9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Dau SitaaraY

**AAye jo QiraaN maiN dau sitaaray
Kehnay lagaa aik doosray say

Yeh wis'l m'daam ho tau kiyaa khoob
Anjaam-e-kharaam ho tau kiyaa khoob

ThoRa saa jo Meh'rbaaN Falak ho
Humm dono kii aik hee chamak ho

Lekin yeh wisaal kii tamanna!
Peghaam-e-Firaaq thee saraapaa

Gardish TaaroN ka hai Muqqaddar
Har aik kii Raah hai Muqqarrar

Hai Khuaab Sabaat-e-A'ashnaaii
AaeeN jahaaN kaa hai Judaaii**

-- Allama Iqbal

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Zuhn aur Rindi

  • Ik Maulvi Saahib kee sunaataa hooN kahaani
    Tezi naheeN manzoor, Tabiyat kee dikhaani
  • Shohrah thaa bahut aap kee Sufi Munashi kaa
    Kartay thay adab unn kaa a’aalii-O-adaani
  • Kehtay thay kay pinhaaN hai Tassawuuf maiN Shariya’t
    Jiss tarah kay Alfaaz maiN muzmir hoN ma’aani
  • Labrez ma’-e-zuhd say thee dil kee suraahi
    Thee Teh maiN kaheeN duurd-e-Khiyaal-e-Hamadaani
  • Kartay thay bayaaN aap karaamaat kaa apni
    Manzoor thee ta’adaad mureedouN kee baRhaani
  • Muddat say rahaa kartay thay hamsaaye maiN mairay
    Thee Rind say Zahid kee mulaaqaat puraani
  • Hazrat nay miray aik shanaasaa say yeh poocha
    IQbal kay hai Qamari-e-Shamshaad-e-ma’aan
  • Paabandi-e-Ahkaam-e-Shariya’t maiN hai kaisaa?
    Go sher maiN hai rashk-e-Kaleem-e-Hamadaani
  • Suntaa hooN kay kaafir naheeN Hindu ko samajhtaa
    Hai aisa aqeedah asar-e-falsafa daani
  • Hai uss kee tabiya’t maiN Tashshaiiyo’ bhee zaraa saa
    Tafzeel-e-Ali:razi: hum nay sunni uss kee zubaani
  • Samjhaa hai kay hai raag ibaadaaat maiN daakhil
    Maqsood hai Mazhab kee magar khaak uRaani
  • Kuch a’aar ussay Husun FaroshouN say naheeN hai
    A’aadat yeh hamaaray sho’raa kee hai puraani
  • Gaanaa jo hai Shub ko tau Seh’r ko hai tilaawat
    Iss Ramz kay abb tuk naa khulay hum pay ma’aani
  • Laikin yeh sunnaa apnay mureedouN say hai maiN nay
    Bay daagh hai maanind-e-seh’r iss kee jawaani
  • Majmoo’a-e-azdaad hai, IQbal naheeN hai
    Dil daftar-e-Hikmat hai, Tabiya’t Khafakaani
  • Rindi say bhee aagaah, Shariya’t say bhee waaqif
    Poocho jo Tassawuuf kee, tau Mansoor kaa saani
  • Iss shakhs kee hum par tau haqeeqat naheeN khulti
    Hogaa yeh kissi aur hee Islam kaa baani!
  • Al-Qissa bahut toool diyaa wa’az ko apnay
    Taa der rahi aap kee yeh naghz bayaaani
  • Iss shehr maiN jo baat ho, uRR jaati hai sub maiN
    maiN nay bhee sunni apnay ahibba kee zubaani
  • Ik din jo sar-e-rah millay Hazrat-e-Zahid
    Phir chiRR gaiee baatouN maiN wohi baat puraani
  • Farmaaya, shikaayat woh mohabbat kay sabbab thee
    Thaaa farz miraa, raah shariya’t kee dikhaani
  • MaiN nay yeh kahaa koie gilaa mujh ko naheeN hai
    Yeh aap kaa huq thaa ziraah-e-qurb-e-makaani
  • Khamm hai sar-e-tasleem mairaa aap kay aagay
    peri hai tawaazo’ kay sabbab meri jawaani
  • Gar aap ko maa’loom naheeN meri haqeeqat
    Pedaa naheeN kuch iss maiN Qusoor-e-Hamadaani
  • MaiN khud bhee naheeN apni haqeeqat kaa shanaasaa
    Gehraa hai meray beh’r-e-khiyaalaat kaa paani
  • Mujh ko bhee tamanna hai kay Iqbal ko dekhooN
    Kee uss kee judaaie maiN bahut ashk fashaani
  • Iqbal bhee Iqbal say aagaah naheeN hai!
    Kuch iss maiN tamaskhur naheeN, Wallah naheeN hai
    Poet of the East, Hakeem-ul-Ummat Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal:rehm:

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Aik Makhi aur aik MakRa (BachoN kaY liYe)

  • Ik din kissi makRi say yeh khenay lagaa makRaa
    Iss rah say hotaa hai guz’r roz tumhaaraa
  • Laikin meri kuTTiyaa kee naa jaagi kabhi Qismat
    Bhoolay say kabhi tum nay yahaaN paaouN naa rakhaa
  • GhairouN say naa miliye tau koie baat naheeN hai
    ApnouN say magar chaahiye youN khiNch kay naa rehnaa
  • Aao jo meray ghar maiN tau izzat hai yeh meri
    Woh saamnay seeRhi hai jo manzoor ho aanaa
  • Makhi nay sunni baat jo makRay kee tau boli
    Hazrat! kissi naadaaN ko dijiye gaa yeh dhokaa
  • Iss jaal maiN makhi kabhi aanay kee naheeN hai
    Jo aap kee seeRhi pay chaRhaa phir naheeN utraa
  • MakRay nay kaha: Wah Farebi mujhay samjhay
    Tum saa koie naadaaN zamaanay maiN naa hogaa
  • Manzoor tumhaari mujhay khaatir thee, wagar naa
    Kuch faaidah apnaa tau miraa iss maiN naheeN thaa
  • URti huvee aaie ho khudaa jaanay kahaaN say
    TheRo jo mairay ghar maiN tau hai iss maiN buraa kiyaa?
  • Iss ghar maiN kaiee tum ko dikhaanay kee haiN cheezaiN
    Baahir say nazar aataa hai choTi see yeh kuTTiyaa
  • LaTkay huvay darwaazouN pay baareek haiN parday
    DeewaarouN ko aainsay say hai maiN nay sajaayaa
  • MehmaanouN kay aaraam ko haazir haiN bichonay
    Har shakhs ko saamaaN yeh mayassar naheeN hotaa
  • Makhi nay kahaa: Khair! yeh sub theek hai laikin
    MaiN aap kaay ghar aaouN, yeh umeed naa rakhnaa
  • Inn nar’m bichonouN say Khudaa mujh ko bachaaye
    So jaaye koie inn pay tau phir uTh naheeN saktaa
  • makRay nay kahaa dil maiN, sunni baat jo uss kee
    phaaNsooN issay kiss tarah yeh kambakht hai daanaa
  • Sau kaam khushaamad say nikaltay haiN jahaaN maiN
    Dekho jissay duniya maiN Khushaamad ka hai bandaa

    (No offence to some people at Gupshup :D)
  • Yeh soch kay Makhi say kahaa uss nay BaRRi Bee
    Allah nay bakhshaa hai baRaa aap ko rutbaa
  • Hoti hai ussay aap kee soorat say mohabbat
    Ho jiss nay kabhi aik nazar aap ko dekhaa
  • AankhaiN haiN kay heeray kee chamakti huvee kanniyaN
    Sar aap kaa Allah nay kalghi say sajaayaa
  • Yeh hus’n, yeh poshaak, yeh Khoobi, yeh safaaie!
    Phir uss pay Qiyaamat hai yeh uRtay huvay gaanaa
  • Makhi nay sunni jub yeh khushaamad tau paseeji
    Boli kay naheeN aap say mujh ko koie khaTkaa
  • Inkaar kee aadat ko samajhti hooN buraa maiN
    Such yeh hai kay dil toRnaa achaa naheeN hotaa
  • Yeh baat kahi aur uRi apni jagah say
    Pass aaiee tau makRay nay uchal kar ussay pakRaa
  • Bhookaa tha kaiee roz say ab haath jo aaiee
    Aaraam say ghar beTh kay makhi ko uRaayaa

Poet of the East, Hakeem-ul-Ummat Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal :rehm:

