah apnaa tau miraa iss maiN naheeN thaa - URti huvee aaie ho khudaa jaanay kahaaN say
TheRo jo mairay ghar maiN tau hai iss maiN buraa kiyaa? - Iss ghar maiN kaiee tum ko dikhaanay kee haiN cheezaiN
Baahir say nazar aataa hai choTi see yeh kuTTiyaa - LaTkay huvay darwaazouN pay baareek haiN parday
DeewaarouN ko aainsay say hai maiN nay sajaayaa - MehmaanouN kay aaraam ko haazir haiN bichonay
Har shakhs ko saamaaN yeh mayassar naheeN hotaa - Makhi nay kahaa: Khair! yeh sub theek hai laikin
MaiN aap kaay ghar aaouN, yeh umeed naa rakhnaa - Inn nar’m bichonouN say Khudaa mujh ko bachaaye
So jaaye koie inn pay tau phir uTh naheeN saktaa - makRay nay kahaa dil maiN, sunni baat jo uss kee
phaaNsooN issay kiss tarah yeh kambakht hai daanaa - Sau kaam khushaamad say nikaltay haiN jahaaN maiN
Dekho jissay duniya maiN Khushaamad ka hai bandaa
(No offence to some people at Gupshup :D) - Yeh soch kay Makhi say kahaa uss nay BaRRi Bee
Allah nay bakhshaa hai baRaa aap ko rutbaa - Hoti hai ussay aap kee soorat say mohabbat
Ho jiss nay kabhi aik nazar aap ko dekhaa - AankhaiN haiN kay heeray kee chamakti huvee kanniyaN
Sar aap kaa Allah nay kalghi say sajaayaa - Yeh hus’n, yeh poshaak, yeh Khoobi, yeh safaaie!
Phir uss pay Qiyaamat hai yeh uRtay huvay gaanaa - Makhi nay sunni jub yeh khushaamad tau paseeji
Boli kay naheeN aap say mujh ko koie khaTkaa - Inkaar kee aadat ko samajhti hooN buraa maiN
Such yeh hai kay dil toRnaa achaa naheeN hotaa - Yeh baat kahi aur uRi apni jagah say
Pass aaiee tau makRay nay uchal kar ussay pakRaa - Bhookaa tha kaiee roz say ab haath jo aaiee
Aaraam say ghar beTh kay makhi ko uRaayaa
Poet of the East, Hakeem-ul-Ummat Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal :rehm: