Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL
Taken from Baang-e-Dara by the Poet of The East, Thinker of Pakistan Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal:
Tuloo-e-Islam
*
Daleel-e-Subuh-e-roshan say sitaaroun kee tunak taabi
Ufq say aaftab ubhra, gaya daur-e-giraan khuaabi
*
*Urooq-e-murda-e-mashriq main khoon-e-zindagi daurra
Samajh saktay nahin iss raaz ko Seena-O-Faraabi
*
*Musalmaan ko musalmaan kar diyaa toofan-e-maghrib nay
talaatum haaey daryaa he say hay gohar kee seraabi
*
*Ata momin ko phir dargah-e-haq sat honay waala hay
Shikwa-e-turkamani, Zehn-e-Hindi, Nutq-e-A’araabi
*
*Asar kuch khuaab kaa ghunchoun main baaqi hay tau aet bulbul
“nuaara talkh turmi zan choo zouq-e-naghma kam yaabi”
*
*Tarrap sehn-e-chaman main, Aashiyaan main, shaakhsaaroun main
Judaa paaray say ho sakti nahin taqdeer-e-seemabi
*
*Woh chashm-e-pak been kioun zeenat-e-bargistawaan dekhay
Nazar aati hay jiss ko mard-e-ghazi kee jigar taabi
*
*Zameer-e-Laala main roshan charaagh-e-aarzu kar day
Chaman kay zarray zarray ko Shaheed-e-Justuju kar day
*
*sarishk-e-chashm-e-muslim main hay neesaan ka asar peda
Khalilulah(A.S) kay darya main houn gey gohar peda
*
*Kitaab-e-millat-e-baiza ki phir sheeraza bandi hay
Yeh shaakh-e-haashmi karnay ko hay phir barg-o-bar peda
*
*rabood aan turk-e-sheeraazi dil-e-tibreez-o-kabul raa
Saba karti hay Boo-e-gul say apna hamm safar peda
*
*Agar Usmaanioun par koh-e-gham toota tau kiya gham hay
kay khoon-e-sad hazar anjum say hoti hay Seh’r peda
*
*Jahaanbaani say hay dushwaar-tar kaar-e-jahaan beeni
Jiger khoon ho tau chashm-e-dil main hoti hay nazar peda
*
*Hazaaroun saal Nargis apni bay noori pay roti hay
barri mushkil say hota hay chaman main deeda war peda
*
*nuaa-e-pera ho aey bulbul kay ho teray tarannum say
kabootar kay tan-e-naazuk main Shaheen ka jigar peda
*
*teray seenay main hay posheeda raaz-e-zindagi keh day
Musalmaan say hadees-e-soz-o-saaz-e-zindagi keh day
*
*Khuda-e-lam yazil dast-e-qudrat tu, zubaan tu hay
Yaqeen peda kar aey ghafil kay maghloob-e-gumaan tu hay
*
*Paray hay charkh-e-neeli faam say manzil musalmaan ki
Sitaaray jiss kee gird-e-rah hon, woh kaarwaan tu hay
*
*Makaan faani, makeen aani, az’l tera, abad tera
Khuda kaa aakhiri pegham hay tu, javedaan tu hay
*
*Hina band-e-Uroos-e-Laala hay khoon-e-jiger tera
Teri nisbat baraaheemi hay maymaar-e-jahaan tu hay
*
*Teri fitrat ameen hay mumkinaat-e-zindagani ki
Jahaan kay johar-e-Muzmar ka goyaa imtehaan tu hay
*
*Jahaan-e-Aab-O-gil say Aalam-e-Javed ki khaatir
Nubuwat saath jiss ko lay gaie, woh armaghan tu hay
*
*Yeh nukta sargazisht-e-Millat-e-Beza say hay peda
Kay aqwaam-e-zameen-e-Asia kaa paasbaan tu hay
*
*Sabaq phir parrh sadaqat ka, adaalat ka, shuja’at ka
Liyaa jaey gaa tujh say kaam dunyaa ki imaamat ka
*
*Yehi maqsood-e-fitrat hay, yehi ramz-e-musalmani
Ukhuwat ki jahaangeeri, Mohabbat ki faraawani
*
*Butaan-e-rang-O-khoon ko torr kar millat main gumm ho jaa
Na toorani rahay baaqi, na Irani, na Afghani
*
*Miyaan-e-shakhsaraan Sohbat-e-Murgh-e-chaman kab takk
Tera baazu main hay parvaaz-e-Shaheen-e-Qehstaani
*
*Gumaan Aabaad hasti main yaqeen mard-e-musalmaan ka
Bayaabaan ki shabb-e-taareek main qindeel-e-rehbaani
*
*Mittaya Qaisar-O-Kisra kay istabdaad ko jiss nay
Woh kia thaa? zor-e-Haider, faqr-e-Bu zar, sidq-e-Salmani 
*
*Huvay ahraar-e-millat Jadah-o-pemaa kiss tajjammul say
Tamaashaie shigaaf-e-dar say hain sadiyon kay zindaani
*
*Sabaat-e-zindagi Iman-e-mohkam say hay dunya main
Kay Almani say bhi Paaindah tar nikla hay Toorani
*
*Jubb iss angarah-e-khaaki main hota hay yaqeen peda
Tau kar laita hay yeh baal-O-par Rooh-ul-Ameen peda
*
*Ghulaami main naa kaam aati hain shamsheerain na, tadbeerain
Jo ho zoq-e-yaqeen peda tau katt jaati hain zanjeerain
*
*Koie andazah kar sakta hay uss kay zor-e-baazu ka?
Nigah-e-mard-e-momin say badal jaati hain taqdeerain
*
*Wilayat, paadshahi, Ilm-e-ashiya ki jahaangeeri
Yeh sub kia hain? faqat aik nukta-e-iman ki tafseerain
*
*Baraaheemi nazar peda magar mushkil say hoti hay
Havis chup chup kay seenoun main banaa laitee hain tasveerain
*
*Tameez-e-bandah-o-aaqa fasaad-e-aadmiyat say hay!
Khudraaey cheera-e-dastaan sakht hain fitrat ki ta’azeerain
*
*haqeeqat aik hay har shay ki khaaki ho kay noori ho
Lahu khursheed ka tapkay agar zarray ka dil cheerain
*
*Yaqeen mohkam, amal peham, mohabbat faata’hay aalam
Jihad-e-zindagaani main hain yeh mardoun ki shamsheerain
*
*Chay bayad mard-e-raa taba’a-e-bulanday, mushrab-e-naabay
Dil-e-garmay, nigah-e-pak beenay, jaan-e-bay taabay
*
*Uqaabi shaan sayjhapatt tay thay jo, bay baal-o-par niklay
Sitaaray shaam kay khoon-e-shafaq main doob kar niklay
*
*huvay madfoon-e-daryaa, zer-e-darya ternay waalay
Tamaanchay moj kay khaatay thay jo, ban kar gohar niklay
*
*Ghubaar-e-rah guzar hain, Keemiya par naaz thaa jin ko
Jabeenain khaak par rakhtay thay jo, akseer gar niklay
*
*Hamaara narm ro qasid payaam-e-zindagi laayaa
Khabar deti theen jin ko bijliyaan, woh bay khabar niklay
*
*Haram ruswaa huvaa, peer-e-haram ki kam nigaahi say
Jawaanaan-e-tataari kiss qadar sahib-e-nazar niklay
*
*Zameen say nooriyaan-e-aasmaan parvaaz kehtay thay
Yeh khaaki zindah tar, paaindah tar, tabindah tar niklay
*
*Jahaan main ahl-e-iman soorat-e-khursheed jeetay hain
**Idhar doobay, udhar niklay, udhar doobay, idhar niklay
*
*Yaqeen afraad ka sarmaaya-e-ta’ameer-e-millat hay
yehi quwwat hay jo soorat gar-e-taqdeer-e-millat hay