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Ibless kee Arz-daasht

  • Kehtaa thaa Azaazeel*, Khudaa wand-e-JahaaN say
    Parkaala-e-Aatish huvee Adam kee kuf-e-khaak
  • JaaN laaghar-O-Tunn farba-O-malboos badan Zeb
    Dil naza’ kee haalat maiN, khird pukhtaa-O-chaalaak!
  • Naa paak jissay kehti thee Mashriq kee shariat
    Maghrib kay FaqeehouN kaa yeh Fatwah hai kay hai paak
  • Tujh ko naheeN maaloom kay Hooraan-e-Bahishti!
    Weeraani-e-Jannat kay tasawwur say haiN ghum naak?
  • Jamhoor kay Ibless haiN Arbaab-e-Siyaasat
    Baaqi naheeN abb meri zaroorat tahey Aflaak

Poet of the East, Hakeem-ul-Ummat Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal:rehm:

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Ehd-e-Tifli (Era of Infancy)

**Thay diyaar-e-Nau, Zameen-O-AasmaaN mairay liye
Wus’at-e-aaghosh-e-maadar ik jahaaN mairay liye

Thee har ik juNmbish nishaan-e-lutf-e-jaaN mairay liye
hurf-e-bay matlab thee khud meri zubaaN mairay liye

****Dard-e-Tifli maiN agar koie rulataa thaa mujhay
Shoorish-e-zanjeer-e-dar maiN lutf aataa thaa mujhay

****Taktay rehnaa haye! woh pehrouN talak suu-e-Qamar
Woh phaTTay baadal maiN, bay aawaaz-e-paa uss kaa safar

poochna reh reh kay uss kay koh-e-sehraa kee khabar
Aur woh hairat darogh-e-maslihat aamaiz par

****Aankh waqf-e-deed thee, Lub maail-e-guftaar thaa
Dil naa thaa meraa, saraapaa zoq-e-istafsaar thaa!
**Allama Iqbal :rehm:

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Sair-e-Falak


**Thaa Takhaiiyu’L jo humsafar mera
AasmaaN par huvaa guzar mera

uRtaa jaataa thaa, aur naa thaa koie
Jaan-nay waalaa charkh par mera

Taaray hairat say dekhtay thay mujhay
Raaz-e-sarbastaa thaa safar mera

****Halqa-o-Subh-o-shaam say niklaa
Iss puraanay nizaam say nikla

****Kiyaa sunaaouN tumhaiN irem kiyaa hai
Khaatim-e-Aarzu-e-deedah-o-gosh

Shaakh-e-Tuba pay naghma rez taiiyu’r
bay hijaabaanaa Hoor jalwah farosh

Saaqiyaan-e-Jameel Jaam-e-ba dust
peenay waalouN main shor-e-noshaa nosh

Dooor jannat say aankh nay dekha
Aik taareek khaanaa-e-sard-o-kh’mosh

Taale’y Qais-O-Gaysu’-e-Laila
uss kee taareekiyouN say dosh ba dosh

khun’k aisa kay jiss say sharmaa kar
kur-rah-e-zamhareer hau roposh

Main nay poochi jo kaifiyat uss kee
Hairat aNgez thaa jawaab-e-sarosh

yeh muqaam-e-khun’k jahannum hai
Naar say Noor say tahi aaghosh

Sholay hotay haiN musta’aar uss kay
Jinn say larzaaN haiN mard-e-Ibrat kosh

****Ahl-e-Duniya yahaaN jo aatay haiN
Apnay aNggaar saath laatay haiN

**Allama Iqbal :rehm:

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

[thumb=E]iqbal-tasveer-e-dard14786_3827519.JPG[/thumb]

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Zindagi InsaaN kee ...


**Zindagi InsaaN kee ik dumm kay siwaa kuch bhee nahiN
Dumm hawaa kee mouj hai, rum kay siwaa kuch bhee nahiN

Gul, Tabassum keh rahaa thaa Zindagaani ko, magar
Shamma boli, Girya'-e-Ghumm kay siwaa kuch bhee nahiN

Raaz-e-Hasti Raaz hai jubb tuk koie Mehram naa ho
Khul gayaa jiss dumm, tau Mehram kay siwaa kuch bhee nahiN

Zaairaan-e-Ka'aba say Iqbal yeh poochay koie
Kiya Haram ka tohfaa Zam-Zam kay siwaa kuch bhee nahiN

*-- *Allama Iqbal (Baang-e-Dara)