*
*Tu raaz-e-kun fikaan hay, apni aankhoun par ayaan ho jaa
Khudi kaa raazdaan ho jaa, Khuda ka tarjumaan ho jaa
*
*Havis nay kar diyaa hay tukrray tukrray No’-e-Insaan ko
Ukhuwat ka bayaan ho jaa, Mohabbat ki zubaan ho jaa
*
*Yeh hindi, woh khuraasani, yeh Afghani, woh toorani
Tu aey sharmindah-e-saahil uchal kar bay karaan ho jaa
*
*Ghubaar aaloodah-e-rang-o-nasab hain baal-o-par teray
Tu aey murgh-e-haram urrnay say pehlay pur fishaan ho jaa
*
*Khudi main doob jaa ghafil! yeh sirr-e-zindagaani hay
Nikal kar halqa-e-shaam-o-seh’r say javidaan ho jaa
*
*Musaaf-e-zindagi main seerat-e-folaad peda kar
Shabistaan-e-mohabbat main Hareer-O-pur niyaan ho jaa
*
*Guzar jaa ban kar sel-e-tandoor Koh-o-bayaabaan say
Gulistan rah main aaey tau Joo-e-naghma khuaan ho jaa
*
*Teray ilm-o-mohabbat ki nahin hay intehaa koie
Nahin hay tujh say barrh kar saaz-e-fitrat main nava koie
*
*Abhi tuk admi said-e-zaboon-e-shehr yaari hay
Qiyamat hay kay Insaan No’-e-Insaan ka shikaari hay
*
*Nazar ko khirah karti hay chamak tehzeeb-e-haazir ki
Yeh sannaae’e magar jhootay nigoon ki rezah kaari hay
*
*Woh hikmat, naaz thaa jiss par khirad mandaan-e-Maghrib ko
Havis kay panjah-e-khooneen main taigh-e-kaar zaari hay
*
*Taddabur ki fusoon kaari say Mohkam ho nahin saktaa
Jahaan main jiss tammaddun ki binaa, sarmaayaa daari hay
*
*Amal say zindagi banti hay jannat bhi jahannum bhi
Yeh khaki apni fitrat main na noori hay naa naari hay
*
*Khuroosh aamoz-e-bulbul ho girah ghunchay ki waa kar day
Kay tu iss gulistaan kay waastay baad-e-bahaari hay
*
*Phir utthi Asia kay dil say chingaari mohabbat ki
Zameen jolaangah-e-atlas Qubayaan-e-ta’taari hay
*
*Biya peda khareedar ast jaan-e-naa tawaanay raa
“Pus az muddat guzaar uftaad barmaa kaarwaanay raa”
*
*Biya saaqi nuaaey murgh-e-zaar az shaakhsaar aamad
Bahaar aamad, nigaar aamad, nigaar aamad, qaraar aamad
*
*Kasheed ab’r-e-bahaari khaima andar waadi-o-sehra
Sadaa-e-Aabshaaraan az faraaz-e-kohisaar aamad
*
*Sirat gardum tohum qaanoon-e-paisheen saazdah saaqi
Kay khel-e-naghma pardaazaan qataar ander qataar aamad
*
*Kinaar az zaahidan bar geer-o-bay baakaana saaghir kush
Pus az muddat azeen shaakh-e-koh’n baang-e-hazaar aamad
*
*Ba mushtaqaan-e-Hadees-e-Khuwaja(S.A.W)-e-Bad’r-O-Hunain Aawar
Tassaruff haaey Pinhaan nash ba chashm-e-aashkaar aamad
*
*Digar shaakh-e-Khaleel (A.S) as khoon-e-maan manaak megardud
B’ba zaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil aiyaar aamad
*
*Sar-e-khaak-e-Shaheeday barg haaey Laala mi paasham
Kay khoonish baa nihaal-e-millat-e-maa saaz gaar aamad
*
“Baya taa Gul-e-baynafshaa Neem-O-May dar-e-saaghar andaazayam
Falak raa saqaf bashgaa feem-O-tarah-e-deegar andaazayam”