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

** -- FiraaQ --**

  • Talaash-e-Gosha-e-uzlat maiN phir rahaa hooN maiN yahaaN pahaaR kay daaman maiN aa chupaa hooN maiN

Shikastah Geet maiN chashmouN kay dilbari hai kamaal
Duaa-e-Tiflak-e-Guftaar Aazmaa kee misaal

Hai Takht-e-La'al-e-Shafaq par juloos-e-Akhtar-e-Shaam
Bahisht-e-Deeda-e-Beenaa hai Husn-e-Manzar-e-Shaam

Sukoot-e-Shaam-e-Judaaiee huvaa bahaanaa mujhay
Kissi kee yaad nai sikhlaa diyaa taraanaa mujhay

Yeh Kaifiat hai meri Jaan-e-Naa Shikeba kee!
Meri misaal hai Tifl-e-Sagheer-e-Tanhaa kee

Andheri raat maiN kartaa hai woh sarod Aaghaaz
Sadaa ko apni samajhtaa hai Ghair kee aawaaz

YouN hee maiN dil ko piyaam-e-Shikeb daitaa hooN**
Shub-e-Firaaq ko goyaa Fareb daitaa hooN**

--- Allama Iqbal (Baang-e-Dara)

meaning of few difficult words:

uzlat = retirement

Duaa-e-Tiflak-e-Guftaar = A child's voice of prayer

Hai Takht-e-La'al-e-Shafaq par juloos-e-Akhtar-e-Shaam = Takht-e-La'al-e-shafaq is a reference to the sky at the sunset when there is SHAFAQ on the sky... while Juloos-e-Akhtar-e-shaam is refering to the millions of stars visible that time :-)

Bahisht-e-Deeda-e-Beenaa = Dekhnay waali aank kay liye Jannat kaa nazaarah

Jaan-e-Naa shikeba = Life without having tolerence

Tifl-e-Sagheer = a little child

sarod = song (a melodious one!)

Shikeb = Tolerence

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

** -- Insaan --**

***Qudrat ka ajeeb yeh sitam hai

*Insaan ko raaz ju banaayaa!
Raaz uss kee nigah say chupaaya

Baytaab hay zoq Aagahi kaa
Khulta nahiN bhaid zindagi kaa

Hairat-e-Aaghaaz-O-Intehaa hai
Aainay kay ghar maiN aur kiyaa hai?

Hai garam khuraaam Mauj-e-dariyaa
Dariyaa soo'ey Beh'r Jadah-e-paimaa

Badal ko hawaa uRRaa rahi hai
ShaanouN pay uTThaaey laa rahi hai

Taaray mast-e-sharaab-e-taqdeer
Zindaan-e-Falak maiN paa ba zanjeer

Khursheed, woh Abid-e-Seh'r Khaiz
Laanay waalaa piyaam-e-"bar khaiz"

Maghrib kee pahaaRiyouN maiN chup kar
Peetaa hay ma'y shafaq kaa saagar

Lazzat Geer-e-Wajood har shay
Sar Mast-e-Ma'y Namood har shay

Koie nahiN Ghumgusaar-e-InsaaN!
Kiyaa talkh hai Rozgaar-e-InsaaN!

**-- Allama Iqbal (Baang-e-Dara)

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

** -- Ik Shaam --**

  • Khaamosh hai Chaandni Qamar kee ShaakhaiN haiN kha'mosh hur shajar kee

Waadi kay niwaa farosh khaamosh
Kohsaar kay subbz posh khaamosh

Fitrat Bay Hosh ho gaie hai
Aaghosh maiN shub kay so gaie hai

Kuch aisaa sukoot kaa fusooN hai
Neegar ***** kaa Khuraaam bhee sukooN hai

TaarouN kaa kha'mosh kaarwaaN hai
Yeh Qaafla bay daraa rawaaN hai

Khaamosh haiN kho-O-dusht-O-dariyaa
Qudrat hai Muraaqbay maiN goyaa

Aye dil! tu bhee kha'mosh ho jaa
Aghosh maiN ghum ko lay kay so jaa
:)
--- (daryaa-e-Neegar **** (Hydel Burg) kay kinaaray par) - Allama Iqbal - Baang-e-Dara*

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

I might have missed many… I wish I had a hold on those two books Baang-e-dara and Baal-e-Jibreel that I have but they are in my home in NY and I am not there for few months :slight_smile:

anyway, as for Shikwah and Jawaab-e-shikwah, I have read it … I know I may not have did justice to the poetry but sharing of such a thing is a must IMHO:

Real Audio Format:

SHIKWAH

JAWAAB-e-SHIKWAH

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

(from my journal):

Har kujaa beeni Jaahaan-e-Rung-O-boo

AankaY az khaakash barveed-e-aarzoo

yaaz Noor-e-Mustafa:saw:, ooraa bahaast

Yaa hanooz under Talaash-e-Mustafa:saw: ast

Mafhoom:

In this world of color and joy whatever good you see anywhere is from the light of guidance from the Prophet of ALLAH Hadhrat Muhammad Ibn-e-Abdullah Al Mustafa :saw: or if you see people seeking any betterment, they are really still seeking Mustafa Al Mujtaba:saw:

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

(from my journal):

Andaaz-e-bayaaN garchaY bahut shoukh naheeN hai!
shayad kay uter jaaey teray dil maiN meri baat!

yaa wusa’t-e-aflaak maiN takbeer-e-musalsal!
yaa khaak kay aaghosh maiN tasbeeh-O-munajaat!

woh mazhab-e-mardaan-e-khud aagah-O-khuda mast!
yeh mazhab-e-mulla-O-jamadaat-O-nabataat!

I always wonder how beautifully Iqbal:rehm: has said all that.

Andaaz-e-BayaaN garchaY bahut shoukh naheeN hai

The way I speak is even though not very appealing

shayad kay uter jaaey teray dil maiN meri baat!

but perhaps, what I am saying will touch your heart

yaa wusa’t-e-aflaak maiN takbeer-e-musalsal!

Either a continuous call towards ALLAH:swt: and the call echoes even to the skies

yaa khaak kay aaghosh maiNn tasbeeh-O-munajaat!

Or doing a sajdaa infront of ALLAH:swt: and praying to Him and glorifying him

woh mazhab-e-mardaan-e-khud aagah-O-khuda mast!

those who call towards ALLAH:swt: follow the aspect of religion of Mujahideen who are in love with Allah’s Religion and who are striving to bring ALLAH’s name supreme

yeh mazhab-e-mulla-O-jamadaat-O-nabataat!
while those who are just praying to ALLAH:swt: alone and not even calling people towards what is right are following as if they are Mullah and like rocks and plants glorify ALLAH:swt: .. then, what’s the difference between any other creature of ALLAH:swt: and us humans. If we were anything but humans, we would have been glorifying him anyway. What’s so special glorifying Him and not calling people towards Islam??

Great words, I love Iqbal.!!!

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Sheikh Saahib bhee tau pardaY kay koi haami naheeN
Muft maiN college kay laRkaY unn saY bud zunn ho gaYe

Wa'az maiN farmaa diyaa kal aap naY yeh saaf saaf
"Pardah aakhir kiss saY ho jub mard hee Zunn ho gaYe":D

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Salaam Anwar bhaee

Behtareen
haqq e aqeedatmandi e ustaad e roohani adaa kar rahay haiN aap.

Sham

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Thanks for sharing all this Allama Iqbal's work. I posted the following in the General forum but I guess, since its the Poetry forum's sticky thread , I can post it here too.
Definition of a true Muslim :)

Her lehza hai Momin ki nayi shaan, nayi aan
Guftaar main, kirdaar main, Allah ki Burhaan
Qahari-o-ghaffari-o-qadusi-o-jabroot
Ye chaar anaasir hon tou banta hai Musalman
Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-Khaaki
Hai iss ka nash-e-mann na *Bukhara**** na Badakhshaan***
Jis say jigr-e-lala main thandak ho wo shabnam
Daryaon kay dil jis say dehel jayen wo toofan
Ye raaz kisi ko nahin maloom kay Momin
Qari nazar aata hai, haqeeqat main hai Quran

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

kiyaa khoob hai saheb waaah
aur haaN codey ka shukr guzaar hona chahiyay k unhonay hi iss ki farmayesh ki thee!!!
thanks for sharing.

Sham

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Aik sher jo shayad apnay qisam ka aik hi hai:

Sabaq milaa hai yeah me'raaj e mustafa say mujhay
k aalam e bashariyat k zadd main hai garduuN

Sham

Re: 9 TH NOVEMER - YAUM E IQBAL

Thanks every one nice sharing and thanks AQ :p